اقرأ باسم ربك الذي خلق

22 Dec 2017

RasoolAllah ﷺ Ka Saya (Shadow)


Kuch Log Kahte Hai Ki Rasulullah ﷺ Ka Saya Mubark Nahi Tha. Iski kya haqiqat hai?

RasoolAllah ﷺ Allah Ke Nabi Aur Insan The. Allah Ne Apko Silsila E Insaniyat se Hi Paida Kia Tha Aur Insan Hone Ke Aitbar Se Ye Bat Waazeh Hai Ki Insan Ka Saya Hota Hai.

Quran Me Allah Ne Irshad Farmaya,

۩ Aur Jitni Makhluqat Asmano Aur Jamin Me Hai Khushi Aur Nakhushi Se Allah Ta’ala Ke Aage Sajda Karti Hai Aur Unke Saye Bhi Subah Wa Sham Sajda Krte Hai.

[Al R’aad, Ayat 15]

Ek Aur Muqam Par Allah Rabbul Izzat Ka Farman Hai-

۩ Kya Unhone Allah Ki Makhluqat Me Se Kisi Ko Nahi Dekha Ki Iske Saye Dayain Aur Bayain Se Lautte Hai Yani Allah Ke Aage Aajiz Hokar Sar-Ba-Sujud Hote Hai.

[Al Nahal Ayat 47]

Hadith se Dalail: 

أَخْبَرَنِي  مُحَمَّدُ بْنُ الْمُؤَمَّلِ بْنِ الْحَسَنِ   ، ثَنَا   الْفَضْلُ بْنُ مُحَمَّدٍ الشَّعْرَانِيُّ  ، ثَنَا  الْفَضْلُ بْنُ مُحَمَّدٍ الْبَيْهَقِيُّ  ، ثَنَا  نُعَيْمُ بْنُ حَمَّادٍ  ، أَنْبَأَ  عَبْدُ اللَّهِ بْنُ وَهْبٍ  ، أَخْبَرَنِي  مُعَاوِيَةُ بْنُ صَالِحٍ  ، عَنْ  عِيسَى بْنِ عَاصِمٍ  ، عَنْ  زِرِّ بْنِ حُبَيْشٍ  ، عَنْ  أَنَسِ بْنِ مَالِكٍ  ، قَالَ : بَيْنَمَا النَّبِيُّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَآَلِهِ وَسَلَّمَ  يُصَلِّي ذَاتَ لَيْلَةٍ صَلاةً ، إِذْ مَدَّ يَدَهُ ، ثُمَّ أَخَّرَهَا ، فَقُلْنَا : يَا رَسُولَ اللَّهِ ، رَأَيْنَاكَ صَنَعْتَ فِي هَذِهِ الصَّلاةِ شَيْئًا ، لَمْ تَكُنْ تَصْنَعُهُ فِيمَا قَبْلَهُ ، قَالَ : ” أَجَلْ ، إِنَّهُ عُرِضَتْ عَلَيَّ الْجَنَّةَ ، فَرَأَيْتُ فِيهَا دَالَيَةً قُطُوفُهَا دَانِيَةٌ ، فَأَرَدْتُ أَنْ أَتَنَاوَلَ مِنْهَا شَيْئًا ، فَأُوحِيَ إِلَيَّ أَنِ اسْتَأْخِرْ ، فَاسْتَأْخَرْتُ ، وَعُرِضَتْ عَلَيَّ النَّارُ فِيمَا بَيْنِي وَبَيْنَكُمْ ، حَتَّى رَأَيْتُ ظِلِّي وَظِلَّكُمْ فِيهَا ، فَأَوْمَأْتُ إِلَيْكُمْ أَنِ اسْتَأْخِرُوا ، فَأُوحِيَ إِلَيَّ أَنْ أَقْرِهِمْ ، فَإِنَّكَ أَسْلَمْتَ وَأَسْلَمُوا ، وَهَاجَرْتَ وَهَاجَرُوا ، وَجَاهَدْتَ وَجَاهَدُوا ، فَلَمْ أَرَ لَكَ فَضْلا عَلَيْهِمْ إِلا بِالنُّبُوَّةِ ، فَأَوَّلْتُ ذَلِكَ مَا يَلْقَى أُمَّتِي بَعْدِي مِنَ الْفِتَنِ ” .

۩ Anas r.a. Se Riwayat Hai Ek Raat Nabi ﷺ Ne Hume Namaz Padhai Aur Namaz Ki Halat Me Apna Hath Achanak Aage Badhaya Magar Phir Jald Hi Piche Hata Liya.
Humne Arz Kiya Aye Allah Ke Rasool ﷺ! Aaj Apne Khilafe M’amul Namaz Me Ek Naya Amal Kiya Hai, Apne Ne Farmaya Nahi Balki Bat Ye Hai Ki Mere Samane Abhi-Abhi Jannat Pesh Ki Gai, Mene Usme Behtreen Fal Dekhe To Dil Me Aya Ki Usme Me Se Kuch Uchak Lu Magar Fauran Huqm Mila Piche Hat Jao,

Me Piche Hat Gaya. Fir Mujh Par Jahannam Pesh Ki Gai (hatta raytu zilli wa zillkum ), Uski Roshani Me Mene Apna Aur Tumhara Saya Dekha, Dekhte Hi Mene Tumhari Taraf Ishara Kiya Ki Piche Hat Jao.

Mustadrak al-Hakim, 4/456; Imam al-Dhahabi Agreed with Hakim in Talkhees, Ibne Khuzaimah Mentioned in his Saheeh vol 2 page 50 hadeeth no 892 and Dr Muhammad Mustafa in Notes of Saheeh Ibne Khuzaimah said Chain is Authentic, Hafidh Zia ul din Al Maqdisi`ee Authenticated in Al Mukhtarah:2136, Imam Abu Awanah Authenticated and said هَذَا الْحَدِيثُ يُسَاوِي أَلْفَ حَدِيثٍ “This Hadeeth is Equal to One Thousand Ahadeeth” in إتحاف المهرة  Raqam 1063 .

Ek Aur Sahih Hadith Me Hai:

۩ Aisha r.a. riwayat karti hai ki Sayyida Zainab r.a. Aur Sayyida Safiya r.a. Ek Safar Me Nabi ﷺ Ke Sath Thi, Safiya r.a Ke Pas Ek Oont (camel) Tha Aur Wo Bimar Ho Gaya Jab Ki Zainub r.a. Ke Pas 2 Oont the. Rasol ﷺ Ne Farmaya, “Tum Ek Zayad Oont Safiya r.a Ko De Do”, Toh Unhone Kaha Mai Is Yahudiya Ko Kyo Du ? (Sayyida Safiyyah was originally a Jew). Is Par Rasool ﷺ Naraz Ho Gaye, Taqriban 3 Mah Tak Zainub r.a. Ke Pas Na Gaye Hatta Ki Zainub r.a. Ne Mayus Hokar Apna Saman Bandh Liya. Sayyida zainub r.a Farmati Hai ki Mai Achanak Dekhti Hu Ki Dopahar Ke Waqt Nabi e ﷺ Ka Saya Aa Raha Hai.

Musnad Ahmad, 6/132, Hadith no.25046, Tabqaat ul Kubra vol 8 page 27 Hadeeth no: 10011,Majma az zawaid vol 4 page page 323. Sanad Sahih By Zubair Ali Zai.

•٠•●●•٠•