اقرأ باسم ربك الذي خلق

25 Dec 2017

Aaj ke Mushrikeen

Aaj ke hamare kuch bhai kehte hai ke Hum “Qabron” ki Ibadat nahi karte Aur hum un Qabar Walon ko Allah nahi samajhte, Unhe Khaliq aur Malik nahi samajhte, Aur Na hi unhe Allah samajh kar unse “Madad” mangte hai, Balke ye Allah ke ‘Neik’ bandey they, Inhe bhi Allah ta’ala ne kuch Ikhtiyaraat dey Rakhe hai aur Hum inke Zariye se Allah ka ‘Khurb’ haasil karte hai
Par In bhaiyo ko ye tak Nahi pata ke Mushrikin bhi Jin Nabion aur Waliyon ke But (Idol) aur Qabren banakar ‘Pujte’ they, Wo bhi Unhe Allah samajh kar Unki Ibadat aur Unse madad nahi mangte they, balke Mushrik bhi Mantey they ke Zameen wa Asmaan aur saari Kainaat ka Khaaliq, Maalik aur Parvardigaar Sirf Allah hi hai aur wahi wahid Hasti hai jiske haath mein “Kainaat” ki tadbir aur Tasarruf hai
Allah ne Quran mein Farmaya
“Aye Nabi! Inse Puchiye ke Tumko Zameen aur Asmaan se Kon ‘Rizq’ deta hai? Ya wo kon hai Jo Kaano aur Aankhon par Pura ikhtiyaar rakhta hai aur wo kon hai Jo Zindey ko Murdey se nikaalta hai aur murde ko zinde se nikalta hai aur wo kon hai Jo tamaam Kaamo ki tadbir karta hai? Zaroor wo yahi Kahenge ke ‘ALLAH’ to unse kahiye ke phir kyun nahi Darte”(Sureh Yonus, Ayat 31)
“Aye Nabi (sallallahu alaihi wasallam) unse puchiye to sahi, ke Zameen aur uspar rahne waali Maqlooq kiski hai? Batlaao agar Jaante ho? wo Fauran Jawaab denge ke Allah hi ki hai, Kahdijiye ke phir tum ‘Nasihat’ kyun nahi haasil karte, Daryaaft kijiye ke Saaton Asmaanon ka aur bahut baAzmat ‘Arsh’ ka Rab kon hai? Wo log Jawaab denge ke Allah hi hai, Kehdijiye ke phir tum kyun nahi Darte? Puchiye ke Tamaam cheezon ka ikhtiyaar kiske haath mein hai? Wo panaah deta hai aur Jiske muqaable mein koi panah nahi diya jaata, agar tum Jaante ho, to batla do? yahi jawaab denge ke Allah hi hai, kahiye phir tum kidhar se Jaadu kardiye Jaate ho?”(Sureh Mominoon, Ayaat 84-89)
“Agar Aap unse puche ke Asmaan aur Zameen ko kisne Paida kiya hai? To yaqeenan wo yahi Jawaab denge ke Allah ne, Aap unse kahiye ke Accha ye to bataao, Jinhe tum Allah ke siva Pukaarte ho, agar Allah ta’ala mujhe Nuqsaan pahunchana chaahe to kya ye uske nuqsaan ko hata sakte hai? Ya Allah ta’ala mujh par maherbaani ka Iraada kare, to kya ye uski maherbani ko rok sakte hai? Aap kehde ke Allah mujhe Kaafi hai, Tawakkal karne waale usi par tawakkal karte hai”(Sureh Zumar, Ayat 38)
Ab Sawaal ye paida hota hai ke Allah ko Manney ke bawajud wo mushrik Kyun qaraar paye?
Haqiqat ye hai ke Mushrikin e Arab ne Allah ta’ala ke Siva Jin Jin ko Maabud aur Mushkil kusha bana rakha thaa, Wo unko Allah ta’ala ki Maqlooq, uska Mamluk aur ‘banda’ hi Jaante they, phir bhi wo Jahil, Aajke kuch logo ki tarha ye samajhte they ke ye Log Allah ke Nabi, Wali aur Naik bandey they, Allah ke yahan unhe khaas Mukhaam hasil hai, Is bina par wo bhi kuch ikhtiyaraat apne paas rakhte hai, aur hum unke zariye se Allah ka taqarrub hasil karte hai, unki sifarishon se hamari Zaruraten puri hoti hai
Wo Mushrikin bhi apne Maabudon ke Ikhtiyaraat “Ataayi” samajhte they, Aur wo yahi Aqeeda rakhte they ke in Mabudon ki ye jo taaqat o khuwwat aur jo Ikhtiyaraat aur tasarrufaat hai, Ye Ataayi hai, Allah ne Inhe Ata kiya hai, Zaati taur par wo Iske Maalik nahi hai, 
Mushrikin Hajj mein ye Talbiya padha karte they
“Aye Allah Hum haazir hai, Tera koi shareek nahi siwaye us shareek ke jo tera hi hai, tu uska Maalik hai, jin par uski milkiyat aur hukumat hai unka maalik bhi tu hi hai”(Sahi Muslim, Kitabul Hajj) 

