اقرأ باسم ربك الذي خلق

1 Jan 2018

Aaseb/jadu Ki Haqiqat Aur Ilaaj

hi   

Ab agar kahin shaitan ka asar ho jaye kisi pe jadu hojaye to insaan kya kare?

Boht sare log jadu ke tod ke liye jin'nat nikalwane ke liye amilon ke paas jate hai, aur ghair sharayi tariqe istemal karte hai, aur wo phir unse kehte hai Bakra laaao aur usko zubah karo aur uska khuun(blood) lo muqtalif baal(hair) laao.

Is tarah ki bohut si chize phir hazaron rupye un se batoor lete hai. Basa awqat wo putle banakar unpar suinyan lagate hai bhut kuch karte hai.

To uske liye ek to ye hai ki uska tod sharayi tareeqe se hona chahiye ghair masnoon aur ghair sharayi tareeqe istemal nahi karna chahiye kyunki "jaan to gayi imaan na jaye". Jaan ko nuksan to hua bimari hui takleef hui lekin imaan na jaye. Iske liye Nabi ﷺ ne jahan muqtalif ilaj bataye hai ya kuch ilaj Quran paak se tajweez kiye jate hai uske sath sath kuch aur tareeqe bhi bataye gaye hai jaise khajure khana, ye ek difaai tareqa hai aur agar ho bhi chuka ho aisa asar to mazeed is tareeqe ko jaari rakha jasakta hai.

Iske alawa ek aur tareeqa ye hai ke sabz bery ke 7 patte(leaf) le kar do pathron ke darmiyan usko kuta jaye aur phir kute hue patte in me itna pani mila liya jaye ki jo nahane ke liye kafi ho, phir ye ayaat padhkar pani par dum kare:

In ayat ko (auzubillahi minashaitan nir rajeem) padh kar padha jayega.

Sab se pehle (ayatal kursi) iske baad sureh al araaf ki ayat no:117 se 122 tak

Fir sureh yunus ki ayat no:79 se 82 tak

Fir sureh taha ki ayat no:65 se 70 tak

Iske alawa Muawwazatain (qul aoozu bi rabbil falaq aur qul aoozu bi rabbin naas) aur surah Kafiroon aur sureh Ikhlaas yani 4 Qul.

ye ayat padh kar bery ke patte walon pani par dum kare aur 3 ghoont pani pee le aur baqi pani se nahalee in shaa Allah faida hoga.Bahut ho ye amal 2 ya 3 martaba dohralene se koi harj nahi yaha tak ke marz khatam hojaye. Ye tareeqa husband wife me iqtelaf dur karne ka ilaj bhi hai, Is baat ka zikr Ibne ba'az ne apne fatawe me kia hai,aur musannaf abdul razzaq me bhi ye milta hai.Ye bilkul aisa hi ilaj hai jaise aap nahate waqt dettol pani me dal lete hai. Aap dekhte honge ki murde ko bhi bery ke pattao se nhilaya jata hai safai ke liye.Jahan gandagi hoty hai najasat hoti hai waha par Jinnaat aate hai jadu ka asar hota hai to us asar ko dur karne ke liye kya zaruri hai ke bimaar ko nehlaya jaye. Uspe pani dala jaye iske liye bery ke patte istemal kiye jaye.

Phir isi tarah duaen padhi jaye,aur khas taur par jo Hazrat Musa (a.s) aur jadu garon ke muqable me jo ayat hai un ayaat ko padha jaye:

sureh taha ayat no-69

is ke alawa sureh unus ki ayat no-79 se 82.

pure yaqeen se ayaat ko padhe phir sureh al ara'af ayat no-118

Fir sureh Taha ki ayat no-69

In ayat ko padh kar dum karke pii le ya is se naha le aur in ayat ka zikr karte rahe.

Fir isi tarah ye dua mange: RABBI INNI LIMA ANZALTA ILAY YAUMIN QHAIRIN FAQEER

Tarjuma: ALLAH JO KHAIR BHI TU MERY TARAF NAZIL KARE MAI USKA MOHTAAJ HOONMAI TUJHSE BHALAYI CHAHTA HOON) 

Fir : IHDINAS SIRATAL MUS TAQEEM - ALLAH HAME SEDHA RASTA DIKHA

Fir IYYAKA NA BUDU WA IYYAKA NASTAEEN - HUM TERY IBADAT KARTE HAI AUR TUJH SE MADAT CHAHTE HAI.

Fir RABBIGH FIR WARHUM WA ANTA QHAIRUR RAHIMEEN - ALLAH TU BAKHSH DE AUR REHEM FARMA AUR TU SAB SE BADA REHEM KARNE WALA HAI.

