اقرأ باسم ربك الذي خلق

22 Dec 2017

Tawheed Ki Fazilat


۩ Abdullah (bin Umar) Radhi Allah Anha riwayat karte hai ki RasoolAllah ﷺ ko teen chize di gayi thi (Meraj wali raat): Unhe paanch namaze di gai thi, Unhe Surah Baqara ki Ikhtitami(akhri) ayat di gai thi, aur unki ummat ke unlogo ko sangeen gunaho ki maafi di gai thi jo Allah ke sath kisi ko shareek nahi karte.

Sahih Muslim, 173.

۩ Hazrat Abu Hurairah r.a. kahte hain rasool ﷺ ne farmaya, har nabi ke liye ek dua aisi hai jo zaroor qabool hoti hai tamam ambiya ne woh dua dunia main hi maang li, lekin main ne apni dua qayamat ke din apni ummat ki shafa’at ke liye mahfooz kar rakhi hai, meri shafa’at in shaa allah har us shakhs ke liye hogi jo is haal main mara ke usne kisi ko allah ke sath shareek nahin kiya.

Sahih Muslim, Kitab Al-Imaan, Hadith 399.

Allah Hum Sabko Rasool ﷺ Ki Shafa’at Naseeb Farmaye… Aameen.

۩ Rasool Allah ﷺ Ne Farmaya: ‘jis Musalman Ke Janaaza Mein Aise 40 Aadmi Shaamil Ho Jo Allah Ke Sath Shirk Na Karte Ho’n To Allah Ta’ala Is (maiyyat Ke Haq) Mein Inki Sifaarish Qubool Karta Hai.’

Sahih Muslim: al Janaaez, Hadith- 948.

۩ Hazrat Anas bin Malik r.a. kahte hai maine Rasoolallah ﷺ ko farmate hue suna hai. Allah farmata hai, aiy ibn-e-adam tu jab tak mujhe pukarta rahega aur mujh se bakhshish ki ummeed rakhega main tujh se sar-zad hone wala har gunah bakhshta rahunga, aiy ibn-e-adam mujhe koi parwah nahi agar tumhare gunah aasman kinare tak pohach jaein aur tu mujh se bakhshish talab kare to main tujhe bakhsh doonga, aiy ibn-e-adam mujhe parwah nahin tu ruye zameen ke barabar gunah lekar aaye aur mujh se is haal main mile ke kisi ko mere sath shareek na kiya ho to main ruye zameen ke barabar hi tumhe maghfirat ata karunga(yani sare gunah maaf kar doonga).

Jami at-Tirmizi, kitab ad dua, 3540. (Hasan)

SubhanAllah Hamara Allah Kitna Raheem Hai Apne Rahmat Se GunahGaar Bande Ko Bakhsh Deta Hai.. Kaash Hamein Allah swt Se Mangna To Aajye Bus WOhi Duaon Ko Aur Hamari Pukaar Ko Sunne Wala Hai Uske Siwa Koee Aur Nahin. Aur sath me ye bhi gaur karne wali baat hai ki ek sahih riwayat(hadith) ke mutabik gairullah ko pukarna Allah ke sath shareek karna hai to hame sirf aur sirf Allah ko pukarna chaiye. Allah ke siwa koi nahi hai jo hamari mushkilo ko dur kar sakta hai ya hamari zara si bhi madad kar sakta hai.

Allah se dua hai ki hame un logo me shumaar kare jo Allah ke sath shirk nahi karte. aameen.