yaani wo apni Zaat ka bhi Maalik nahi hai, Ye khuwwaten aur ye Ikhtiyaraat tune hi use ata kiye hai, aur jin par uski Milkiyat hai, jin Cheezon ka Wo Maalik hai, Unka Maalik bhi tu hi hai, tune hi use Ata kiya hai, Tere hi diye se wo sabko baant rahe hai, Yaani Aaj ke kuch logo ki tarha Wo mardud bhi Allah ke saath Shirk karke Yahi kahte they ke Hum un neik bandon ko Khuda samajh kar nahi pujte aur unhe sajda, nazaro niyaz aur Mannat etc Khuda samajh kar nahi mangte, balke ye ikhtiyarat Allah ne unhe Ata kiye hai, Hum to unke zariye se Allah ka Taqarrub haasil karte hai aur bator Wasila aur Sifarish unko Pukaarte hai, Aur Jab in kuch logo Ko Koi Quran ki Ayaten batata hai aur Tauheed ki dawat deta hai, to kehte hai ke Ye Aayaten to Buton (idols) ke liye hai 

Yaad rakhiye ke Mushrikin Jinke But (idols) aur Qabren banakar pujte aur Madad ke liye pukaarte they, Wo bhi Nabi, Wali, Saleheen hi they, Jinke Marne ke baad log unke but aur Qabaren bana kar pujna shuru kar dete they 
Jaise Sureh Nuh mein Panch (5) buton ka Zikr hai Jinhe Nuh Alaihisalam ki Khaaum pujti thi, Jaise “Wadh, Sava, Yaghoos, Ya’ooq aur Nasr” aur Sahi Bukhari mein Sureh Nuh ki tafseer hai, ke Ye Paancho Hazrat Nuh Alaihisalam ki Khaum ke saleheen aur ‘Naik’ logon ke Naam they, Jab Unki Maut hogayi to Shaitaan ne Unke Dil mein daala ke Apni Majlison mein Jahan wo baithte they, unke but Qaayim karle aur Un buton ke Naam apne naik logon ke Naam par rakhlen, Chunanche un logon ne Ayesa hi kiya, Us waqt un buton ki puja nahi hoti thi lekin jab wo log bhi margaye Jinho ne ‘But’ Qayim kiye they aur Ilm logon mein na raha to unki Puja hone Lagi”(Sahi Bukhari 4920).

Hazrat ibn Abbas rz ne kaha ke ‘Laath’ ek shakhs ko kehte they Jo Hajiyon ke liye Sattu gholta tha”(Sahi bukhari 4859) 

