اقرأ باسم ربك الذي خلق

1 Jan 2018

Kya Rafa Yadain Mansuqh Ho Gaya Tha?


Jo log yeh kahte hai ki Raful yadain Mansuqh ho gaya tha, asal me, unke paas koi dalail nahi hai. Ye unki ek koshish hai sunnat e nabawi ko mansukh karne ki. Jab ki Islam me sunnah chhorne ke liye nahi balki apnane ke liye hoti hai. 
Mai in shaa ALLAH is article me koshish karunga sach pesh karne ki. Mai is article me ye subut nai dunga ki RasoolAllah aur sahaba raful yadain karte the kyuki Alhamdulilah khud jo log rafa yadain nai karte wo mante hai ki RasoolAllah ne rafa yadain kiya tha. Ab is article me mai ye Dalail dunga ki RasoolAllah shuru me nai, akhir me nai balki HAMESHA!!! rafa yadain karte the.

 Sayyidina ‘Abdullaah bin ‘Umar (radiyallaahu ‘anh) say riwayat hai ke mein nay Rasool Allah ﷺ ko daikha ke, aap JAB BHI namaz ke liye kharay hotay to kandhon tak rafa’ yadain kertay, ruku kertay waqt bhi aap isi tarha kertay thay aur jab ruku say sar uthaatay to isi tarha kertay thay aur farmatay: سمع اللہ لمن حمدہ aur sajday mein aap aisa nahein kertay thay.

Sahih Bukhari (736).

Is hadith me Umar r.a. ke bete Abdullah farmate hai ki RasoolAllah jab bhi namaz padhte the wo rafa yadain karte the.

RasoolAllah aakhri Daur me rafa yadain karte the iski dalail kuch aisi hai:

Sayyidina ‘Abdullaah bin ‘Umar (radiyallaahu ‘anh) ne aik hadith mein farmaya: Nabi ﷺ ne apni zindagi k aakhri door mein humein isha ki namaz parhae phir jab aap ne salam phaira to kharay ho gayay.
[صحیح بخاری:۱۱۶، صحیح مسلم:۲۵۳۷]

Is hadith se maloom hua k Ibn-e-’Umar (radiyallaahu ‘anh) ne Rasool Allaah ﷺ ko aakhri door mein namaz perhtay huay daikha tha lihaaza aap ka rafa’ yadain rawaayat kerna aakhri amal hai.

Wael bin Hajar farmate hain: Main ne Nabi e Akram ko dekha, jab Aap namaz shuru karte to Allahu Akbar kehte aur apne dono’n haath uthate. Phir apne haath kapde mein dhaa’nk lete phir daya’n haath bayei’n par rakhte. Jab rukoo karne lagte to kapdo’n se haath nikalte Allahu Akbar kehte aur rafa yadain karte, jab ruku se uthte to Samee Allahu Liman Hameeda kehte aur rafa yadain karte.
(Muslim: al Salah 401)

Wael Bin Hajar 9 Hijri mein Rasool Allah ke paas aaey.

[Al Bidaya wal Nihaya vol 5 page 71].

Aini hanafi  farmate hai: Wail Bin Hajar Madinah me 9 Hijri me Islam Qubul kiya tha.

[Umda tul Qari Vol 5 Page 274 under the hadeeth no: 735]

Sahih Ibn Hibban Vol 3 page 169 hadeeth no: 1857 me ye zikr kiya gaya hai ki Wael Bin Hajar RasoolAllah s.a.w. se agle saal sard ke mausam (winter) me fir mile the (matlab 10 hijri me) aur unhone is saal bhi RasoolAllah ko Rafa yadain karte hue dekha. Sunan Abi Dawud no: 727.

 Lehaza saabit hua ke Rasool Allah 10 hijri, apne akhri daur tak rafa yadain karte the, 11 Hijri mein Nabi e Rahmat ne wafaat paai.

Ek aur nukhta gaur karne ke layk hai ki agar RasoolAllah ﷺ apne akhri daur me rafa yadain karna chor dete to Tabaeen aur Tabe-Tabaeen Rafa yadain na karte kyuki ye RasoolAllah ke daur ke baad aye the aur jo sahaba RasoolAllah ke faut hone ke baad hayat se the ye unke pairokaar the to agar RasoolAllah akhri daur me rafa yadain karna chhor dete to ye sahaba bhi jo aap ﷺ ke wafat ke baad hayat se the ye bhi rafa yadain chor dete aur fir tabaeeb aur tabaeen ko Rafa yadain ka ilm hi na hota na hi unhone sahabao se rafa yadain sikha hota. TABAEEN  KE RAFA YADAIN KARNE KI DALAIL:

Saeed bin Jubair(Tabaeen) se Namaz me Rafa yadain ke talluk se pucha gaya, unhone farmaya, Ye logo ke namaz ki Khubsurti hai aur RasoolAllah ke Sahabi r.a. namaz shuru kertay waqt, ruku say pehlay aur ruku k baad rafa’ yadain kertay thay.

