اقرأ باسم ربك الذي خلق

22 Dec 2017

Nabi ﷺ Bashar (Insaan) The (Quran wa Hadees Se Dalail)


Tamam Ambiya a.s. ki tarah hamare Nabi ﷺ bhi BASHAR (insan) the, jab pahli ummato ne ambiyar as ko jhutlaya to in sab ka sab se bada aiteraaz ye tha ke aap bashar hain, bashar kaise nabi ho sakta hai. Allah ne inke baatil aur gumraah nazariya ki nafi farmai, jab Nabi ﷺ ne Nabuwat ka ailaan farmaya to mushrikeen makkah ne bhi yahi aiteraz uthaya, jaisa ke Quran me irshaad hai:

“Aur (in zalimo ne) chupke chupke shargoshiya ki ke wo to tum jaisa bashar hai, phir kya waja hai, jo tum aankho dekhte jaadu me aajate ho? 

(Surah Ambiya: ayat 3)

Allah tala ne inke jawab me farmaya:

“Aap se pahle jitne bhi pahighambar hum ne bheje, sabhi bashar(insan) the, jinki taraf hum WAHI utaarte the, pas tum Ahle zikr se pooch lo agar khud tumhein ilm na ho”

(surah ambiya 21 ayat no. 7)

Iss saaf baat ke abwajood kuch muslils ka aqeeda hai ke Aap ﷺ Allah ke noor me se ek noor hai

Ab yahan Aap ﷺ ki bashariyat (yani Aap ﷺ insan the) par qurani dalaail:

۞ Quran Se Dalaail:

۩ Daleel 1

“(Aye Nabi!) aap keh deejiye ke MAIN TO BAS TUMHARE JAISA HI BASHAR HU, meri taraf ye wahi ki jaati hai ke tumhara mabood ek hi mabood hai”

(8:110, aur Haa-meem: ayat 6)

۩ Daleel 2

“Aap keh deejiye ke mera rabb paak hai, MAIN SIRF EK BASHAR (AUR) RASUL HOON”

۩ Daleel

“Darhaqeeqat Allah ne momino par bada ahsaan kiya hai, jab INHI ME SE EK RASOOL IN ME BHEJA”

(surah aal-e-imraan 3: ayat 164)

۩ Daleel 4

“Beshak tumhare pass ek rasul aaye hain, JO TUMHARI JINS SE HAIN”

(surah tauba 9: ayat no. 128)

۩ Daleel 5

“(Aye Muhammed ﷺ!) keh deejiye k agar zameem me farishte itminan se chal rahe hote to hum aasman se inke liye koi farishta Rasul bana kar bhejte”

(surab isra 17: ayat 95)

Hafiz Ibn Kaseer is Aayat Ki Tafseer Me Farmate Hai:

“Murad ye hai ke in farishto ki jins se (farishta rasul bhej dete), lekin Jabke Tum Bashar The To Hum Ne Apne Khaas Fazlo Karam Se Tumhari Taraf Tumhari Jins Se Rasull Bhej Diya”

(Tafseer ibn kaseer: 4/174)

Sabit hua ke Mohammad ﷺ bashar aur jins e insaniyat se hai,

۞ Hadees Se Dalaail:

۩ Daleel 1

Abu hamra nas bin imran kahte hai ke sayadna ibn abbas rz ne hame kaha, kya main aap ko Abu Zar (gafari r.a.) ke qabul islam ke bare me khabar na du? hum ne arz ki, haa! aap ne kaha, main gafar qabile ka fard tha.