Aur mushrikin e Makkah bait ullah mein Hazrat Ibrahim Alaihisalam aur Hazrat Ismail Alaihisalam ke But bhi rakh kar pujh rahe they, jab Nabi sallallahu alaihi wasallam Makkah mein dakhil huwe to baitUllah ke chaaron taraf 360 but (idols) they, Rasul Allah sallallahu Alaihi wasallam ne ek ‘Chadee’ (lakdi) se jo haath mein thi, Maarte Jaate they aur Is Ayat ki tilawat karte Jaate ke “Haq khayim hogaya aur baatil Maghlub hogaya, Haq Khayim hogaya aur Batil se Na shuru mein kuch hosaka hai Na Ainda kuch hosakta hai”(4287)


aur Rasul ﷺ baitullah mein us waqt tak Dakhil nahi huwe jabtak us mein but maujud rahe balke Aapne Hukm diya aur buton ko baher nikaal diya gaya, Unhi mein Ek Tasweer Hazrat Ibraheem Aur Hazrat Ismail Alaihisalam ki bhi thi”(Sahih al Bukhari 4288)

Hazrat Ayesha rz ne bayaan kiya ke “Jab Nabi sallallahu alaihi wasallam Bimaar huwe to Aapki Baaz Biwiyon ne ek ‘Girjey’ ka Zikr kiya, Jise unho ne Habsha mein dekha thaa, Jiska Naam marya thaa, Umm Salama aur umm Habiba (rz) dono habsha gayi thi, Unho ne Uski Khubsurti aur Us mein Rakhi huwi “Tasaweer” ka bhi zikar kiya, Uspar Rasul Allah sallallahu alaihi wasallam ne Sar mubarak utha kar farmaya ke “Ye wo log hai ke Jab un mein koi ‘Neik’ shakhs marjata to uski Qabar par Masjid tameer kar dete phir uski ‘Murat’ us mein rakhte, Allah ke Nazdeek ye log Saari Maqlooq mein battareen hai”(Sahih Bukhari 1341)

“Beshak Jinhe tum Allah ko chor kar pukarte ho wo tumhare hi jayse bande hai so agar tum sacche ho to unhe pukaro phir unhe chahiye ke tumhe jawaab dey”(Araaf, Ayat 194) 

Aur yahud o Nasara ne Apne Nabiyon ki Qabaron ko Sajdagah banaliya tha, Isi Qabar prasti Mein mubtala hokar wo Allah ta’ala ki Laanat ka Shikaar huwe, Jis tarha Aajke kuch log Allah ki Lanat ka shikaar ho rahe hai.
Hazrat Ayesha rz Se riwayat hai ke Nabi sallallahu alaihi wasallam Ne marzul maut me Farmaya “yahood a­ur Nasara par Allah ki laanat ho, unho ne Apne Ambiya ki Qabron ko Ibadat gah banaliya, hazrat Ayesha rz ne kaha ke agar Ayesa Dar na hota, to Aap sallallahu alaihi wasallam ki Qabar khuli rehti, Kyun ke mujhe dar iska hai ke Kahin Aap ki Qabar bhi Sajdagah na banali Jaye”(Sahi Bukhari 1330) 

Aur Aajka ye log bhi Usi tarha ke ulthe Jawaab deta hai, jis tarha mushrik Nabiyon ko dete they, Jaise Hum unhe Khuda nahi samajhte, Na hi Khuda ke barabar samjhte hai balke Unki Qabar ko Uncha karke uspar Uras, chadhawa, chiraagh, Mela, chadar, jhanda, Qawwali Dance, Music, sajda, Nazro niyaz, janwar Zubah, ibadat Namaz wa Tilawat etc aur unse Mannat aur wasta waseela lete hai aur tarha tarha ke Shirkiya Amaal Isliye karte hai taa’ke Ye Auliya aur Naik log, Hamko Allah ke ‘Khareeb’ pahunchadey aur humko Allah ka Khurb Haasil hojaye Ya Allah ke haan Ye Hamari Sifaarish ­karde, Isi ‘Amal’ ko Allah ta’ala ne “SHIRK” aur Ibadat e ghairullah Kharaar diya hai

Quran mein Mushrikon ke Ye Akhwaal Naql kiye gaye hai,

Allah ne Sureh Zumar Mein farmaya

“Qabardaar! Allah ta’ala hi ke liye Qaalis Ibaadat karna hai aur Jin logon ne Uske siva “Auliya” bana rakhe hai aur kahte hai ke hum unki Ibaadat sirf isliye karte hai ke Hum ko ye (buzrug), Allah ke Khareeb pahunchade”(Sureh Zumar, Ayat 3)

