اقرأ باسم ربك الذي خلق

29 Dec 2017

Quran Khwani


Hamare muashre me ek ajeeb rasm payi jati hai ki jab koi gham ka ya koi khushi ka mauka hota hai to usme quran Khwani karte hai. Quran Khwani me kuch logo ko bulakar Quran padhwaya jata hai aur fir uska sawab murde ko esaal kar diya jata hai. Is amal ko Quran Khwani kahte hai. Aur Isme Rishtedaro aur padosio ki bhi shirkat hoti hai.

Islam me har amal karne se pahle ye dekhna chaiye ki kya hamare Rasool ne us amal ko kiya ya fir ye nai chiz hai jispar hamare Rasool ka amal nahi tha kyuki Deen e Islam ko sabse zyada samajhne wale jo insan the to wo khud Huzur s.a.w. the.

Hazrath Arbaaz bin sariyah (r.a) se riwayat hai ke, RasoolAllah ﷺ ne hume ek din subah ki namaz ke baad aise andaaz me nasihat farmayee jisse aankhon se aansu jari ho gaye, aur dil me khouf paida ho gaya, ek shakhs ne arz kiya, yeh to ruksati(farewell) ki nasihat maloom hoti hai, phir aap hume kis chiz ki wasihat farmate hai??, Aap (s.a.w)ne irshaad farmaya, main tumhe Allah se darte rehne ki wasihat karta hon, tumme jo mere baad zinda rahega, wo deen mey bohat se ikhtelaf dekhega,Tum par lazim hai ki deen me nayi-nayi nikali huwi chizon se bachna, kyunki har nayi chiz deen me gumrahi hai, lihaza tum aisa zamana pao to, meri aur hidayat-yaftah, khalifa-e-rashe deen ki sunnat ko masbooti se thame rehna.

Sunan Abu Dawud, Model Behavior of the Prophet (Kitab Al-Sunnah) [40:4590].

Is hadith se saaf taur par Zahir ho gya ki Deen me tabdiliya ki jayengi aur deen me nai nai chize nikali jayengi, toh Huzur ne is se bachne ki nasihat ki hai hame aur biddat ko chor ke sunnat ko pakadne ki nasihat farmai hai hame upar ki hadith me.

Zaahir si baat hai koi bhi Quran ki ayat ya Huzur ki sunnat hame ye nahi batlati hai ki koi bhi Khushi ya gham ke mauke par kuch logo ko bulwakar Quran padhkar murdo ko baksha jaye jise Quran Khwani kahte hai. Balki salaf me ye amal bilkul hi nahi paai jati thi wo baat alag hai ki India, Pakistan aur kuch mulko me ye amal paai jati hai. Lekin hame Islam ko dekhne ke liye musalmano ko nai balki Quran aur Sunnah ko dekhna chaiye.

RasoolAllah ﷺ ne farmaya, “Mai tum logo ke paas do chize chor ke jaraha hu jab tak tum in do chizo ko pakde rahoge tab tak tum gumraah nahi hoge, wo hai Allah ki kitab aur meri Sunnah.”

Muwatta Imam Malik, The Decree [46:46.1.3].

JO CHIZ MAUT KE BAAD FAYDA DE SAKTI HAI

Maut ke baad sirf wahih chize fayda de sakti hai jo Allah ne apne Rasool ﷺ ko bataya aur hamare Rasool ﷺ ne hame bataya. Kuch log tarah tarah ke amal jo ki aksar Hinduo se li gayi hai wo chize karte hai jaise Tija, chalsi, wagaira wagaira. Jab ki unko khud pata hota hai ki gair Muslimo ki mushahbat(copy) karna mana hai.

1۩ RasoolALlah ﷺ ne farmaya ki jab koi insan marta hai to uske nek aamal band kar diye jate hai siwae teen tarah ke:

1) Sadka e jariya(Allah ke raah me lagaya hua hamara maal jo logo ko fayda pohcha raha ho)
2) Jo Ilm logo ko sikhaya ho wo usse fayda utha ra ho
3) Nek aulad jo uske liye dua kare .

