اقرأ باسم ربك الذي خلق

1 Jan 2018

Momino Ki Maa Hazrat Ayesha r.a.


۩ Abu Musa al-Ash'ari r.a. unke bareme kahte hai:

ما أشكل علينا أصحاب رسول الله صلى الله عليه وسلم حديث قط فسألنا عائشة إلا وجدنا عندها منه علما-

Jab bhi hame (RasoolAllah ke sahabi) ko koi pareshani hoti kisi hadith me, ham Ayesha r.a. ke pas jate the aur (hamesha) paate ki unke pas hadith ka ilm hai.

[Sunan Tirmizi hadith no: 3883]

۩ Masrooq r.a. riwayat karte hai ki unse pucha gaya tha ki kya Ayesha r.a. ke pas wirasat ke batware ka ilm hai, unhone farmaya, “Allah ki kasam! Maine bade sahabah ko unse Faraid(Wirasat ke Qanun) ke bare me puchte hue suna.

[Imam Hakim in his Mustadrak 4/11, Musannif Ibne abi shaiba Kitab al Faraid, Imam Darami in his Sunan Kitab al Faraiz Chapter Taleem al faraiz no:2901 Dar ul Mugni Muhaqqiq of Sunan Darami said Chain is Authentic)].

۩ Jab Ayesha r.a. apne maut ke kareeb thi, Ibn Abbas ne unse milne ki ijazat mangi, aur fir unhone Ayesha r.a. se kaha: Rasool Allah ﷺ apne biwio maise ap se sabse zyada Muhabbat karte the aur Allah ke Rasool ne kisi se muhabbat nai ki siwae jo acha ho….. Allah ne jibreal ke zarye saat aasmano se apki masumiyat ki dalail bheje hai.”…..(Ayesha r.a. ne jawab diya) دعني منك يا ‏ ‏إبن عباس ‏ ‏والذي نفسي بيده لوددت أني كنت نسياً منسياً. Ae Ibn Abbas r.a. ise chhor do, Mai Allah ki kasam kha kar kahti hu jiske hath me meri zindagi hai, mai ek na-ma'loom(unknown) hona chahti thi.

[(Musnad Ahmad bin Hambal, Musnad Banu Hashim, Musnad Abdullah bin Abbas bin Abdul Mutlib)( Fadail e Sahaba of Imam Ahmad 2/872 no:1636)].

۩ Ayesha r.a. riwayat karti hai ki unhone 'Abdullah bin Zubair, ko wasihat kit hi, “Mujhe unlogo(Rasool aur unke do sahabi) ke sath mat dafnana lekin mujhe meri sathi(RasoolALlah ki biwio) ke sath dafnana.

[Bukhari Book #59, Hadith #644].

۩ Hafiz Ibn e Qayyam farmate hai:

'Un ki munfarid Khususiyat maise ye hai ki Allah ne unki masumiyat ka elaan kiya jo logo ne un par ilzam lagaya aur un ke liye ayate nazil farmayi unki masumiyat ke liye jo musalman apni masjid me tilawat karte hai qayamat tak. Allah ne khud gawahi di ki wo ek achi aurto maise hai aur unse magfirat ka wada kiya aur achi rizk ka. Us azmat wale ne bayan kiya ki jo unpar buhtan lagaya gaya tha wo akhir me un ke liye behtar sabit hua, akhir me ye un ke liye bura sabit nahi hua aur unke rutbe(status) ko koi nuksan na pohcha saka kyuki is ke zarye Allah ne unka martabe ko aur buland kiya aur unki masumiyat ka zikr aasman aur zameen me hota hai jo be-misal achi baat hai.

Aur unki munfarit khususiyat maise ye bhi hai ki Allah ke Rasool ne unke ghar me wafat payi us din un ke bazoo me aur Allah ke Rasool ko unke ghar me dafan kiya gaya tha.'

[Jalaa’ al-Afhaam, pp. 237-241]

۩ Ayesha r.a. ne 2210 hadiths riwayat ki thi.

[Siyar A'lam al-Nubala by Imam Ad Dahabee 2/139]

•٠•●●•٠•