اقرأ باسم ربك الذي خلق

22 Dec 2017

Sahaba Ka Aqidah Aur Tawassul/istighasa


Hamne pahle hi ek article me bayan kiya hai ki aslaaf e ummat ka tarika kya tha waseele ke mutallik. Ab ham kuch aham hadith pesh karna chahenge jisse hame sahaba ka aqida pata chalega ki kya wo Gaibi taur par RasoolAllah ﷺ se madad mangne ka aqida rakhte the?

۝ Abu Huraira r.a. raiwayat karte hai ki RasoolALlah ﷺ ne jasusi ke liye (10 admio ki) ek Jamaat rawana ki aur un par Asim bin Sabit r.a. ko Ameer mukarrar farmaya. Jab wo Usfan aur Mecca Mukarrama ke darmiyan pohche toh Kabila e Bani Hudhail jiska naam Lihyan tha unlogo ne 100 teer-andaazo ka lashkar rawana kiya jo unki khoj lagata hua waha pohucha aur un par teer barsana shuru kiye. Is par Asim bin Sabit ne Arz kiya,

اللَّهُمَّ أَخْبِرْ عَنَّا نَبِيَّكَ صلى الله عليه وسلم


Aye Allah hamare haal ki khabar hamare Nabi ko farma de.
Fir unhone 7 logo ko shaheed kar diya aur 3 log ko qaid kar liya, aur unme bhi 2 shaheed kar diye gaye.

Sahih al-Bukhar, Kitab Al-Maghaazi (64), Hadith-3989. [summary of a long hadith]

۝ Anas bin Malik r.a. riwayat karte hai ki RasoolAllah ﷺ ki khidmat me kuch log hazir hue aur arz kiya ki hamare sath kuch logo ko bheje jo hame Quran wa sunnat ki taleem de, toh Ap ﷺ ne 70 Ansariyo ko unke sath rawana kiya jinko 'Qurra' (Qirat karne wale) kaha jata tha unme mere mamu 'Haram r.a.' bhi the. Ye log raat ke waqt Quran padhte the, (Quran) ke maane (meaning) par guftugu aur gaur o fikr karte the, aur Din ko masjid me pani lakar rakhte the aur jungle se lakdiya lakar farokh karte the aur usse ashaab e Suffa aur zaruatmando ke liye khana kharidte the.Nabi ﷺ ne inhe unki taraf bheja. Unlogo ne 70 Ansariyo ko manzil par pahuchne se pahle hi shaheed kar diya toh un sahabao ne marte dam ye dua kia,

اللَّهُمَّ بَلِّغْ عَنَّا نَبِيَّنَا أَنَّا قَدْ لَقِينَاكَ فَرَضِينَا عَنْكَ وَرَضِيتَ عَنَّا


Ae Allah ‎ﷻ hamare mutallik hamare Nabi ﷺ ko ittela farma de ki ham tujh se mulaqat kar chuke hai. Ham tujh se raazi aur tu hamse raazi.
(Jibrail a.s. ne) Nabi ko khabar di to Nabi ﷺ ne apne ashaab se irshad farmaya ki tumhare sathi shaheed kar diye gaye hai aur unhone ye dua ki, 'Ae Allah ‎ﷻ hamare mutallik........hamse raazi.'

Sahih Muslim, Kitab al Amara (33), Hadith 4682.

In do Hadith me Ummat ke 3 masail ka hal maujud hai:
  1. Sahaba ne Nabi ﷺ ko nahi balki sirf Allah ko pukara Jab ki Nabi ﷺ faut bhi nahi hue the, zinda the lekin Gaib me the (matlab sahabao se dur the).
  2. Sahaba ka ye aqidah nahi tha ki Nabi ﷺ Hazir wa Nazir hai warna wo Allah se kyu kar kahte ki hamare haal ki khabar Nabi ﷺ ko pohcha de agar Nabi ﷺ hazir wa nazir hai. Aur Nabi ﷺ ko ye waqya khud pata nahi chala balki Jibrail a.s. ne bataya tab unhe pata chala.
  3. In dono hadith me sahabao ne Nabi ﷺ ke wasile ke bagair dua mangi.
Allah se dua hai ki wo hame sahabao ke tarike aur aqide par ta-umr rakhe aur Quran aur Hadith ko samajh kar padhne ki taufeek de. aameen.
Related:
۩ WASEELA AUR ASLAAF E UMMAT KA TARIKA E KAAR
۩
 KYA ALLAH HAMARE LIYE KAAFI NAHI?
۩
 Download PDF : Dua sirf Allah hi se- 
UrduHindi