اقرأ باسم ربك الذي خلق

26 Dec 2017

Najasato’n Ki Taaseer Ka Bayaan


Ek Eraabi (T: Villager) ne masjid me peshab kardiya aur log is ke peeche padgae. Rasool Allah ﷺ ne inhei’n farmaya: ‘Ise chor do aur (jaga ko paak karne ke liey) is ke peshab par paani ka dol bahaado.’

(Bukhari: al Wazu 221 – Muslim: at Tahaara 284) 

Fir Aap usko bulakar farmaya: ‘Masjid peshab aur gandagi ke liey nahi, balke Allah ke zikar, namaz aur quran padhne ke liey (hoti) hain.’ (Ibne Majja: at Tahaara 529)

۞ Haiz Alood Kapda (T: Mensturation Cloth):

Asma bint Abi Bakr r.a. riwayat karti hain ke ek aurat ne Rasool Allah ﷺ se poocha ke jis kapde ko haiz (maahwaari) ka qhoon lag jaae to kya kare? Aap ne farmaya: ‘Ise chutkiyo’n se mil kar paani se dho daalna chaahie aur phir is me namaaz adaa kar lijaae.’

(Bukhari: al wuzu 227 – Muslim: at Tahaara 291)

۞ Mani (T: Semen) Ka Dhona:

Ummul Momineen Aisha r.a. farmati hain ke main Rasool Allah ﷺ ke kapde se Mani dhodaalti thi aur Aap is kapde me namaz padhne tashreef le jaate the aur dhone ka nishan kapde par hota tha. 

(Bukhari: al Wuzu 229 – Muslim: at Tahaara 289)

۞ Sheer‐qahaar Bacche Ka Pehsab:

Umme Qais r.a. apne chote (sherquhaar) bacche jo khana nahi khaata tha, Rasool Allah ﷺ ke paas laaei’n aur Aap ne ise apni god me bitha liya. Bacche ne Aap ke kapde par peshab kardiya to Aap ne paani mangwa kar kapde par chee’ntei’n mare aur ise dhoya nahi.

(Bukhari: al Wazu 223 – Muslim: al Tahaarah 287)

Lubaaba bint Haaris r.a. riwaayt karti hain ke Husain bin Ali ne Rasool Allah ﷺ ki god me peshab kardiya (jo abhi sherqhaar hi the) 

Main ne arz kiya: Koi aur kapda pahen lei’n aur teh band mujhe de dei’n taake main ise dhodu’n 

To Aap ne farmaya: Ladki ka peshab dhoya jaata hai aur ladke ke peshab par chee’nte mare jaate hai. 

(Abu Dawood: al Tahaara 375 – Ibne Majja: al Tahaara 522) Ise Imam Ibne Qhuzaima (282) Imam Haakim (V1 P166) aur Imam Zahabi ne Saheeh kaha.

۞ Kutte Ka Jhoota:

Abdullah bin Maghfal r.a. se riwayat hai ke Rasool Allah ﷺ ne farmaya: ‘Agar kutta kisi ke bartan me paani (waghaira) pee le to bartan ko saat baar paani se dhoe aur pehle bar mitti se maanje.’

(Muslim: at Tahaara 279; 280) 

۞ Murdaar Ka Chamda:

Ek bakri margai. Nabi e Kareem ﷺ is ke paas se guzre aur poocha ke tum ne is ka chamda utaar kar rang kyou’n nahi liya take is se faaeda uthate? Logo’n ne kaha wo to murdaar hai.

Aap ne farmaya ke: ‘Iska sirf khana haraam hai.’

(Bukhari: al baiyo 2221 – Muslim: al Haiz 363)

Ummul Momineen Saudah r.a. ne farmaya ke hamaari bakri margay. Hamne is ke chamde ko rang kar mushk banaali. Phir ham is me nabeez (khujoor ka masroob) daalte rahe yaaha’n tak ke wo puraani hogai. 

(Bukhari: al Eman wal Nazor 6686)

Nabi e Rehmat ﷺ ne murda bakri ka chmda utaarkar istemaal kare ka hukam diya aur farmaya: ‘Murdaar ka chamda dabaaghat dene (masaale ke saath rangne) se paak hojaata hai.’

(Abu Dawood: al Libaas 4125) Ise Imam Ibne Sakan aur Imam Hakim ne Saheeh kaha.

Rasool Allah ﷺ ne darindo’n ki khaal istemaal karne se mana’a farmaya.

(Abu Dawood: al Libaas 4132 – Tirmizee, al Libaas 1771) Ise Imam Hakim aur Imam Zahbi ne Saheeh kaha. 

۞ Billi Ka Jhoota:

Rasool Allah ﷺ ne farmaya: ‘Billi ka jhoota najis nahi hai.’

(Abu Dawood: at Tahaara 75 – Tirmizee at Tahaara 92) Ise Imam Tirmizee, Imam Hakim, Imam Zahabi aur Imam Nawawi ne Saheeh kaha)

۞ Sone Chaandi Ke Bartan Me Khana:

Umme Salma r.a. riwayat karti hain ke Rasool Allah ne farmaya: ‘Jo shaqs sone chaandi ke bartano me khata peeta hai. Wo Apne pet me dozaqh ki aag jama’a karta hai.’

(Muslim, al Libaas 2025)