Ye kuch auraat jo hai Quran paak ki ayat se aur Hadees se aur masnoon dua'on ki shakal me hai. Inka padhna jadu ke tod me bohut mufeed hai. Ye zikr e ilahi hai, phir subah shaam ki duaien.

Baa'az ghizayen hai jo insaan ko is bimary me shifa dety hai jaise ki shahed(honey). Quran paak me iske bare me ata hai ki Allah ne ise shifa kaha hai.

Isi tarah kalonji, iske bare me Hadees me ata hai ki is me maut ke siwa har bimary ka ilaj hai.(kalonji ko 3 ya 7 dane khani chahiye).

Isi tarah barish ka pani isme naha bhi sakte hai ya phir isko ikhatta karke naha sakte hai. Quraan paak me Allah farmate hai, “ humne asman se barkat wala pani utara hai”.

Isi tarah Zaitoon ka tel(olive oil). Iske mutalliq Aap ﷺ ne farmaya ki is tel ko khao aur is se massage karo beshak ye ek mubarak daraqt se hai. Quran paak me is daraqt ko (shajaratan mubaraka) kaha gaya hai.Ye sab cheeze tajrubeh se bhi sabit hai aur ayat aur ahadees se bhi sabit hai.

Apni zindagi me apni gizaaon ko saaf rakha jaye aur aisy chizen istemal ki jaye jo insan ki sehat ko bhi durust rakhe aur aise tamaam qisam ke shar(nuksaan dene wali cheze) hai in se mehfooz bhi rahe.

Nabi ﷺ ne farmaya jis ghar me Sureh Baqara padhi jaye us ghar me shaitan dakhil nahi ho sakta.

Hazrat Abdullah bin Masood r.a. se marwi hai ki jo shaks sureh baqara ki pehli 4 ayaat ,ayatal kursi aur iske baad ki 2 ayate aur isi surat ki akhri 3 ayat raat ke waqt padhle to us raat shaitan uske ghar nahi ja sakta aur us din ko aur uske ghar walon ko shaitan ya aur koi bury cheez sata nahi sakty.Ye 10 ayaat agar kisi majnuun par padhy jaye to uska diwana pan dur hojata hai. Ye Abdullah bin Masood ne farmaya.

Isi tarah muawwazatain Nabi ﷺ par jab Yahud ne jadu kia to Allah ne ye surten nazil farmayi jis ki wajah se jadu ka asar zail hua.

Hazrat Ayesha se marwi hai ki Rasool ﷺ ye dono surten padh kar apni dono hathon par phunk liya karte the phir sar mooh apne tamaam jism par fer liya karte the( yani apna dum khud karte the). Raat ko sote waqt padh kar dono hathon pe funk maar ke phir usko jahan jahan tak hath pohunch ta hai sare jism ko waisa kiya jaye.Rasool(s.a.w)ka irshad hai ke agar kisi ko shaitaan qhwaab me daraye to wo ye dua padhe:

“AOOZU BI KALI MAATIL LAHIT TAMMATI MIN GHAZABI HI WA IQABIHI WA SHARRI IBADIHI WA HAMAZA TISH SHAYATEENUW WA AYIN YAHZUROON”.

MAI ALLAH KE PURE KE PURE KALIMAT KE SATH US KE GHAZAB AUR USKE AZAB AUR USKE BANDON KE SHAR SE AUR SHAITANO KE WASWASON SE PANAH MANTA HOON AUR YE KE WO HAZIR HO MERE PAAS.

Jab ye duae padhi jayengi toh in shaa Allah in asarat se mehfooz rahenge. Aur yaad rahe ke Quran paak khud shifa hai. Agar Quraan paak ko tarteel ke sath padha ya suna jaye to bhut asar hota hai aur khususan Ayatal Kursi ka sunna kasrat ke sath is se fayda hota hai. Ye chize in shaa Allah aisy shar aur musibataon se bachao ka faida hogyyQuran paak me Allah farmate hai, “aur humne Quran majid ko utara jo momino ke liye shifa aur rehmat hai”. to quraan paak ka padhna shifa aur rehmat hai.

Harzat Ayesha r.a. ki ek hadees hai jisme ata hai ki ek martaba Huzur ﷺ unke paas aye aur wo ek aurat par dam kar rahi thy to aap ne farmaya Iskailaj Quran Majeed se karo yaani Quraan Majeed ka kuch hissa padh kar is par dam kardo.Is se pata chalta hai ki agar koi shaks bimaar hai chahe jismani bimari hai ya qhouf zada hai ya nazar ka shikar hai ya jadu ka shikar hai aise tamaam logo par quran paak ki ayat padh kar dum kiya jasakta hai,Dum ka matlab sans yani padh kar us par funk maar dena.Sureh Fatiha padhna kyunki wo Shifa hai.

