اقرأ باسم ربك الذي خلق

30 Dec 2017

Khade Ho Kar Pani Pine Ke Ahkaam


HADITHS JO KAHTI HAI KI RASOOLALLAH NE KHADE HO KAR PANI PINE SE MANA FARMAYA:-

Anas r.a. riwayat karte hai ki RasoolAllah ﷺ khade hokar pani pina na-pasand karte the.

SAHIH MUSLIM (Book 23, Hadith 5017).

Abu Sa’id Khudri riwayat karte hai ki RasooolAllah ﷺ ne Khade hokar pani pine se Khabardaar kiya.

SAHIH MUSLIM (Book 23, Hadith 5020).

Anas r.a. riwayat karte hai ki RasoolAllah ne Khade hokar pani pine se mana farmaya tha.
ABU DAWOOD, (Book 26, Hadith 3708).
_____________________________________________________________________________

HADITHS JO KAHTI HAI KI RASOOLALLAH ﷺ NE KHADE HOKAR PANI PIYA:-

Ibn `Abbas riwayat karate hai ki RasoolAllah ﷺ ne Zamzam(pani) khade hokar piya.

SAHIH BUKHARI (Vol. 7, Book 69, Hadith 521)

Ibn Abbas riwayat karte hai: Maine RasoolALlah ﷺ ko Zamzam(ka pani) pesh kiya, aur unhone use khade hokar piya.

SAHIH MUSLIM (Book 23, Hadith 5023)

Ibn Abbas r.a. riwayat karte hai ki RAsooolALlah ﷺ ne Khade hokar Zamzam ka pani balti (bucket) maise piya.

SAHIH MUSLIM (Book 23, Hadith 5024)

An-Nazzal riwayat karte hai:Ali r.a. (MAsjid ke) aagan ke darwaje pe aye aur fir Khade hokar pani piya aur farmaya “Kuch logo ko khade hokar pani pina na-pasand hai jabke maine RasoolaALlah ko ye karte hue dekha waise hi jese maine kiya hai .”

SAHIH BUKHARI (Vol. 7, Book 69, Hadith 519), ABU DAWOOD (Book 26, Hadith 3709).

An-Nazzal bin Sabra riwayat karte hai: Ali r.a. ne Zuhr namaz padhke Kufa ki masjid ke chuade se aagan me baith gaye aur logo ke muamla ke muaede karne lage jab tak ke Asr ka waqt na ho gaya. Fir unko pani laakar diya gaya aur unhone use piya, apne chehre, hath, sar aur panje dhule. Fir unhone Khade hokar pani piye aur farmaya, “Kuch logo ko khade hokar pani pina na-pasand hai jabke maine RasoolaALlah ko ye karte hue dekha waise hi jese maine kiya hai ”.

SAHIH BUKHARI (Vol. 7, Book 69, Hadith 520)

‘Ali ibn Abi Taalib ne Khade hokar pani piya aur logo ne unhe aise dekha jaisa wo iski mukhalifat kar rahe ho. Ali r.a. ne kaha: “ Tum aise kya dekh rahe ho? Agar maine khade hokar pani piya, Toh maine RasoolALlah ko khade hokar pani pite dekha, aur agar mai baith ke pani hui to maine RasoolALlah ﷺ ko baith kar pani pite hue dekha”.


Ye riwayat kiya gaya tha ki Ibn Umar r.a. ne farmaya:”RasoolAllah ke zamane me ham chalet hue khaya karte the, aur khade hokar piya karte the.”IBN MAJAH (Vol. 1, Book 29, Hadith 3301) 
_____________________________________________________________________________

