اقرأ باسم ربك الذي خلق

19 Jan 2018

Achha Akhlaq - Deen Ki Ek Nayab Chiz


Ek accha akhlaq wo chiz hai jise hamare Deen ne sabse zyada pasand kiya hai. Is chiz ki bar-bar quran aur sunnat ne yad-dhihani karayi hai. Is chiz ko Allah pak ne hamare Deen ka ek maqsad banaya hai.

۩ Abu Huraira r.a. riwayat karte hai ki RasoolAllah ﷺ ne farmaya, “Mai sirf isliye bheja gaya hu taaki mai acche akhlaq ko kamil (perfect) kardu.”

Al adab al-mufrad, hadith- 273. [Sahih]

۩ Abu Huraira r.a. riwayat karte hai ki Rasoolallah ﷺ  se ye pucha gaya ki wo kaun si chiz hai hai jo sabse zyada logo ko jannat me dakhil karwaegi? To Rasoolallah ﷺ ne farmaya, Allah ka khauf aur achha akhlaq.

Jamia Tirmizi, hadith- 2004. Imam Tirmizi ne ise saheeh gareeb karar diya hai.

۩ Allah pak farmate hai,

"Qad aflaha man tazakka"

"Jis ne apne apko pakeeza kar liya, wohi falaah payega"

Quran, 87:14.

Aur isme khas taur par dilo aur nafs ki pakeezgi ki baat ho rahi hai. Nafrat, jhagda, bughz, fasaad, ilzam-tarashi se pak hona.

۩ Rasool ﷺ achhe akhlaq ke liye dua bhi manga karte the ye kah kar "Aye Allah tune mere bahari-shakl ko khubsurat banaya hai toh mere akhlaq ko bhi achha kar de."

Sahih ibn Hibban (3/239). Ise Shaykh Albani ne Irwa’ al-ghaleel (75) me sahih karaar diya hai.

۩ Quran kahta hai ki RasoolAllah ﷺ hamare liye ek behtareen misaal hai (quran, 33:21). Allah ta'la Rasool ﷺ ko mukhatib hokar farmate hai,

“Aur beshak, Aap akhlaq ke buland darje par fa'iz hai”.

Quran, 68:4.

۩ Masruq riwayat karte hai, ham Abdullah bin Amr r.a. ke sath baithe hue the jo hame hadees suna rahe the. Unhone kaha Allah ke Rasool ﷺ na to fahish the aur na hi mutafahhish, aur wo (RasoolAllah) kaha karte the ki tum maise sabse behtareen wo hai jo akhlaq me sabse achha ho.

Sahih al-bukhari, kitab ul adab, hadith- 6035.

۩ Amr ibn shu'ayb riwayat karte hai ki Rasoolallah ﷺ ne farmaya, “Kya mai tumhe batau ki tum maise mai sabse zyada kisse muhabbat karta hu aur jo qayamat me mere se sabse zyada nazdeek baithega? Log khamosh the isliye huzur ﷺ ne ye baat do ya teen martaba dohraya. Fir logo ne kaha, "Ha RasoolAllah". Toh ap ﷺ ne farmaya, "Tum maise jo akhlaq me sabse behtar ho.”

Al adab al mufrad, hadith- 272. Ise Shaykh Albani ne sahih karar diya hai.

۩ Abdullah bin Masud r.a. riwayat karte hai ki RasoolAllah ﷺ ne farmaya, “Kya mai tumhe aese logo ki khabar na du jo jahannam ki aag par ya jahannam ki aag un par haraam hai?
Jahannam ki aag logo ke kareeb rahne waale, aasani karne wale, aur naram akhlaq waale par haraam hai.”

Jamia Tirmizi, hadith- 2488, chapters on the description of the day of judgement, ar-riqaq, and al-wara' ﴾37﴿. Ise imam tirmizi ne hasan gareeb karar diya hai.

۩ Anas r.a. riwayat karte hai, "Maine das saal tak Rasool ﷺ ki khidmat ki. Unhone mujhe kabhi 'uff' tak nahi kaha aur unhone mujhe kabhi kisi chiz ke bareme nahi toka ki tumne ye kyu nahi kiya, jo kaam maine nahi kiye ya fir us chiz ke bareme ye nahi kaha ki tumne ye kyu kiya, jo kaam maine kiye the.

Al adab al mufrad, hadith- 277. Ise Shaykh Albani ne sahih karar diya hai.

۩ Abu Huraira r.a. riwayat karte hai ki Rasoolallah ﷺ ne farmaya, ek shaks jise acche akhlaq ke liye jana jata hai uska wahi martaba hai jaise koi shaks raat ko namaz me khada rahta ho.

Al adab al mufrad, hadith- 284. Ise Shaykh Albani ne sahih karar diya hai.

