اقرأ باسم ربك الذي خلق

27 Dec 2017

Namaz me Seene Par Haath Bandhna


Halab r.a. farmate hain ke main ne Rasool Allah ﷺ ko (namaz me) seene par hath rakhe hue dekha.

(Musnad Ahmad V5 P226, Hadith-22313). Hafiz ibne Abdul Bar aur Allama Azeemabadi ne ise Saheeh kaha.

Wael bin Hajar r.a. Rasool Allah ﷺ ki namaz ka tareeqa bayan karte hue farmate hain ke Aap ne daie’n hath ko baiey’n hath ki hatheli (ki pusht) iske jod aur kalai par rakha.

(Sunan Nasai: al Iftetaah 889). Ise Imam Ibne Hibban 1485 aur Imam Ibne Khuziama 480 ne Saheeh kaha.

Hamie’n bhi daya’n hath baiey’n hath par is tarha rakhna cahiey ke daya’n baiey’n hath ki pusht jod aur kalai par ajaey aur dono’n ko seene par baandha jae take tamaam riwayat par amal hosake.

Sahal bin Sa’ad r.a. se riwayat hai ki hame Nabi ﷺ ke zamane me ye hukam diya jata tha ke ham Namaz mein apna daya’n hath baiey’n zirah par rakhei’n.

Bukhari: al Azan 740.

Wazahat: Arabic zuban me zirah bich ki ungli se lekar kohni tak ko kahte hai, jaise purane zamane me zirah pahna karte the ladai ke waqt.

Rahi Sayyadana Ali r.a. ki riwayat ke sunnat ye hai ke hatheli ko hatheli par zer naaf rakha jaae.

(Abu Dawood: al Salah 756).

Is hadith ko likhne ke baad sath hi likha hai ki ye Hadith Zaif hai. Ise Imam Baheqhee aur Hafiz ibne Hajar aur Sheikh Albani ne bhi Zaeef qarar diya hai aur Imam Nawavi farmate hain ke iske Zaeef hone par sabka ittefaq hai.

Naaf ke niche wali hadith me ek Taba Taabi’een hai unka pura naam “Abdur Rahmaan bin Ishaaq bin al-Haarith al-Koofi al-Waasiti” hai. Usool e Muhaddiseen ke nazdeek ye Daif raawi hai, ye Imam Bukhari aur saare Muhaddiseen ka kahna hai. Dalail aur details ke liye ye link chq kare:ai ki wo hame sunnat ke mutabik namaz padhne ki Taufeek inayat kare. aameen.

•٠•●●•٠•