“Aur ye log Allah ko chor kar Ayesi Cheezon ki Ibadat karte hai, Jo unko Na Nafah pahuncha sakte aur Na Nukhsaan aur Kehte hai ke Ye Allah ke paas Hamare “Sifaarshi” hai, Aap kahdijiye ke kya tum Allah ko Ayesi cheez ki Khabar dete ho, Jo Allah ta’ala ko Maalum nahi, Na Asmaan mein aur Na zameen mein, Wo ‘Paak’ aur bartar hai Un logon ke Shirk se”(Sureh Yonus, Ayat 18)
Yaani wo jaante they ke Nafah aur Nukhsaan pahunchane Wala sirf Ek Allah hi hai, lekin In buzrugo ki Shifarish se Allah hamari Zaruraten puri karta hai, Hamari bigdi bana deta hai, Inke Zariye se Allah ka khurb hasil hota hai, yani Wo jinki puja karte they unhe apne aur Allah ke darmiyan wasta wasila samajhte they, na ke Unhi ko khaliq o Malik samajhte they, Balke Wo har cheez ka khalik o Malik sirf Allah hi ko Mante they, aur bohot se Amaal Karte they Jaise unhe Madad ke liye pukarna, Sajda karna, Darbar ka Mujawar bankar baithna, janwar zubah karne, chadhawa, Nazro niyaz etc
Aur Yahi sab kaam unka Shirk thaa, Isi waja se wo Kafir Qaraar paye, unhe Qatl kiya gaya, Qaidi banaya gaya, unse Jangey ladi gayi aur unhe ‘Jahannumi’ Qaraar diya gaya 
 Bilkul yahi Aqeedey Aaj ke kuch logo ke hai,
Hazrat Ayesha rz Se riwayat hai ke Nabi sallallahu alaihi wasallam Ne marzul maut me Farmaya “Yahood a­ur Nasara par Allah ki laanat ho, unho ne Apne Ambiya ki Qabron ko Ibadat gah banaliya”(Sahi Bukhari)
Rasul Allah sallallahu alaihi wasallam ne farmaya “Mujh ko had se Na badhana, Jis tarha Eisaiyon ne Hazrat Eisa Alaihisalam ko hadse badha diya, mein sirf ek banda hun, Mujhe tum sirf Allah ka “banda” aur Uska Rasool kahna”(Bukhari aur Muslim)

Hazrat Jabir rz Kahte hai ke Muhammed Sallallahu alaihi wasallam ne “Qabar ko chone se pukhta karne, uspar baithne aur uspar imaarat banane se manah farmaya hai” (muslim) 

Abu hayaj Asadi rz Kehte hai ke Mujh se Hazrat Ali rz Ne Farmaya “Mein tumhe is kaam ke liye Na bheyjun jiske liye Rasool ullah Sallallahu alaihi wasallam ne mujhe bheja thaa Aur wo ye ke Kisi mujasme ko zaail kiye baghair Aur Kisi Unchi Qabar ko Zameen ke barabar kiye baghair na chorna”(muslim)


