اقرأ باسم ربك الذي خلق

30 Dec 2017

Mard Ka Hijab


Aksar log Hijab se ye samajhte hai ki sirf badan ka dhaka hona hi hijab kahlata hai lekin Hijab sirf badan ka dhakna hi nahi hai, Ap kya aur kaise dekhte hai, kya sochte hai, kaisi baate karte hai, kya sunte hai, apne hatho se kya karte hai, apne pair se kaha jate hai aur kaise chalte hai ye sab Hijab me shumaar hota hai aur Aksar log sirf Khwateen ke hijab ke bare me baat karte hai jab ki Allah swt Khwateen ke hijab se pahle mardo ke hijab ki baat karte hai. Allah swt Quran me farmate hai:

"Musalman mardon say kaho apni nigahen neechi rakhen aur apni sharam gahon ki hifazat rakhen. Yeh hi unn kay liye pakeezgi hai aur jo log karte hai Allah Taalaa sab say khabra daar hai.

(SURAH AN NUR 24 VERSE 30).

IMAM IBN KATHEER FARMATE HAI :-

هذا أمر من الله تعالى لعباده المؤمنين أن يغضوا من أبصارهم عما حرم عليهم ، فلا ينظروا إلا إلى ما أباح لهم النظر إليه ، وأن يغضوا أبصارهم عن المحارم ، فإن اتفق أن وقع البصر على محرم من غير قصد ، فليصرف بصره عنه سريعا

Ye Allah ka farman hai eeman wale bando ke liye ki woh apni nigaho ko niche rakhe aur us chiz ko dekhne se bache jo unke liye dekhna haram hai. Isliye unhe sirf wahi dekhna chaiye jise unko dekhne ki ijazat hai aur unhe apni nigahe nichi rakhni chaiye aur bachna chaiye un chizo se jo haram hai unke liye. Agar achnak se uski nazar aisi chizo par pade jo uske liye haram hai toh fauran use apni nigahe hatani chaiye.

(TAFSEER IBN KATHEER, 3/282)




SUNNAH SE DALAIL

Ibn Buraidah riwayat karte hai apne walid se ki RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya : Ae Ali! Pahli nazar ke sath pahli nazar ki pairwi na karo. Pahli nazar tumhare liye hai lekin dusri nazar tumhare liye nahi hai.
Tirmidhi.Vol. 1, Book 41, Hadith 2777.

Is hadith ki wazahat yeh hai ki agar achanak se pahli nazar padti hai to pahli nazar to muaf hai lekin dusri nazar muaf nai hai. Isliye use dusri nazar se bachna chaiye.

'Abdullah b. 'Abbas riwayat karte hai ki jab al-Fazl bin Abbas Allah ke Rasool ke piche sawari kar rahe the, Khath'am ke kabile ki ek Khwateen RasoolAllah ﷺ ke paas ek deeni faisla puchne aai. Fazl ne us khwateen ke taraf dekha aur unhone bhi Fazl ki taraf dekha. Allah ke Rasool ne Fazl ka chehra dusri taraf mod diya.
Sahih Muslim 1334.
_____________________________________________________________________________

KAPDO KA HIJAB

Mard ka satar naaf(navel) se lekar ghutno(knee) tak hai.  Reported by Darqutni and Baihaqi.

 Ibn 'Abbas riwayat karte hai ki RAsoolAllah ﷺ ne farmaya " Raan (thigh) Awrah hai."
 Jami` at-Tirmidhi,Vol. 1, Book 41, Hadith 2797 Hasan

Jarhad riwayat karte hai:
Allah ke RAsool ﷺ hamare sath baithe aur mera Raan(thigh) be-nakaab tha. Unhone ne farmaya: Kya tumhe pata hai ki Raan(thigh) ek sharmgaah hai.
 Sunan Abi Dawud,  4014. (Sahih)



ANKHO AUR DIGAR AAZAA(ORGAN) KA HIJAB 

“Huzaifa r.a se riwayat hai k Nabi sww ne farmaya ke NIGAAH ‘ iblees k zehar alud teeron mai se aik teer hai.jo isay meray khaof se chor day ga mai usko meray khaof se aisa eman ata karu ga k jiski mithaas wo apnay dil mai mehsus karay ga”.. 
MUSTADRAK HAAKIM.PAGE 314

Abu Hurairah riwayat karte hai ki RasoolAllah ﷺ ne farmaya Allah ne zinah ki har kisme rakhi hai jisme mard padega aur usse koi bachao nai hoga.
Aankho ki zinah shahwat ki nazar se dekhna hai aur  kaano ka zinah Fahash ki chize sunna hai aur zuban ka zina awargi ki baate bolna hai aur hatho ka zinah shahwat ki girift(pakad) hai aur pair ka zinah  us jagah par chal ke jana jaha wo zina karne ki niyat karta hai aur uska dil waisa himmat karne ki khwahish karta jo ke wo kar sakta hai ya nahi kar sakta hai.
Sahih Muslim 2658.

Toh mere azeez bhaiyo apne Hijab ki Hifazat kare khas taur par apne nazro ki kyuki kal inhi aankho se hame Allah ka deedar bhi karna hai in shaa ALlah.


Prepared By: Faisal Khan