Aap ﷺ ne dum karne ki ijazat di hai, lekin dum wo kia ja sakta jo shirk se paak hoo. Aap ﷺ ke paas chand log aye aur unhone kaha ki hum jahiliyat ke daur me dum kiya karte the yaani bimaro ke ilaj ke liye too aap ne farmaya Apne dum mujh par pesh karo batao ki kya padhte the aur har aisa dum durust hai jisme koi shirk na paya jata ho, lekin ye yaad rahe ki jadu ke mutalliq Nabi ﷺ ne farmaya, “jis ne kuch bhi sikha jadu me se thoda ho ya zyada us ka muamla Allah se khatam”.Aap ﷺ ne farmaya jis ne ilme nujum ka kuch hissa hasil kiya to goya usne itna jadu sikh liya aur jis qadar sikhta jayega utna hi uski wajah se gunah me izafa hota chala jayega.Sitaron ka ilm aur usko sitare kya kahte hai sikhne me yaqeen karne me us par amal karne me usko istemal karne me usko padhne me to ye lagu chiz hai. Nabi ﷺ ne is se mana kiya hai.

Kahte hai ki burai jo hoty hai uske qareeb se bhi guzarne se uska asar aane ka dar hota hai.Isi tarah ek aur chiz aap ﷺ ne farmaya ki jo shaks girah lagate hue phunk maare us ne jadu kia aur jo jadu kare usne shirk kia. Baaz waqt log aise karte hai ki koi kalam padhte hai aur phir us me girah lagake usme phunk maarte hai to ye jadu hota hai.

Girah lagana matlab bandish karna, bandish ka matlab band karna, nazar band, shadi band, bache band, rizq band, khayal band, lekin iska asar jab hota hai tab Allah chahta hai.

Aisa bhi hota hai ki logo ko thory si bhi takleef ho to jadu samjha jata hai,aisy hamawat ka bhi shikar nahi hona chahiye ki choty se choti takleef ko bhi jadu ka naam dediya jaye. Is se insaan jab tabahon me giraftar hota hai to uski amal ki salahiyat aur uski creativity mutasir hone lagty hai, to shaitan hum ko aam taour par ye khayal dilata hai ki hum aise waswason ka shikar hojaye take hum kaam na kare, to agar koi aisa wehem ane lage to aoozobillahi mins shaitan nirrajeem padhe, ayatal kursi padhe, qul padh kar apne upar dum karlee aur wo dua padhe jo Hazrat Kaabul ahbaar padhte the.

Umooman ye hota hai ki jab aap koi acha kaam shuru karte ho to shar ki quwwaten aapki khilaaf hojaty hai. Shaitan insaan muqtalif tarah ke log wo apko appreciate karne ke bajaye ap par hasad karne lagte hai ya apke sath bura chahte hai.Aisi tamam chizen insan ko khaouf zada rakhty hai.Yaad rahe ki Nabi ﷺ ne aisy tamaan wahem se panah mangy hai, Aap dua manga karte the ki Aye Allah mai tafaqqurat aur gam se panah chahta hoon kyun is liye ke jab insan ke dil me ghum jagah pakadty hai to koi kaam nahi hosakta, khauf jagah pakadle to bhut si apni quwwaton aur salahiyataon se mehroom hojata hai. Isi tarah koi aur pareshani insaan ko bewajah lag jaye jiski koi haqeeqat nahi bas wahem par mabni hai to insaan bhut se kaaramatul mufeed kaam kar nahi sakta.Is liye in chizon se insaan bacha rahe, ya uska zahen khali rahe to insan jo apni positive salahiyaten hai unko khair ke raste me lagata rehta hai.Kuch chizen hamary control me nahi hoty jaise agar koi shaks hum se hasad karra hai to aap kis tarah use pakad ke roke, baaz waqt pata chal jata hai to aap uske sath acha salook karte hai jiski wajh se ho sakta ki uska gussa thanda hojaye, lekin basa awqat pata nahi chalta aur wo dil hi dil me jalra hota hai aur piche piche jade gaadra hota hai aur aapko pata hi nahi chalta wo kya karra hota hai.

Ab aise logo ke khilaf aap kya difa(bachao) karenge apna to behtar ye hai ki aap Allah se madat maang le aur dua mang le aur sari chizon se be niyaz ho kar jo kar rahe hai wo karte jaye kyunki waqt jo hai wo bhut qeemty cheez hai wo fikr aur pareshaniyon me gawane ke liye nahi hai. Boht si chizon ka ilaaj hamare paas nahi hota,to momin ke li ye dua asliha ki tarah hai.
Taken from a lecture "Jadu, Haqiqat aur ilaaj" of Dr. Farhath Hashmi. May Allah reward her for her effort.


link of audio lectures:- https://app.box.com/jinn

•٠•●●•٠•