Aur Nabi sallallahu alaihi wasallam ne farmaya “Ya Allah! Meri Qabar ko ‘But’ Na banney dena, Jiski puja ki Jaye”(Musnad Ahmed)
Rasul Allah sallallahu alaihi wasallam ne farmaya “Meri baat ghour se suno! tum se pehle log apne Ambiya ki Qabron ko ibadat gah hi Tasawwur karte they, khabardar! Tum ayesi ghalti mat karna, mein tumko ayesa karne se sakhti se manah karta hun”(muslim)
lekin in Ghustaqon ne, Aaj Rasul Allah sallallahu alaihi wasallam ki nafarmani karte huwe, Unchi Qabron ko todne ke bajaye ultha apne buzurgon ki Qabron ko Uncha kar ke Unhe Ibadat gah bana liya hai, wahan Namaz, tilawat, hajj, Sajda, uras, janwar zubah, Nazr o niyaz, chadhawa, khawwali, music baja, dance, Aur tarha tarha ki Ayyashiyan horahi hai, Allah In Mardudon ko Hidayat Ata kare Ameen.
Allah pak Farmate hai
“Jab ye log “Kashtiyon” mein Sawaar hote hai, to Allah ta’ala hi ko Pukaarte hai, Uske liye Ibaadat ko ‘Qaalis’ kar ke, phir jab Wo unhe “Khushki” ki taraf bacha laata hai, to usi waqt Shirk karne lagte hai”(Sureh Ankaboot, Ayat 65)
Yaad rakhiye Shirk Itna bada Gunah hai Ke Allah Use Muaaf Nahi karega, 
“Allah ke yahan SHIRK ki baqshish hi nahi uske siwa aur sab kuch maaf ho sakta hai jise wo maaf karna chahe”(Sureh Nisa, Ayat 116)
“Aye Nabi! tumhari taraf aur tum se pehle guzre huwe ambiya ki taraf ye “wahi” bheji jaa chuki hai ke agar tumne shirk kiya to tumhare bhi ‘Amaal’ barbaad hojayenge aur tum khasara paane walon me se hojaoge”(Sureh Zumar, Ayat 65)
“Jisne Allah ke saat shirk kiya uspar Allah ne Jannat haraam kardi hai aur uska thikaana jahannum hai”(Sureh Maida, Ayat 72)
“Suno, Allah ke saath Shareek karna wala, goya Asmaan se ‘Gir’ pada, ab ya to use “Parinde” uchak le Jayenge, ya hawa kisi door daraaz ki Jageh phek degi”(Sureh Haj, Ayat 31)
“Aye Nabi! Allah ke saath kisi dusre Maabud ko na pukaaro, warna tum bhi ‘Saza’ paane waalon mein Shaamil hojaoge”(Sureh Shu’ara, Ayat 213)
Tamaam Ambiya ne Apni Ummat ko yahi Dawat di hai ke Allah hi ki Ibadat karo, Uske siwa tumhara koi Ilah nahi,
 Allah ne Shirk ko mitaane ke Liye Nabiyon ko bheja, lekin Inhone ne Ulta Nabiyon hi ki Ibadat karni Shuru kardi, 
“kisi Ayese Insaan ko, Jise Allah ta’ala Kitaab wa Hikmat aur Nabuwat dey, Ye Laayeq nahi ke phir bhi wo logon se kahe ke tum Allah ta’ala ko chor kar mere ‘Bande’ ban Jaao, balke wo to Kahega ke tum sab Rab ke hojaao, tumhare kitab Sikhaane ke Baayes aur tumhare kitab padhne ke sabab, Aur ye nahi (ho sakta) ke wo tumhe, Farishton aur Nabiyon ko Rab bana lene ka hukm kare, kya wo tumhare Musalman hone ke baad bhi Tumhe kufr ka hukm dega”(Sureh Aale Imran, Ayaat 79-80)
“Beshak Mein hi Allah hun, Mere siva Ibaadat ke Laayeq aur koyi nahi, Pas tu Meri hi Ibaadat kar, aur Meri yaad ke liye Namaaz Qaayam rakh”(Sureh Taha, Ayat 14)
“Aur wo Din bhi Qaabil e Zikr hai, Jis Roz Hum un sabko Jama karenge, phir Mushrikin se kahenge ke tum aur tumhare ‘Shareek’ apni apni Jageh tehro, phir Hum unke Aapas mein phoot dal denge (yani unki Aqidaten, Adawat mein tabdeel hojayegi) aur unke wo Shurka kahenge ke tum hamari Ibaadat nahi karte they, lehaza hamare aur tumhare darmiyan Allah kaafi hai ‘Gawah’ ke taur par, ke hum ko tumhari ibaadat ki Qabar bhi Na thii, wahan har shakhs Jaan lega ke usne apni Zindagi mein kya kuch kiya tha, aur wo Allah ta’ala ki taraf Jo unka Haqiqi Maalik hai lautaye jayenge aur jo kuch jhoot bandha karte they sob unse (unkezahen se) Ghaib ho jayenge”(Sureh Yonus, Ayat 28-30)
“Aur jo log Allah ta’ala ke Siva Jin ghair ullah ko madad ke liye pukarte hai, wo kisi cheez ko paida nahi kar sakte, balke wo khud paida kiye huwe hai, Murda hai, Zinda nahi hai aur unhe Khabar nahi ke wo khud (Apni Qabron se) kab uthaye Jayenge”(Surah Nahal, Ayat20-21)