Sunan Al Kubra Behaqi Vol 2 page 75 hadeeth no: 2355, Shaykh Zubair Ali Zai said Chain is authentic.

Hasan Basree (Tabaeen) ne kaha: RasoolAllah ﷺ ke sahaba ruku me aur ruku se uthne ke baad rafa yadain karte the aise jaise wo pankhe(fans) ho. 

[Juzz al Rafayadain hadeeth no: 29 Authenticated by Shaykh Zubair Ali Zai]

Tabe-Tabaeen bhi Rafayadain karte the:

Ayyub Al-Sukhtiyaani (rahimahullaah) k shaagird (taba taaba’e) Hammad bin Zaid (rahimahullaah) bhi shuru namaz, ruku say pehlay aur ruku k baad rafa’ yadain kertay thay.
[السنن الکبریٰ للبیہقی ۷۳/۲ و سندہ صحیح]

AUR IMAM BUKHARI NE TO PURI EK KITAB TAYYAR KI HAI JUZZ RAFA YADAIN NAAM KI AUR UNHONE US KITAB ME SABIT KIYA HAI 100 SE ZYADA HADITHS LIKH KAR KI HAR MUSLIM AUR JO SUNNAH SE MUHABBAT RAKHTA HAI USE RAFAYADAIN KARNA CHAIYE. TOH HAME DUNIYA AUR APNE BUZURGO SE ZYADA ALLAH KE RASOOL KI SUNNAH SE MUHABBAT HONI CHAIYE.

AUR SIRF IMAM BUKHARI HI NAI JITNE BHI MUHADDISEEN THE AWWAL ZAMANE KE WO SAB RAFA YADAIN KARTE THE. IMAM BUKHARI, IMAM MUSLIM, IMAM ABU DAWOOD, IMAM TIRMIDHI, IMAM NASAI, IMAM IBN MAJAH, AUR BAAKI IMAM BHI. AUR ALHAMDULILAH YE BAAT BARELWI ULEMA BHI TASLEEM KARTE HAI. YE RAHA LINK:- https://www.youtube.com/watch?v=0P6-65VpxiM

AUR 4 IMAMO MAISE TEEN IMAM BHI RAFA YADAIN KARTE THE AUR IMAM ABU HANEEFA NE RAFA YADAIN IS LIYE NAHI KIYA HOGA KYUKI HO SAKTA HAI KI UNKE PAS RAFA YADAIN WALI HADITH NA POHCHI HO. LEKIN SATH SATH IMAM ABU HANEEFA NE YE BHI KAHA THA KI JAB SAHIH HADITH MIL JAYE TO WAHI MERA MAZHAB HAI [Ibn `Aabideen in al-Haashiyah (1/63)]. TO INDIRECTLY IMAM ABU HANEEFA BHI RAFA YADAIN KARNE KO KAHTE HAI.

Agar RasoolAllah ﷺ Rafa yadain karna chor dete to ye bade Ulema, Muhaddith aur Imam kabhi nahi Rafa yadain karte kyuki ye sab RasoolAllah ﷺ ke baad aye the aur in ulemao, muhaddith aur imamo ko rafa yadain mansuqh hone ka ilm zarur hota kyuki in maise aksar awwal zamane ke Ulema, Imam aur Muhaddith the. Aur in maise kisi ne nahi kaha tha ki rafa yadain Mansuqh ho gaya tha balki ye sab kasrat se rafa yadain karte the.

Maloom hua ke rafa’ yadain per musalsal amal door-e-nabwi, door-e-sahaaba, door-e-taaba’een, door-e-taba taaba’een aur baad ke har zamaanay mein hota raha hai lihaaza isay mansookh ya matrook samajhna ya phir jhootay qissoon k saath iss ka mazaaq uraana asal mein hadith aur salaf saliheen k amal ka mazaaq uraana hai.

Allah se dua hai wo hame har ek sunnah se mohabbat karne ki taufeek de aur us muhabbat ko amal me lane ki taufeek de.aameen.

•٠•●●•٠•

Prepared by:- Faisal Khan

Is Mauzu Se Mutallik aham Mazmoon:-(Click to view):

۩ 
۩ Rafa’ Al-Yadain (bunyadi usool)