اقرأ باسم ربك الذي خلق

31 Dec 2017

Imaamat Ke Chand Masaael


1. Ummul Momineen Aaisha رضي الله عنه se riwayat hai: ‘Rasool Allah ﷺ ne apne hujre me (Ramzan ul Mubaarak mein) raat ki namaz padhi aur hujre ki deewar choti thee logo’n ne dekh liye aur inho’n ne hujre se baahar Aap ki iqtedaa mein namaz adaa ki.’

(Bukhari: al Azaan 729)

Maloom hua ke Imam aur muqtadiyo’n ke darmiyan agar deewar ajaae to koi harj nahi, baaz masaajid mein juma ke din bheed hone ki binaa par masji se baahar sadak par namaz adaa ki jaati hai agar muqtadi takbeer ki awaaz sun rahe hain to aisa karne mein koi harj nahi.

2. Abdullah bin Abbas رضي الله عنه kehte hain ke main raat ki namaz mein Nabi e Rahmat ke baaei’n taraf khada hua. Aap ne peeche se mera sar pakda aur mujhe apni daei’n taraf kardiya.

(Bukhari: al Azan 726 – Muslim: Salatul Musafireen 763)

Is se maloom hua ke nawaafil ki jamat mein takbeer (aqaamat) nahi hai aur agar akele aadmi ne namaz shuru ki phir doosra aakar iske sath aamila to pehla namazi Imaamat ki niyat karke namaz jaari rakhe. Wallah A’alam.

Jaabir kehte hain ke main namaz mein Nabi e Akram ke peeche khada hogaya to Aap ne mera kaan pakad kar mujhe apni daie’n jaanib karliya.

(Muslim: Salatul Musafireen 766)

3. Rasool Allah ﷺ jab namaz adaa karne ke liey nikalte to Sayyadna Bilal رضي الله عنه Aap ko dekh kar takbeer kehte aur Aap ke (Hujre se) nikalne ke baad log saf bandi karte the.

(Muslim: al Masaajid 606)

4. Rasool Allah ﷺ ki beemari ke ayyam mein Abu Bakar ne imaamat karaai. Ek din Aap ne takleef mein taqhfeef paai to do Sahaabi ka sahaara lete hue masjid mein daaqil hue Siddiq e Akbar jamat karaa rahe the. Jab Abu Bakar ne Aap ki aamad mehsoos ki to peeche hatna chaaha, Aap ne ishaara kiya ke peeche na hato. Aap Abu Bakar ki baie’n taraf baith gae aur baith kar namaz adaa ki aur Abu Bakar khade the. Abu Bakar Siddiq Rasool Allah ﷺ ki iqtedaa karte aur log Abu Bakar ki iqteda karte. Ye Zohar ki namaz thee.
(Bukhari: al Azan 687 – Muslim: Isteqhlaf al Imam 418)

5. Jang e Tabook mein 1 din Rasool Akram rafa e haajat ke liey gae to wuzu kiya jab paho’nche to dekha ke Abdur Rahman bin Auf namaz padha rahe the. Inke peeche Rasool e Akram ne 1 rakat padhi. Abdur Rahman bin Auf ne dono’n rakatei’n padhne ke baad salam pher kar dekha to Rasool Allah ﷺ namaz poori karne ki khatir doosri rakat ke liey khade hogae the. Salam ke baad farmaya tum logo’n ne accha kiya, tum log waqt muqarrara par namaz padha karo.
(Muslim: al Salah 274)
Maloom hua ke afzal (T: Best in the group) muqtadee ban sakta hai.

6. Muaz Rasool Allah ﷺ ke sath namaz padhte phir apni qaum ke paas aate aur inhei’n namaz padhate.
(Bukhari: al Azan 700 – Muslim: al Salah 465)
Ye namaz Muaz ke liey nafil aur muqtadiyo’n ke liey farz ban jaati thee, is se maloom hua ake namaz mein imam aur muqtadee ki niyyat ka maqhloot (T: different) hona jaaez hai.

7. Do (2) Aadmiyo’n Ki Jamaat:

Abu Saeed kahte hai ke 1 aadmi masjid mein aaya. Aap namaz padha chuke the. Nabi e Rahmat ne poocha: ‘Is par kaun sadqa karega, ek shaqs kahada hua aur is ne aane wale ke sath baajamaat namaz padhi.’

(Abu Dawood: al Salah 574) Imam Tirmizee aur Imam Haakim aur Imam Zahabi ne ise Saheeh kaha.

Maloom hua ke Masjid mein pehli jamat khatam hone ke baad doosri jamat qaem karna jaaez hai aur jamat ke liey 2 aadmi kaafi hain isi tarha agar koi ramzan mein is waqt masjid mein aae jab taraaweeh ki namaz shuru ho chuki ho aur is ne Isha ki namaz na padhi ho wo Isha ki niyyat se jamat mein shaamil ho jaae aur imam ke salam pherne ke baad baaqi rakatei’n poori karle take is tarha ise jamat ka sawaab mil jaae.

•٠•●●•٠•