اقرأ باسم ربك الذي خلق

31 Dec 2017

Farz Namaz Ke Baad Sar Par Hath Rakhne Ke Ahkaam


أَخْبَرَنَا سَلْمُ بْنُ مُعَاذٍ ، حَدَّثَنَا حَمَّادُ بْنُ الْحَسَنِ بْنِ عَنْبَسَةَ ، حَدَّثَنَا أَبُو عُمَرَ الْحَوْضِيُّ ، حَدَّثَنَا سَلامٌ الْمَدَائِنِيُّ ، عَنْ زَيْدٍ الْعَمِّيِّ ، عَنْ مُعَاوِيَةَ بْنِ قُرَّةَ ، عَنْ أَنَسِ بْنِ مَالِكٍ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ ، قَالَ : كَانَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ إِذَا قَضَى صَلاتَهُ مَسَحَ جَبْهَتَهُ بِيَدِهِ الْيُمْنَى ، ثُمَّ قَالَ : ” أَشْهَدُ أَنْ لا إِلَهَ إِلا اللَّهُ الرَّحْمَنُ الرَّحِيمُ ، اللَّهُمَّ أَذْهِبْ عَنِّي الْهَمَّ وَالْحَزَنَ-

 Ye riwayat kiya gaya tha Salaam Al’Tawail Al-Madaini, Zaid Al-Amee, Muawiya Bin Qura, Anas Bin Malik r.a. ke zariye ke jab RasoolAllah apni namaz khatm karte the, wo apna daae hath apne sar pe  se rakhte aur fir ye padhte: Mai gawahi deta hu ki Allah ke siwa koi ma-bud nahi sabse zyada rahmat karne wala sabse mukammal rahmat karne wala. Ae Allah Dukh aur Takleef se mujhe Riha kar de.

(Amal Al’yaum Wa Lailat-ul-ibne Al’sini Hadith 112)
(Tabrani Fil Awsat Hadith 2499)
(Kitabul Dua Tabrani Hadith 659)
(Al’amali La Bin Sam’oon Hadith 121)
(Nataijul Afkar Ibne Hajr 301/2)
(Hilyatul Auliya Abi Naeem Asbanahi 302,301/2)

Ye hadees Zaif hai kyuki Is riwayat me raawi Salaam Al’Tawail Al-Madaini Matrook aur Daif hai.

Dalail:

Salaam Al’Tawail Al-Madaini Matrook aur Daif hai.
(Al-Tarqeeb 2702)

Imam Bukhari is raawi ke bareme kahte hai: "Ise chor do".
(Kitab Al Du’faa Ma’ Tahqeeqi Tuhfat-ul-aqwiyas 51 : 155)

Haakim Nishapoori kahte hai:-

Isne maudu hadith riwayat kiya tha Hameed Al Tawail, Abu Umru Bin Al’Ala aur Thaur Bin Yazeed se.

Hafiz ibn Hajar kahte hai:-

Ye hadith Salaam Al’Tawail ke wajah se kafi kamzor hai.

Is hadith me jo dusra raawi hai  "ZAID AL AMI" wo bhi Daif raawi hai.

Dalail:-

“Zaid Al Ami” Daif hai.

(Tarqeeb Al Tehzeeb 2131)

Aksar Muhaditheen ne is raawi ko daif kaha hai.

(Majmai Az-zawaid 260,110/10)
_____________________________________________________________________________

Dusri riwayat

دَّثَنَا بَكْرُ بْنُ سَهْلٍ الدِّمْيَاطِيُّ ، ثنا عَبْدُ اللَّهِ بْنُ صَالِحٍ ، حَدَّثَنِي كَثِيرُ بْنُ سُلَيْمٍ ، عَنْ أَنَسِ بْنِ مَالِكٍ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ ، أَنّ النَّبِيَّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ كَانَ إِذَا صَلَّى وَفَرَغَ مِنْ صَلاتِهِ مَسَحَ بِيَمِينِهِ عَلَى رَأْسِهِ ، وَقَالَ : ” بِسْمِ اللَّهِ الَّذِي لا إِلَهَ غَيْرُهُ الرَّحْمَنِ الرَّحِيمِ ، اللَّهُمَّ أَذْهِبْ عَنِّي الْهَمَّ وَالْحَزَنَ-

Ye  Katheer Bin Saleem aur Anas Bin Malik r.a. ke sanad se riwayat kiya gaya tha ki jab RasoolALlah apni namaz khatm karte wo apne daae hath se apne sar par masah karte aur farmate: Allah ke naam se jiske siwa koi sacha mabood nahi hai.  Ae Allah Dukh aur Takleef se mujhe Riha kar de.

(Al-kamil Ibne Adee 199/7)
(Tabrani Fil Awsat Hadith 3202)
(Kitabul Dua Tabrani Hadith 658)
(Al-amali Lal Shajari 249/1)
(Tareekh Baghdad 480/12)
(Nataij Ul Afkar 302,301/1/2)

Is Riwayat Me Raawi "Katheer Bin Saleem" Munkarul Hadees Aur Matrook Hai.

Imam Bukhari Farmate Hai :-

“Munkarul Hadeeth”.

(Kitabul Duafa’ Tehqeeqi Tuhfatul Aqwiya 316)

Jise Imam Bukhari Ne Munkarul Hadeeth Kaha Ho To Unke Hisab Se Us Raawi Se Riwayat Karne Ki Ijazat Nahi Hai.

(Lisan Ul Meezan Volume 1 Page 20)

Imam Nasai Farmate Hai :-

“Matrook Ul Hadees”.

(Kitab Ul Dhuafa’ Wal Matrokeen 506)

"Matrook" Raawi Ki Riwayat Motabar Nahi Hoti Hai, Yaha Tak Ki  “shawaahid And Mutaaba’aat” Me Bhi Nahi.

(See Ikhtisar Ul Uloom Ul Hadees Al-hafiz Ibne Katheer Page 38, Al’noo’ Ul Thaani, Taa’reefaat Akhree Al-hasan)
____________________________________________________________________________

Haasil:-

Ye Dono Riwayate Kafi Kamzor Hai.

Imam Albani Farmate Hai :-

“Daeef Jiddan Kafi Kamzor."

(Silsila Daeefa 114/2 Hadees 660)

Imam Suyuti Farmate Hai

“Daeef”.

(Jami Ul Sagheer 6741)

In Sab Dalail Se Ye Sabit Hota Hai Ki Koi Bhi Sahih Riwayat Nahi Hai Jisse Sabit Ho Ye Amal. Ye Amal Na To Rasoolallah S.a.w. Ne Kiya Na Sahabao Ne Aur Na Hi Tabaeen Ne Aur Na Hi Tabe-tabaeen Ne. Lihaza Ye Amal Biddat Hai.

Allah Hame Biddat Se Bachne Aur Sunnah Se Mohabbat Karne Ki Taufeek De Aameen.