Ye hai hamare deen me akhlaq ki ahmiya jo hamari aksar ummat bhula chuki hai.

Hamare sahaba aur salaf ka akhlaq bhi buland martabe par tha. Imam Bukhari ne toh 'al adab al mufrad' naam ki ek puri hadith ki kitab hi likh di jisme unhone sirf akhlaq ke upar hadeeso ko jama kiya hai.

Ek baat aur gaur kare ki akhlaq ka matlab sirf 'ji, janab' se baat karna nahi hota hai balki har amal me aklaq ka hona zaruri hai. Aur Imam Bukhari ki us kitab me har mahol aur amal me kaisa akhlaq hona chaiye is par raushni dali gai hai hadeeso ke zarye.

Islah ke dauran achhe akhlaq ko banaye rakhna ye boht zaruri hai. Ap kisi se bugz rakhte hai, ap kisi ke upar ilzam-tarashi karte hai, ap ikhtilaf ki surat me gandi zuban istemal karte hai, ye sab bure akhlaq hai. Agar apke andar ye sab maujud hai to apko khud ko tassubaat se paak karna hoga. Ye sab tassubaat aur taqabbur ki alamat hai. 

Insan ke akhlaq aur kirdar ka asal imtehan hi ye hai ki wo is ikhtilaf ko kaise bardash karta hai aur apne se alag raaye (opinion) rakhne walo ke liye wo kaisa rawayya ikhtiyar karta hai! Badkismati se hamare muashre mein logo ko ikhtilaf bardasht karne ki taaleem nahi di jaati! Jis mahol, jis firke, jis mazhab, jin riwayato me ham pale-bade hote hum uske khilaf ek lafz sunna bhi bardasht nahi karte! Hum sirf apne mazhab, apne firke, apni riwayat ko hi durust samjhte hai! Ye baat ek achhe akhlaq ke khilaf hai. Yahi wo rawayya hai jiski quran aur sunnat jagah jagah mukhalifat karta hai!

Aur akhir me mai ye kahna chahta hu ki hamara ye farz hai ki ham nabi ﷺ ke akhlaq ko apnaye. Agar hamne apni akhlaqi pakeezgi ki islah nahi ki to hamne islam ke sabse bade maqsad me naqamyabi hasil ki aur iska ehsaas hame qayamat me hoga.

۩ Abu ad-Dardh riwayat karte hai ki Rasoolallah ﷺ ne farmaya, “Qayamat ke din momin ke liye sabse bhari chiz jo (aamaal ke) tarazu me tauli jaegi wo uska akhlaq hoga.”

Jamia Tirmizi, chapters on righteousness and maintaining good relations with relatives, hadith- 2002. Shaykh Zubair ali zai ne sahih karar diya hai.

۩ Abu Huraira r.a. riwayat karte hai ki Rasool ﷺ ne farmaya, 'Tumhe maalum hai gareeb kaun hai?' Sahaba r.a. ne arz kia, ham to gareeb us ko samjhte hai jis ke paas rupya-paisa aur saaz o saamaan na ho.

Rasool ﷺ ne farmaya, “Meri ummat me gareeb wo shaksh hoga jo qayamat ke din namaz, roza aur zakat ke sath aayga magar us ne kisi ko gali di hogi, kisi par jhuta-ilzam lagaya hoga, kisi ka maaal hadap kiya hoga, kisi ka khoon bahaya hoga, kisi ko maara hoga, chunache us ne jin jin logon ki haq talfi ki ho gi unhe us ki nekiya de di jayengi. Aur agar uski nekiya kam pad jaye toh fir in logo ke gunaah la kar us par laad diya jayega . Aur use dozakh me fenk diya jayega.”

Sahih Muslim, Book of virtue, enjoining good manners, and joining of the ties of kinship ﴾45﴿, hadith- 6579.

•٠•●●•٠•

Allah se dua hai ki wo hamare akhlaq ko behtar kare. aameen.

Recommended Articles:
Read More »

16 Jan 2018

Sabr Ki Fazilat Aur Ahmiyat

۝  Quran

Allah ﷻ farmate hai,

يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا اسْتَعِينُوا بِالصَّبْرِ وَالصَّلَاةِ إِنَّ اللَّهَ مَعَ الصَّابِرِينَ

Aye Eemaan walo ! Sabr aur Namaz ke zarye madad mango. Beshak, Allah sabr karne walo ke sath hai.

Surah Baqara, Ayat 153.

۩ Sabr karne waalon ko unki mazdoori be-hisaab milegi.

Surah Az-Zumar, Ayat 10.

۩ Aur unke sabr ke badle unhe jannat aur reshmi libaas diye jaayenge.

Surah Daher, Ayat 12.

۩ Aur Allah sabr karne waalon se Muhabbat karta hai.

Surah Aal e Imran, Ayat 146.

