اقرأ باسم ربك الذي خلق

31 Dec 2017

Mazaar Par Chadar Chadhane Ki Haqiqat


Aj hamare bich ek galat rasam ne jageh leli hai ke kuch log Chadar chadhane ki mannat mangte hain aur fir mazar pe jakar chadar chadhate hain aur chadaron ki building khadi kar dete hain.

Kuch ghanton ke baad hi woh chadar wahan se ghayab hokar kisi dukan me bech diya jata hai aur aisa karne wale naam nihad Mujaawar hain jo khud ko mazar ka thekedar samjhte hain aur woh chadar ka paisa unki jeb me chala jata hai.
Ek tarah se ajkal mazar in Mujaawar ke liye dhande ki jagah ban gayi hai jo apne kirdar se tamam Muslim Ummah ko badnam karte hain.

Aaiye dekhte hai ki Islam is amal ko kya kahta hai:

Quran wa Sunnah ki ek bhi ayat ya riwayaat nahi hai jo kahti hai ki ek Muslim ko kabr par chadar chadhana chaiye. Balki ye amal haraam hai. Afsos ki baat hai ki aj kuch log is amal ko ibadat samajh kar kar rahe hai jab ki unke ulema aur unke fiqah me khud ye amal na-pasandida aur galat hai jiski koi sharai haesiyat nahi hai.

Qadhi Ibrahim(Hanafi ulema) kahte hai: "Ajkal kuch gumraah log kabr par Hajj karne lage hai aur unhone tarika(rasm) bana liye hai isko. Aur un muamlat me jo unke mazhab aur shariat ne mukhalifat ki hai wo ye hai ki log apni be-basi aur aajzi zahir karte hai mazaro ke paas aur waha chiraga karte hai. Waha par CHADAR CHADHANA, unke liye ek Mujaawar takweez karna, unko chumna, aur unse rizk aur aulaad mangna, ye saare amalo ka koi dalail nahi hai Shari'ah Islamiyyah me"
 [Ja' al-Haq p.302]

Allamah Haskafi al-Hanafi(Hanafi ulema) kahte hai: "Jo chize aur nazr-niyaz qaum karti hai qabr ke pass,chahe wo  nagad(cash) ya Tel(oil) ki shakal me ho to ye aam sahmati me ye baatil aur haraam hai."
[Durr e Mukhtar v.2, p.139]

Aur sath sath IMAM ABU HANEEFA KA AQIDAH bhi kuch aese hi hai. Imam Abu Haneefa farmate hai: "Ambiya wa Awaliya ke Qabron ko Sajda karna,Tawaf karna, Nazrane chadana Haram wa Kufr hai."

(Durr E Mukthar Jild-1 page No : 53)

Hazrat Ibn Abbas Radi Allahu Anha se rivayat hai ki Rasoollall ah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Qabron par masjid bananey walo aur us par chirag karney walon par bhi laanat farmayee hai

Sunan Abu Dawud, vol 2,1459.

Ab itni wazeh dalail hone ke ba-wujud bhi jo nahi manta hai to uske aankh par nahi balki dil par parda chadha hua hai. Allah pak farmate hai
Wo aankh nahi hai jo andhi hoti hai balki wo dil hai jo andhi hoti hai. 
Surah 22 ayat 46.

Allah سبحانہ و تعا لی hum tamam musalmano ko shariat ke mutabik zindagi guzarne aur jahilana rasmo riwaj se bachne ki taufiq inayat farmaye-aameen..

Prepared by:- Faisal Khan