(Reported by al-Tirmidhi, no 1376; he said this is a saheeh hasan hadeeth)

Sabse aham chiz jo murde ko fayda pohcha sakta hai wo ye hai ki uske Nek aulad uske liye dua kare khas taur par unki magfirat ke liye aur dusri duae bhi.

RasoolAllah ﷺ ne farmaya, “Ek shaks ke Jannat me darjat buland honge , fir wo puchega ki ye kaise hua, fir usse kaha jayega Tumhare aulad ki magfirat ki duae ke wajah se jo wo tumhare liye karta hai.”

(Reported by Ibn Maajah, no 3660; see also Saheeh al-Jaami’, 1617.)

2۩ Agar koi aulaad koi neki ka kaam karta hai to khud-bakhud us ke waledain ko uska sawab pohcha karta hai chahe us ke waledain hayat se ho ya faut ho gaye ho. RasoolAllah ﷺ ne farmaya,

“Beshak sabse Paakiza chiz jo insan khata hai wo uske hatho ki kamai hai aur us ki aulad bhi uski kamai(earning) hai.

Sunan Abu Dawud, Hadith-3528, Sahih (Al-Albani).

3۩ Aur Agar uska aulad us ke liye koi sadqa, khairaat ya jo bhi nek aamal karta hai to uska sawab uske waledain ko pohchta rahta hai, Lekin ek baat talib e gaur hai ki niche di hui hadith aur is ke jaisi jitni bhi ahadith hai wo sirf aulaad ka zikr karti hai is liye sirf waledain ko aulaad ke aamal kaam ayenge kisi paise diye hue molvi ya kisi rishtedar ke aamal nahi.

Ek shaks ne RasolALlah ﷺ se kaha “ Meri walida ka inteqal ho gya hai, aur agar wo bol pati toh unhone kuch sadaqah kiya hota. Toh agar mai ne unki taraf se kuch sadaqe me de du to kya unhe sawab milega?” RasoolAllah ne farmaya “Ha”.

(Reported by al-Bukhaari, Fath, 1388).

Kuch log kah sakte hai ki Quran Khwani me burai kya hai, ham Quran ki tilawat karte hai aur gareeb aur rishtedaro ko khana khilate hai, wo log ye jaan le ki kisi nek kaam ko kisi din ke liye khas kar lena bina shariyat ke dalail ke to use RasoolAllah s.a.w. ne biddat kaha hai, aur iski wazahat kuch aise ki hai:

Ayesha r.a. riwayat karti hai ki Mohammad ﷺ ne farmaya ki Jisne hamare is deen me kuch aisi baat shamil ki jisme hamara amal nai hai to wo mardud hai.

Sahih al bukhari, had-2697; Sahih Muslim, had-1718. 

Aur sahaba ikram r.a. ne ye bhi wazahat kardi ki agar koi biddat upri taur par neki ka kaam lage(biddate hasana) to usko bhi shariat ne gumrahi kahi hai:

Abdullah Ibn UMar(RA) farMate hain: TAMAAM Biddatein GUMRAAHI hain, agarche “Ba-Zaahir woh, logon ko ACHCHI lagein”.

SUNAN KUBRA BAIHAQI (HADITH138).

Aur iski bhi wazahat kardi ki koi bhi biddat e hasana hame fayda nahi pohcha sakta ya hame Allah se qareeb nahi kar sakta.

Mohammad ﷺ ne farmaya: “Maine tumhare paas kuch nahin chhora jo tumhe Allah ke aur kareeb le aye siwaaye jiska maine tumhe hukm diya hai.”

[Reported by at-Tabaraani, authentic, refer to Asl Sifatis-Salaati n-Nabee, vol. 3, p. 942][Musnad Ahmad, Silsilah Sahiha 1803, Sahih by Albani] 

LIHAZA SUNNAT SE MOHABBAT KARE AUR BIDDAT SE PARHEJ KARE.

-Aur Allah sab se behtar janta hai.