“hum tak ye khabar pahonchi ke MAKKA ME EK AADMI ZAAHIR HUA HAI, JO NABI HONE KA DAWA KARTA HAI”

main ne apne bhai (anis gafari) se kaha, aap is aadmi ke paas jayein aur is se baat cheet karein, mere paas iske bare me khabar laaye, wo chala gaya aur aap se mulakat ki, phir wapis aaya, main ne kaha, aapke paas kya khabar hai?

isne kaha “ALLAH KI QASAM! MAINE EK AADMI KO DEKHA HAI, JO khair wa bhalai ka hukm deta aur burai se mana karta hai”

(Sahih al Bukhari: 1/499, H. 3522, aur Sahih Muslim: 2/297, H. 2474)

۩ Daleel 2

Arwa bin zubair kahte hain ke maine sayadna abdullah bin umr bin aas rz se kaha ke mushrikin makka ne Nabi ﷺ ke saath jo sakht tareen maamela kiya hai, iski mujhe khabar dein, wo kahne lage ke ek dafa Rasool kaabe ke sahen me namaz padh rahe the ke achanak aqba bin abi mueet aaya, isne aapko kandhe se pakda aur apna kapda Nabi ﷺ ki gardan mubarak me daal kar sakhti se aapka gala ghonta, sayadna abu bakar tashreef laye aur iske kandhe se pakad kar ise Rasool ﷺ se dur kar diya aur ye aayat farmayi:

“KYA TUM AISE AADMI KO QATAL KARNE KE DARPE HO, jo ye kahta hai ke mera rab Allah hai aur wo tUmhare paas tumhare rab ki taraf se raushan nishaniya lekar aaya hai” (surah momin: ayat 28)

(Sahih al Bukhari, hadees- 4815)

۩ Daleel 3

“Sayadna Abu huraira rz kahte hai ke maine Rasul s.a.w. ko ye farmate hue suna hai:

“Aye Allah! Beshak Muhammed ﷺ bashar hai, inko gussa aajata hai, jis tarah ek bashar ko gussa aajata hai”

(Sahih Muslim, hadees- 2601)

۩ Daleel 4

Sayada umme salma rz se riwayat hai ke Rasool ﷺ ne farmaya:

“MAI TO BASHAR HU, TUM mere paas muqaddimaat laate ho, hosakta hai ke koi apne dalail dawa ke nasheeb wa faraz ki nisbat ziyada samajdari pesh kare, main (bilfarz) dalail ki sama’at ki buniyad par iske haq me faisla sunadu, (yad rakho) jisko main (dalail ki zahiri quwwat ke peshe nazar) iske bhai ka mamuli sa bhi haq kaat kar de doo, wo ise na le, yaqinan main ne ise aag ka tukda kaat kar diya hai” .

(Sahih al Bukhari, hadees- 7169, aur Sahih Muslim, hadees- 1713.

۩ Daleel 5

Sayadna Samrah bin jandab kahte hai ke Nabi ﷺ ne sahaba kiram ke ijtema se khitaab farmaya:

“LOGO! MAIN BASHAR HU AUR ALLAH KA RASUL HU”

(Musnad ahmed: 5/16, TABRANI: 6794, 6799, mustadrak haakim: 1/329-330, Abu Dawud: 184, Nasai: 484, Tirmizi: 562)

۩ Daleel 6

Sayadna Raafe bin khadij ansari rz se riwayat hai ke Nabi ﷺ ne farmaya: “Yaqeenan main bashar hu, jab main tumhe koi bhi deeni hukm doo to ispar (sakhti se) amal pairaa hojaao aur jab main tumhe apni raye se hukm du to main bashar hun”

(Sahih Muslim, hadees- 2362)

۩ Daleel 7

Qaasim bin Mohammed r.a. kahte hain ke Sayada Ayesha r.a. se Nabi ﷺ ke umoor-e-khana (ghar ke kaam) ke baare me pucha gaya to inhone kaha:

“Aap ﷺ basharo me se ek bashar the, apne kapdo se juwe talash karte, apni bakriyo ka doodh dohte aur apne kaam khud karte the”

(Musnad ahmed: 6/256, hayatul awliya abi naeem: 8/331, ibn hibban: 5674, shamaail tirmizi: 363, aladab almufrad bukhari: 541, sharah sunnah: 3676).

•٠•●●•٠•