اقرأ باسم ربك الذي خلق

31 Dec 2017

Kya Farz Namazon Ke Baad Ijtemaai Dua Karna Biddat Hai ?


Farz Namazon Ke Baad Ijtemaai Dua Karna Beshak Bid'at Hai, Aur Jo Amal Imam ul Ambia Muhammad Rasoolallah ﷺ Se Sabit Nahi To Ham Kaise Use Sunnat Samjh Kar Karlenge?

Namaz Ke Bad Ijtemai Dua Ki Shara'i Hesiat:

۩ Imam Malik: "Yeh Amal Biddat Hai". (Fath Ul Bari 326/2)

۩ Ibn E Qayyam: "Farz Namaz Ke Baad Ijtemai Dua Ap Salalahu Alahi Wasallam Ka Tareeq Nahi Tha". (Zaad Ul Maad 257/1) 

۩ Anwar Shah Kashmiri Deobandi: "Dua Ki Ijtemai Surat Jiska Ajkal Riwaj Hai Sabit Nahi" (Al Arf Al Shazi P#98)

۩ Saudi Majlis Ifta: "Hame Kisi Aisi Daleel Ka Ilm Nahi Jo Is Amal Ki Mashroiat Par Dalalal Karti Ho". (Alfatawa Alislamia 290/1)

۩ Ibn-e-Taymiya: "Yeh Amal Biddath Hai (Majmu Al Fatawa 519/22).

Namaz Ke Baad Ijtamai Dua Karna Biddat Hai Balkay Hamein Namaz Ke Baad Masnoon Azkaar Karna Chaiye Jo Ke Sunnat Se Sabit Hai. Mohammad ﷺ Ne Farmaya Ki Meri Sunnat Aur Khulfa Rashidin Ki Sunnat Ko Daanto Mazbuti Se Pakde Rahna Aur Har Nayi Chiz Jo Deen Me Nikali Jaye Usse Bachna Kyuki Har Nai Chiz Ek Gumrahi Hai.

[Musnad Imam Ahmad (4/126) And At-Tirmidhee (2676)].

Maulana Abdur Rahman Mubarakpuri r.h. Kahte Hain Ki Agar Koi Personally (Akela) taur par Namaz Ke Baad Haath Uthakar Dua Maang Leta Hai To Usme Koi Harz Nahi, Imam Ibne Taymiya Rh, Ibn E Qaiyyam Rh, Ibne Hajar Rh, Aur Bahut Se Muhaqqeen Ulma Ne Farz Namaz Ke Baad Mashoor Ijtemaai Dua Ka Inkaar Kiya Hai Aur Ise Bid'at Kaha Hai.

Aap ﷺ Ne Farmaya:- "Jald Hi Meri Ummat Me Aise Log Paida Honge Jo Paani Ke Istemaal Me Aur Dua Karne Me Hadd Se Aage Badh Jayenge".

Sunan Abu Dawood 1480, Imam Haakim Aur Imam Zahabi Ne Ise Sahih Kaha Hai.

Ijtemaai Dua Ki Daleel Me Bayaan Ki Jaane Waali Tamaam Riwayate Zaeef Hai... Allah Swt Hume Bidat Se Bachne Aur Sunnato Par Chalne Ki Taufiq Ata Farmaye.

•٠•●●•٠•

Prepared By:- A.Sayed.