ULAMA E DEEN KI RAAE:-

AL-NAWAWI KAHTE HAI

وليس في هذه الأحاديث بحمد الله تعالى إشكال ، ولا فيها ضعف ، بل كلها صحيحة، والصواب فيها أن النهي فيها محمول على كراهة التنزيه . وأما شربه صلى الله عليه وسلم قائما فبيان للجواز ، فلا إشكال ولا تعارض ، وهذا الذي ذكرناه يتعين المصير إليه
فإن قيل : كيف يكون الشرب قائما مكروها وقد فعله النبي صلى الله عليه وسلم ؟
فالجواب : أن فعله صلى الله عليه وسلم إذا كان بيانا للجواز لا يكون مكروها، بل البيان واجب عليه صلى الله عليه وسلم ، فكيف يكون مكروها وقد ثبت عنه أنه صلى الله عليه وسلم توضأ مرة مرة وطاف على بعير مع أن الإجماع على أن الوضوء ثلاثا والطواف ماشيا أكمل ، ونظائر هذا غير منحصرة ، فكان صلى الله عليه وسلم ينبه على جواز الشيء مرة أو مرات ، ويواظب على الأفضل منه ، وهكذا كان أكثر وضوئه صلى الله عليه وسلم ثلاثا ثلاثا ، وأكثر طوافه ماشيا ، وأكثر شربه جالسا ، وهذا واضح لا يتشكك فيه من له أدنى نسبة إلى علم . والله أعلم

In Hadiso me koi ikhtilaf nahi, saari taarife Allah ke liye hai aur un maise koi Zaif bhi nahi hai. Balki wo sare sahih hai. Sahi Raae ye hai ki jaha Mana karne ka zikr kiya gaya hai use na-pasandida samjha jaye. Haqiqati taur par ye ki RasoolALlah ﷺ ne khade hokar pani piya ye ishara karta hai ki ye karna jayz hai. Bas yahi baat kahni zaruri hai.

Agar ye pucha jaye ki khade hokar pina makrooh kaise hai jab ki RasoolALlah ne aisa kiya?

Iska jawab ye hai ki agar unhone ye dikhane ke liye kiya ki ye jayz hai to ye karna makrooh nahi hai, balki RasoolAllah pe ye dikhana aur wazahat karna laaazim tha, toh ye makrooh kese hua? Ye sabit hai ki RasoolALlah ﷺ har hisse ko sirf ek baar dho kar wuzu kiya, aur ye ki unhone Kabah ka tawaf oonth(camel) par sawar hokar bhi kiya, iske baad bhi ki ulmao me ijma hai ki wuzu ke dauran teen baar apne hisse ko dhona behtar hai aur ye bhi ki chalte hue tawaf karna behtar hai. In jaisi boht si misale hai. RasoolaAllah ﷺ ne dikhaya ki kuch chize ek baar bhi karna jayz hai aur teen baar bhi, lekin unhone wo jari rakha jo behtar tha. Isliye aam taur par jab wo wuzu karte the unhone teen baar apne hisse dhule, aur aam taur par unhone teen baar tawaf kiya aur aam taur par unhone baith kar pani piya. Ye saaf wazeh hai aur uljhane ki baate nahi hai unke liye to zara sa bhi aql rakhne ka dawa karte hai. Aur Allah sab se behtar janta hai.

SHARAH AN NAWAWI UNDER THE HADITH 2024, SAHIH MUSLIM.

Al-Haafiz ne kaha:

وهذا أحسن المسالك وأسلمها وأبعدها من الاعتراض

Ye sabse behtreen aur sabse sahi wazahat hai, aur isse ikhtilaf boht dur ho gaya hai.

(FAATH UL-BAARI UNDER THE HADITH 5923). SOURCE OF FAATH UL-BAARI :-

BUNYADI USOOL YE HAI KI HAR SHAKS KO BAITH KAR PANI PINA CHAIYE AUR YAHI BEHTAR HAI, LEKIN KOI SHAKS KHADE HOKAR BHI PANI PI SAKTA HAI. RASOOLALLAH ﷺ NE DONO TARIKE KIYE AUR KAR KE DIKHAE. (FATAAWA AL-LAJNAH AL-DAA’IMAH 22/133).