اقرأ باسم ربك الذي خلق

1 Jan 2018

Kabr Me Sawal Jawab Aur Azab-e-kabr Ka Bayan


Al-Bara’ (razi allahu anhu) se riwayat hai, Inhon ne kaha hum Rasool ﷺ ke sath ek Ansari ke janaze me gaye hum kabar ke paas phunche toh abhy lehed (kabar) tayar nahi hui thy Rasool ﷺ baith gaye aur hum bhi Rasool ﷺ ke sath baith gaye. Gooya kee hamare saraon par parinde ho (nihayat pur sukoon aur khamoshi se baithe the).
Aap ﷺ ke hath me chadi thi Aap is se zameen khuraid rahe the.

Aap ﷺ ne apna sar uthaya aur farmaya:

Allah se Kabr ke azab se Allah ki panaah talab karo.
Aapne 2-3 baar ye farmaya (Jurair ki riwayat me yahan izafa hai.)
Aap ﷺ ne farmaya jab log (murde ko dafna kar) wapis jate hai to mayyat inke qadmo ki aahat sunti hai aur usi waqt usse pucha jaata hai
Aye falanh: Tera Rab kaun hai.?
Tera Deen kya hai.?
Tera Nabi kaun hai.?
Aap ﷺ ne farmaya iske paas 2 farishte ate hai aur ise baithate hai aur is se kehte hai
Tera Rab koun hai.?
Too woh kahta hai mera Rab Allah hai.
Fir wo puchte hai- Tera Deen kya hai.?
To woh kehta hai mera Deen Islam hai
Fir woh puchte hai, ye admi kaun hai jo tum me maboos kiya gaya tha.?
Wo kehta hai ki woh Allah ke Rasool ﷺ hai.
Fir wo kahte hai tujhe kaise Ilm hua? Wo kahta hai maine Allah ki kitab padhi hai, ispar imaan laya aur iski tazdeek ki. jurair ki riwayat me mazeed hai, yahi(sawal jawab) misdaq hai Allah ke is farmaan ka(ayat hai)" phir wo dono riwayat karne me muttafiq hai, aap s.a.w ne farmaya phir aasman se munadi karne wala ailaan karta hai,
Tahqeeq mere bande ne sach kaha hai, ise Jannat ka bistar bichadoo aur jannat ka libas pehnado aur iske liye jannat ki taraf se darwaza khol doo, Fir farmaya jannat ki taraf se wahan ki hawaein, rahatein, aur khushbu aane lagty hai, aur iski Qabr ko itehayi nazar tak wasee kar diya jata hai,

Fir Kafir aur iski maut kaa zikr kiya aur farmaya: Iski Rooh iske jism me lautayi jaaty hai aur wo iske paas aate hai aur woh iske paas aate hai aur ise baithate hai aur ise puchte hai 
Tera Rab koun hai? Wo kahta hai ke haye afsoos mujhe khabar nahi hai.
Fir wo us se pochte hai tera Deen kya hai?
To wo kahta hai haye haye mujhe khabar nahi,
Fir wo us se pochte hai ye aadme koun hai jo tum me maboos kiye gaya tha
wo kehta hai ke haye haye mujhe khabar nahi
to munadi asman se nida dete hai ke isne jhut kaha, ise aag ka bistar bichado, ise aag ka libaas pehnaadoo, aur iske liye dozaq ki taraf ka darwaza kholdo,
Farmaya ki phir ise jahannam ki taraf se tapish aur saqht garam hawa ane lagty hai aur is par Kabar ko tang diya jaata hai,
hatta ke iski phansiliyan ek dusre me ghuns jaate hai, Jurair ki riwayat me mazeed hai Fir is pe ek andha gungaa farishta muqarrar kardiya jata hai jiske paas bhary garz hota hai, agar isi pahaad par maara jaye to wo (pahaad) matti matti ho jaye,
Fir wo ise iske saath aisy chot marta hai jis ki awaaz jino aur insano ke alawa mashriq wa maghrib ke darmiyaan maqlooq sunty hai, aur phir wo matthy (reza reza) hojata hai, Farmaya fir ismee rooh lautayi jaati hai.

Narrated by Abu Dawood, 4753; Musnad Imam Ahmad, 18063 – this version was narrated by him. Classed as saheeh by al-Albaani in Saheeh al-Jaami’, 1676.

•٠•●●•٠•