اقرأ باسم ربك الذي خلق

31 Dec 2017

Sutrah Ka Bayan Aur Namazi Ke Aage Se Guzarne Ka Gunah


۞ Sutrah Ka Bayan:

Yaha sutrah se murad wo cheez hai jise namazi apne aage khada karke namaz padhta hai taake uske aage se guzarne wala sutrah ke aage se guzar jaye aur gunahgaar na ho. Ye sutrah Laathi, Barchi, Lakdi, Deewar, Sutoon aur Daraqt se hota hai aur Imam ka sutrah sab muqtadio ke liye kafi hota hai.

۩ Talha bin Obaidullah r.a. se riwayat hai ke Rasool Allah ﷺ ne farmaya: ‘Jab koi shaks apne saamne palaan ki pichli lakdi ke baraabar (koi cheez) rakh le to namaz jari rakhe aur jo koi sutre ke peeche se guzre iski parwah na kare.’

Sahih Muslim, al Salah, hadees- 499.

۩ Ata r.h. farmate hai ke palaan ke pichle hisse ki lakdi 1 haath ya isse kuch zyada (lambi) hoti hai.

Sunan Abu Dawood, al Salah, hadees- 686. Ise Imam Ibn e Khuzaima (807) ne Saheeh kaha.

Malum hua ke kam az kam ek haat lambi lakdi ya koi aur cheez sutrah ban sakti hai.

۩ Abu Juhaifa r.a. se riwayat hai ke Rasool Allah ﷺ ne Batha (ek muqam) me logo ko namaz padhai. Nabi e Rahmat ke saamne ek barchi (dandi) gaad di gayi thi. Aap ne 2 rakat zohar ki namaz padhai aur 2 rakat Asar ki. Us waqt barchee ki dusri taraf aurate aur gadhe chale ja rahe the.

Sahih al Bukhari: al Salah 495; Sahih Muslim, al Salah, hadees-  503.
__________________________________________________

۞ Namaz Ke Aage Se Guzarne Ka Gunah:

۩ Rasool Allah ﷺ ne farmaya: ‘Agar namazi ke saamne se guzarne wale ko guzarne ki saza maloom hojae to ise ek qadam aage badhne ki bajae 40 tak waheei’n khade rahna pasand ho.
Abu an Nasr r.a. ne kaha ke mujhe yaad nahi raha ke Basar bin Saeed ne 40 din kahe ya 40 maheene ya 40 saal.’

Sahih al Bukhari, al Salah, hadees-  510; Sahih Muslim, al Salah, hadees- 507.

۩ Rasool Allah ﷺ ne farmaya: ‘Tum namaz adaa karte waqt aage sutrah khada karo aur agar koi shaqs sutrah ke andar (ya’ani namazi aur sutrah ke darmiyan) se guzarna chahe to uski mazahemat karo aur isko aage se na guzrane do. Agar wo na mane to is se ladai karo. Beshak wo shaitan hai.’

Sahih al Bukhari, hadees- al Salah 50; Sahih Muslim, hadees- 505.

Ek riwayat me hai ke do baar toh usko haat se roka jaye aur agar fir bhi wo na ruke toh us se haatha paai se bhi gurez na kiya jaaye (kyuke) wo shaitan hai.

Ibn e Khuzaima, hadees- 818. Aur unhone Saheeh kaha.

۩ Nabi e Rahmat sutrah aur apne darmiyan me se kisi cheez ko guzarne na dete the. Ek baar aap namaz ada farma rahe the ke eek bakri daudti hui aai wo aapke aage se guzarna chaahti thee. Aap ne apne batan e Mubarak (T: stomach) deewar ke sath laga diya to bakri ko sutrah ke peeche se guzarna pada.

Ibn e Khuzaima, hadees-  827. Imam Hakim aur Imam Zahabi ne Saheeh kaha.

۩ Rasool Allah ﷺ ki ja-namaz aur deewar ke darmiyan ek bakri ke guzarne ka faasla hota tha.

Sahih al Bukhari, al Salah, hadees- 496; Sahih Muslim, hadees- 508.

۩ Rasool Allah ﷺ ne farmaya: ‘Agar namazi ke aage ounth ke palaan ki pichli lakdi jitna lamba sutrah na ho aur baaligh aurat, gadha ya siyah kutta aage se guzar jaae to namaz tuth jaati hai. Aur siyah kutta shaitan hai.’

Sahih Muslim, al Salah,  hadees- 510.

۩ Ayesha Siddiqa r.a. se riwayat hai ke wo Rasool Allah ﷺ ke aage soti thi. Mere pair Aap ke samne hote the. Jab Aap sajda karte to mai apne pair samet leti aur jis waqt aap khade hote to pair faila deti. Un dino gharo me charag nahi hote the.

(Sahih al Bukhari, al Salah, hadees- 513; Sahih Muslim, al Salah, hadees- 512.

Maloom hua ke guzarna tu mana hai. Lekin agar aage koi leta hoto koi harj nahi.

•٠•●●•٠•