اقرأ باسم ربك الذي خلق

26 Dec 2017

Imam Ke Piche Surah Fatiha Padhna


1۩ ‘Ubada bin As-Samit r.a. riwayat karte hai ki Rasool Allah ﷺ ne farmaya Jo namaz me surah Fatiha nahi padhta hai uski namaz nahi hoti.

Sahih al-Bukhari 756.

2۩ ‘Ubada bin As-Samit r.a. riwayat karte hain ki ham namaz e fajar me Nabi ﷺ ke piche the. Aap ﷺ ne Quran padha pas Aap pe padhna bhari hogaya, jab namaz se farig huwe to farmaya, “Shayad tum apne imam ke piche padha karte ho?” Ham ne kaha “Haa” Ae Allah ke Rasool ﷺ. Aap ne farmaya “siwaye sureh Fatiha ke aur koch na padha karo kyu ki us shaksh ki namaz nahi hoti jo sureh Fatiha na padhe.”

Sunan Tirmizi hadees no: 311, ibn e Khuzaima-1581, ibn e Hibban-460, 461.

3۩ Abu Hurairah r.a. se riwayat hai ke Nabi ﷺ ne farmaya,

“Jis Ne Namaz Padhi Aur Isme Surah Fatiha Na Padhi To Uski Namaz Naaqis Hai (Puri Nahi) Teen Baar Farmaya,”.

Abu Huraira r.z. Se Kaha Gay Ke Hum Imam Ke Peeche Hote Hai To?

Ap Ne Farmaya Aahista Padha Karo Kyunki maine Rasool ﷺ se suna hai ke Allah tala ne farmaya namaz mere aur bande ke darmiyan aadhi taqseem hogai hai, aur mera banda jo bhi maange ga use wahi milega. chunancha banda jab ALHAMDULILLAHI RABBIL AALAMIN kahta hai to Allah tala kahte hian, Hamdani abdi (mere bande ne meri tarif ki) aur jab AR RAHMANIR RAHIM kahta hai to Allah kahta hai, (banda ne meri khubi aur buzurgi bayan ki aur kabhi farmata hai ke banda ne apne kamo ko mere supurd kar diya) phir jab wo IYYA KANA BUDU WAIYYA KANASTAIN, kahta hai to Allah farmata hai (ye mere aur bande ke beech hai aur mere banda ko jo wo mange mile ga) aur jab wo IHDINAS SIRAATAL MUSTAQIM …….. walazzuwaalin kahta hai to Allah tala farmata hai ye mere bande ke liye hai aur jo wo mange ise wahi milega.

Sahih Muslim, kitabu salat baab wajoob qirat fatiha, Hadis 878.

4۩ Yazeed bin shareek (tabiyee) r.h. se riwayat hai k unhownay Umar r.a se imam k pichay qiraat k barey mai pocha to unhownay farmaya surah fatiha padho .Unhownay kaha agar app (imam) b hoo? To farmaya agarchay mai (imaam) bhi hoo. Unhownay kaha agar app qiraat bil jahar (loud) kar rahey hoo? To farmayah agar mai qiraat bil jahar kar raha hoo.(toh bhi padho).

MUSTADRAK AL HAAKIM. HADITH- 873.

•٠•●●•٠•