اقرأ باسم ربك الذي خلق

31 Dec 2017

Namaz Ki Makruhaat Ka Bayaan


۩ Nabi e Akram ﷺ ne kamar par hath rakh kar namaz padhne se mana farmaya.
(Bukhari: al A’amal Fis Salah 1220 – Muslim: al Masaajid 545)

۩ Nabi e Rahmat ﷺ ne farmaya: Jab kisi ko namaz mein jamai aae to ise hattal maqdood roke kyou’nke is waqt shaitan mu’n mein daakhil hota hai.
(Muslim: al Zohod 2995)

Aap ﷺ ne farmaya: (Jamaai ke waqt) Haa Haa na kho kyou’nke is se shaitan khush hota hai.
(Bukhari: Bidaaul Khalq 3289)

۩ Saaeb bin Yazeed ne Muawiya ke sath maqsurah mein Juma padha. Jab imam ne salam phera to saaeb ne khade hokar namaz shuru kardi. Muawiya kehne lage: Aainda aisa na karna, kyou’nke Rasool Allah ﷺ ne farmaya: 1 namaz ko doosri namaz ke sath na milao. In (farz aur sunnat) ke darmiyan kalam karo ya jagah tabdeel karo.
(Muslim: al Juma 883)

Mughaira riwayat karte hain ke Rasool Allah ﷺ ne farmaya ke ‘Imam jis jagah namaz padh chukka hai waha’n namaz na padhe balke waha’n se sarak jaae (ya’ani jagah tabdeel karle).’
(Nasai: al Salah 414)

۩ Zaid bin Arqam se riwayat hai ke ham namaz mein batei’n kiya karte the, phir ye ayat Nazil hui: "aur Allah Taalaa kay liye ba adab kharay raha karo(2:238)",  to hamei’n chup chaap rehne ka hukam hua aur baat karna mana hogaya.
(Bukhari: al A’amal Fis Salah 1200 – Muslim: al Masaajid 539)