“Suno! Jin Jin ki tum Allah ta’ala ke siva Puja paat kar kahe ho, Wo to tumhari “Rozi” ke Maalik nahi, pas tumhe chahiye ke tum Allah ta’ala hi se Roziya talab karo, aur usi ki Ibaadat karo aur usi ki Shukr guzaari karo, aur usi ki taraf tum tautaaye Jaoge”(Surah Ankaboot, Ayat 17)
Allah ke siva koi Nabi ya Wali Nafa aur nukhsaan ka Ikhtiyar nahi rakhte Balke Wo khud Allah ko pukaarte hai 
“Aap kahdijiye ke Mein to sirf Apne Rab hi ko pukaarta hun aur uske saath kisi ko shareek nahi karta, Kahdijiye ke Mein tumhare liye, Na kisi Nukhsaan ka Ikhtiyaar rakhta hun aur na kisi Bhalayi ka, kah dijiye ke Mujhe hargiz koi Allah se bacha nahi sakta aur mein hargiz uske siva koi Jaaye panah bhi Paa nahi sakta”(Surah Jinn, Ayat 20-22)
Aur Na hi Allah ke Siva koi Takleef aur musibat ko door kar sakta hai
“Aur agar tujh ko Allah ta’ala koi takleef pahunchaye to usko door karne waala siva Allah ta’ala ke aur koi nahi Aur agar tujh ko Allah ta’ala koi “Nafa” pahunchaye to Wo har cheez par puri Khudrat rakhne Waala hai”(Surah Anaam, Ayat 17)

Aur Jin Jin ki log Allah ta’ala ke siva ibaadat karte hai aur madad ke liye pukarte hai, Unho ne Aasmaan wa zameen main konsi cheez ‘Paida’ ki hai? Koi ek cheez to batlaao?
“Usne Aasmaano ko baghair sutoon ke paida kiya hai, tum unhe dekh rahe ho aur usne Zameen main pahaadon ko daal diya, taa’ke wo tumhe Jumbish na de sake, aur har tarha ke jaandaar zameen main phaila diye aur Hum ne Asmaan se ‘Paani’ barsa kar zameen main har qism ke Nafees Jodey uga diye, Ye hai Allah ki Maqlooq, ab tum mujhe uske siva dusrey kisi ki koyi ‘maqlooq’ to Dikhaao? (kuch nahi) balke ye ‘zaalim’ khuli gumraahi main hai”(Sureh luqmaan, Ayaat 10-11)
“Keh dijiye! Ke Allah ke siva Jin Jin ka tumhe Gumaan hai, Sabko Pukaaro, Wo Asmaanon aur Zameenon mein Zarra barabar bhi Ikhtiyaar nahi rakhte, aur Na unka, un Dono mein koi Hissa hai, aur Na un mein se koi Allah ka Madadgaar hi hai”(Sureh Saba, Ayat 22)
Jab har cheez ka Khaaliq sirf aur sirf Allah hai, to Ibaadat ka mustahiq bhi sirf wohi hai, uske siva kainaat main koi hasti is laayeq nahi ke Uski ibaadat ki Jaye aur use madad ke liye pukaara Jaye
“Hum sirf Teri hi Ibaadat karte hai aur sirf Tujh hi se Madad mangte hai”(Sureh Fatiha, Ayat 5).

Note: Yaha kabar parast ya Mushrik se murad koi khas firqa ya jamaat nahi hai balki har wo shaks hai jo kabro se mangta hai aur Allah ke sath auro ko shareek karta hai, chahe wo kisi bhi firqe ya jamaat se ho.