اقرأ باسم ربك الذي خلق

27 Dec 2017

Nazar Utarne Ka Nabawi Tareeqa


Hazrat Abu Umama r.a. ne apne waalid hazrat Sahal bin Haneef r.a. se unka ek waqeya riwayat ki hai ki janab Rasoollullah ﷺ aur sahaba kiram ra Makkah mukarrama ki taraf rawaana hue, jab wah mukaam Juhfa ki waadi Khazzar me pahunche to hazrat Sahal bin Haneef r.a. ghusl karne lage, unka rang(color) gora tha aur jild bahut khusk rang thi, kabeela banu Adi bin Kaab ke ek sahab hazrat Aamir bin Rabia (r.a.) ne unhe ghusl karte hue dekha to kaha:-” Aisi jild to maine kabhi kisi pardanaseen larki ki bhi nahi dekhi (yani kitna khoobsurat rang hai), is par harat Sahal r.a. to wahin zameen par gir pade, kisi ne aakar Rasoollullah se arz kiya:-“Aiy Rasoollullah ! Kya aap Sahal ko dekhenge, Allah ki kasam! Wah to sar bhi nahi uthate, unhe koi aaraam nahi ho raha (shakht bukhar hai), Nabi ﷺ ne farmaya:-” Kya tum uske baare me kisi ko doshi(gunahgaar) samjhte ho??” Sahaba ne kaha:-” Aamir bin Rabiaa r.a. ne unhe kapde utaarte dekha tha, Ap Rasoollullah(sws) ne aamir r.a. to talab farmaya, aur unhe sarzanish farmayi, irshaad farmaya:-” Ek aadmi apne bhai ko kyon qatal karta hai? Agar tujhe ek cheez acchi lagi thi to toone barqat ki dua kyon na di?” phir farmaya:-“uske liye apne ang(parts of body) dho (wash)”, unhone ek bartan me chehra, haanth kuhniya, ghutne, pair(foot), aur tahband ke andar wala hissa dhokar (wah paani) de diya, wah paani(water) hazrat Sahal r.a. par daala gaya, uska tareeqa yah hota hai ki jisko nazar lagi ho, koi insan paani uske peeche ki taraf se uske sar(head) aur kamar(waist) par daal de, phir bartan bhi uske peeche hi ulta karke rakh de, baherhaal hz saad ra ke saath aisa hi kiya gaya to wah theek thaak hokar logon ke saath rawaana ho gaye.

(Musnad ahmad 2/486,), (Moatta imam malik, kitabul ain ,baab wuzu, minal ain, 2/938).