اقرأ باسم ربك الذي خلق

25 Dec 2017

Rafa’a Haajat Ke Aadaab


۞ Baitul khala Me Jaate Waqt Ki Dua:

۩ Anas r.a. riwayat karte hain ke Rasool Allah s.a.w. jab Rafa’a haajat ke liey baitul qhula me daqhil hone ka irada karte to farmate:

Allahumma Inni a’aouzbika Minal Khuboosi wal khabaais

‘Aye Allah! Tehqeeq main teri panah pakadta hu’n nar aur maadah napaak jinno’n (ke shar) se.’

(Bukhari: al Wudu 142 – Muslim: al Haiz 375).

۩ Zaid bin Arqam r.a. se riwayat hai Rasool Allah ﷺ ne farmaya: A’aozu Billhai Minal Qhuboosi wal Qhabaais ‘Baitul Qhula jinno’n aur shaitano’n ke haazir hone ki jagah hai jab tum baitul khala me jaao to kaho: Main Allah ki Panah Leta Hu’n, Nar Aur Maada Qhabees Jinno’n (ke Shar) se.’

(Abu Dawood: 6 – Ibn Majja 296) Imam Ibne Hibban, Imam Haakim aur Imam Zahabi ne Saheeh kaha.

۞ Baitul Khula Se Nikalte Waqt Ki Dua

۩ Aisha r.a. riwayat karti hain: Jab Rasool Allah s.a.w. baitul qhula se nikalte to farmate:

“Gufraanaka”

‘Aye Allah! Main Tujhse Bakshish Chahta Hu.’

(Abu Dawood: at Tahaara, 30 – Tirmizi: 7 – Ibne Majja: at Tahaara 300) Is hadees ko Imam Haakim (V1 P158) Imam Zahabi aur Imam Nawawi ne Saheeh kaha.

۞ Rafa’a Haajat Ke Masaael:

۩ Abu Ayyub r.a. se riwaayat hai Nabi Akram s.a.w. ne farmaya: ‘Jab tum qaza haajat ko aao to qible ki taraf mu’n karo na peeth.’

(Bukhari, as Salaah 394 – Muslim, at Tahaara 264; 265)

۩ Nabi Rahmat s.a.w. ne farmaya: ‘Do La’anat ka sabab banne wale kamo’n se bacho.’
Sahaaba Ikram ne poocha, wo kya hain?
Aap ne farmaya: Logo’n ke raaste me aur saayadaar daraqhto’n ke neeche rafa’a haajat karna. 

(Muslim: at Tahaara 269)

۩ Abu Qataada r.a. se riwaayat hai Nabi e Rahmat s.a.w. ne farmaya: ‘Tum mei’n se koi peshab karte hue daei’n haath se sharam’gaah ko na pakde aur naahi daei’n haath se istenja kare.’ 

(Bukhari: al Wudu, 153,154 – Muslim: at Tahaara 267)

۩ Abu Huraira r.a. se riwayat hai Nabi e Rahmat s.a.w. ne farmaya: ‘Jo koi mitti ke dhelo’n se istenja kare wo taak dhile le.’

(Bukhari: al Wazu, 162 – Muslim: 238)

۩ Nabi e Akram s.a.w. ne teen (dhelo’n) se istenja karne ka hukam diya.

(Abu Dawood: at Tahaara 8 – Sunan Nasaai: 40)Ise Imaam Daarequtni aur Navavi ne Saheeh kaha.

۩ Rasoolullah s.a.w. ne teen dhelo’n se kam ke saath istenja karne aur gobar aur haddi ke saath istenja karne se mana’a farmaya.

(Muslim, at Tahaara, Baab al Istetaaba 262)

Nabi e Rahmat s.a.w. jab rafa’a haajat ko jaate to (itni door jaakar) baithte ke koi Aapko na dekh sakta.

(Abu Dawood: at Tahaara, 1, 2)

۩ Rasoolullah ﷺ umooman baith kar peshab karte the jaisa ke Ummul Momineen Aisha farmati hain ke: ‘Jo shaqs tumhei’n bayan kare ke Nabi e Akram khade hokar peshab karte the is ko saccha na jaano, Aap baith kar hi peshab karte the.’

