اقرأ باسم ربك الذي خلق

27 Dec 2017

Nabi ﷺ ki Youm-e-Wiladat par tareekh ka ikhtilaaf

1) 2 Rab-ul-awal
2) 8 Rabi-ul-awal
3) 10 Rabi-ul-awal
4) 12 Rabi-ul-awal
5) 17 Rabi-ul-awal
6) 18 Rabi-ul-awal
7) 22 Rabi-ul-awal 
[Al-Bidayah wal nihaya , vol 2 pg 320]
8) 9 Rabi-ul awal
[Araheek-ul-Makhtoom, page#101]
9) 5 Rabi-ul-awal
[seerat-e-Tayabba pg 76]
 
10) Shaikh Abdul Qadir jilani Rh.a apni kitab main tehreer frmatay hain k “Humaray Nabi kareem s.a.w ki wiladat 10 moharram ko hui hai.”
[Ghuniat-ul-Talibeen, pg#392/2, Taba’ Beirut)
11) Bani-e-maslak BARELWI, Ahmed Raza khan sahab barelwi apni kitaab Fatawa rizviya, page # 412 , vol 26 mai zikar karte hain k 8 Rabi-ul-awal Nabi S.A.W.W ki wiladat ka din hai , iske baad wafaat ka zikar karte hain k wafaat-un-nabi S.A.W.W 12 rabbi-ul-awal hai. Jub k “Malfuzaat” 220/2 likhtay hain k “Nabi s.a.w ki wiladat 12 Rabi-ul-Awwal ko hai or isi main wafaat shareef bhi hai.”
12) Mashhoor Mufassir or tarikhdaan Haafiz Ibn-e-Kaseer rh.a kay mutabiq tareekh-e-wiladat 8 Rabi-ul-Awwal hai. [Al-Bidayah wal Nihaya (Imam Ibn Kaseer), vol.2, pg.259-262]
13) Imam Tabri rh.a or Imam Ibn Khuldun ne 12 Rabi-ul-Awwal ko ikhteyar kia.
[Ba-Hawala Rahmatulli Alameen, Allamah Qazi Sayyed Suleman Mansurpuri, Hashiah 1/40]
14) Aur Imam Ibn-e-Jauzi ne apni kitab main 10 Rabi-ul-Awwal ko awwaliyat di hai.
[Alwafa Ba Hawal-ul-Mustafa (s.a.w)(154/1 taba’ Ryadh)]
15)  jab k Maazi-eqareeb kay do azeem seerat nigaron Allamah Qazi Suleman Mansurpuri ne Rahmatulli Alameen 1/40 main aur Allamah Shubli Mumani ne Seerat un Nabi (s.a.e) 1/171 main 9 RABI-UL-AWWAL jadeed tehqeeq kay mutabiq sahih tareen tareekh-e-wiladat qarar dia hai.
16) Aur Misir (Egypt) kay ma’roof Maahir-e-falkiaat or Hi’at daan Mehmood Pasha ne dalail-e-riyazi ki roo say muta’addid zaechay bana ker saabit kia hai Ap s.a.w ki wiladat ki sahih tarikh 9 RABI-UL-AWWAL hi ati hai.
[“At-taqweem-ul-Arabi qablul Islam (Az Memood Pasha) pg.36-39, taba’ Qatar, Hadaiq-ul-Anwar page#29, jild 1, بحوالہ محاضراتِ تاریخ الامم الاسلامیہ از خضری بک :ص۶۲]
Agar cheh WILADAT k mamlay mai sab se sahih rivayat 9 rabbi-ul-awal hai , leken tamam rivayat mai shadeed ikhtilaf hai.