(Tirmizi: at Tahaara 12)

۩ Agarche kisi uzar ki bina par khade hokar peshab karne ki gunjaesh bhi hai. Huzaifa bayan farmate hain ke ‘Nabi e Akram kure karkat ki jagah par aae aur Aap ne khade hokar peshab kiya.’

(Bukhari: al Wadu 224 – Muslim: 273)

۩ Nabi e Akram ﷺ paani ke saath istenja farmate the. 

(Bukhari: al Wazu 150 – Muslim: al Tahaara 270)

۩ Abu Ayyub Ansari r.a. bayan karte hain ke jab ye ayaat naazil hui (In Me Aise Mard Hain Jo Pasand Karte Hain Ke Qhoob Paak Rahei’n, Allah Ta’ala Paak Rehne Walo’n Se Muhabbat Karta Hai).
Rasoolullah ﷺ ne farmaya: ‘Aye Ansaar! Allah Ta’ala ne paakeezgi ki wajah se tumhari ta’areef ki hai, tum kaise tahaarat karte ho?
Inho’n ne kaha ke ham har namaaz ke liey wuzu karte hain, Janaabat ka gusl karte hain aur paani ke saath istenja karte hain.’

(Sunan Ibn Majah 355)

۩ Abdullah bin Umar r.a. farmate hain ke Rasool Allah s.a.w. peshab kar rahe the ke ek aadmi ne Aap ko salaam kiya magar Aap ne iska jawab na diya.

(Muslim: al Haiz 370)

Is hadees se ma’aloom hua ke rafa’a haajat ki haalat me kalaam karna makruh hai.

۩ Nabi e Rahmat s.a.w. ne ghusl qhane me peshab karne se mana’a farmaya.

(Abu Dawood: at Tahaara 27, 28) Ise Imam Haakim aur Imam Zahabi ne Saheeh kaha hai.

۩ Abu Huraira r.a. kehte hain ke ‘Jab Nabi e Kareem s.a.w. baitul qhula jaate, main ek bartan me paani laata Aap is se istenja kiya karte the, phir apna haath zameen par malte phir ek aur bartan me paani laata phir Aap wuzu kiya karte the.’

(Abu Dawood: at Tahaara 45) Ise Imam Ibne Hibban ne ise Saheeh kaha.

Ma’aloom hua ke istenja aur wuzu ka bartan ilaheda hona caahie aur tahaarat ke ba’ad haath ko mitti ya saabun se dhona chaahie taake haath me badboo na rahe.

۩ Abdullah bin Arqam se riwayat hai Rasoolullah ﷺ ne farmaya: ‘Jis shaks ko rafa haajat ki talab ho aur jama’at khadi hogai ho to pehle wo haajat se faraaghat paae phir namaaz padhe.’

(Sunan Abi Dawood: at Tahaara 88 – Sunan Tirmizee: at Tahaara 142) Ise Imam Tirmizee, Imam Haakim (V1 P168) aur Imam Zahabi ne Saheeh kaha.

۞ Peshaab Ke Chee’nto’n Se Bachne Ki Sakth Taakeed:

Ibne Abbas r.a. riwaayat karte hain ke Rasool Allah s.a.w. do qabro’n ke paas se guzre to farmaya: ‘In dono’n qabro’n waalo’n ko azaab horaha hai aur baais azaab koi badi cheez nahi inme se ek peshab ke chee’nto’n se nahi bachta tha aur doosra chughal khoor tha.’

(Bukhari: al Wazu 216 – Muslim: at Tahaara, 292)

Is hadees se ma’aloom hua ke peshab ke chee’nto’n se saqt parhez karna chahie. Wo Log jo peshab karte waqt chee’nto’n se parhez nahi karte, apne kapdo’n ko nahi bachate, peshab karke(Paani na hone par Tissue, chalk, ya Mitti wagaira se) istenja kie bagair fauran khade ho jaate hain. Inke paajame, patloon aur jism waghaira peshab se aalooda hojate hain inhei’n ma’aloom hona chahiye ke peshab se na bachna baais azaab aur gunah hai.

•٠•●●•٠•