Saabiron ke liye nek anjam aur behtareen thikaana hai, Qayamat ke din unka shumar muttaqiyon me hoga. Allah taala ka farman hai,

"Jo Tang'Dasti, Dukh, Dard aur Ladaayi ke waqt sabr kare, yahi sacche log hain aur yahi parhezgaar hai."

Surah Baqarah, Ayat 177.

۝  Sunnah 

Rasool Allah ﷺ ne farmaya ki Momin ka ajab (boht achha) haal hai ke jab Allah usey nemat bakshta hai to wo shukr karta hai aur ispe isko sawab milta hai aur jab Allah use aazmata hai aur uspe taklif dalta hai tab wo sabr karta hai aur ispe bhi isko sawab milta hai.

Sahih Muslim, The Book of Zuhd and Softening of Hearts, Hadith -7138.

Hazrat Syedna Abu Umamah r.a. farmate hai ke Rasool Allah ﷺ ne farmaya ke Allah subhanahu wa ta'aala farmate hai, "Aye Ibn e Aadam ! Agar tu sadmein (grief, sorrow) ke shuru me Sabr kare aur sawab ki niyat rakhe to Mai tere liye Jannat se kam ajar pasand nahi karunga.

Sunan Ibn Majah, Kitab al Janaiz, Hadith-1597. Classed as Hasan by Sheikh Zubair Ali Zai.

۝  Faidah

In Qurani ayaton aur Hadeeso me jahan Sabr ki fazilat hai waha Sadme ke shuru ke waqt sabr ki takeed (emphasis) bhi hai kyu ki Sabr to Sadme ke shuru hi me hai kyu ki Ek na ek din to sabko hi sabr aajata hai.

Sabir apne sabr ke badle nihayat azeem aur na khatm hone wale inaam ka badla payenge.

Haqiqat toh ye hai ke sabr momin ki shaan hai, kya hi khus-kismat hain wah log jo museebat ki ghadi mein sabr karte hain aur Rab se ajar haasil karte rahte hain. Museebat me sabr karne waalon ko aakhirat ke alawa, basa awqaat duniya me bhi uska badla mil jaata hai.

Jo is chand roza zindagi ke masaib ko sabr wa shukr ke saath bardaasht kar leta hai, woh Allah ka muqarrab banda ban jaata hai, use hamesha ki aakhirat me aisa maqaam wa martaba hasil hoga jise dekhkar duniya hairaan rah jaayegi.

•٠•●●•٠•

Aye Allah hum sabko Sadme ke agaaz me Sabr karne ki taufeeq dein. Aameen.
Read More »

14 Jan 2018

Isha Ki Namaz Aur Nabi ﷺ Ka Tarika


۩ Abu Barzah al Aslami r.a. riwayat karte hai ki Rasoolullah ﷺ Isha der se padhna pasand farmate the, aur is se pahle sone aur is ke baad baat-cheet karne ko napasand karte the.

Sunan Ibn Majah, kitab us Salaat, hadees- 701, Sahih (Darussalaam).

۩ Aisha r.a. riwayat karti hai ki Rasoolullah ﷺ Isha ke pahle sote nahi the aur Isha ke baad jaagte na the.

Sunan Ibn Majah, kitab us Salaat, hadees- 702, Hasan (Darussalaam).

•٠•●●•٠•

Allah se dua hai ki wo ham sab ko Huzur ﷺ ke nakshqadam par chalaye. aameen.
Read More »

11 Jan 2018

Kya Libas Tabdeel Karne Se Wuzu Tut Jata Hai ?


Kya Libaas Tabdeel Karne Se Mera Wuzu Toot Jayega? Aur Kya Mard Aur Aurat Ke Ma-baen Is Hukm Mein Koi Farq Hai ?

Agar Koi Shakhs Taharat Ki Haalat Mein Ho Aur Woh Apna Libaas Tabdeel Kar Le Toh Usse Wuzu Nahi Toot-ta, Kyuki Libaas Tabdeel Karna Wuzu Tutne Mein Shaamil Nahi, Aur Is Mein Mard O Aurat Sab Barabar Hain. Wallaho Aalam .

Wuzu Jin Chizo Se Tut Ta Hai Wo Ye Hai :

1 Aage Ya Piche Ki Sharmgaah Se Kharij Honay Wale Ashye ( Pishaab, Pakhana, Hawa Wagaira ) Lekin Aurat Ki Qabl Se Kharij Hone Wale Hawa Se Wuzu Nahi Toot-ta .

2 Aage Ya Piche Ki Sharmgaah Ke Ilawa Aur Kahi Se Pishaab Aur Pakhana Kharij Hona .

3 Aqal Zael Hona (Hosh-khona), Ya To Mukammal Taur Par Aqal Zael Ho Jaye, Yaahi Majnoon Aur Pagal Ho Jaye, Ya Fir Kisi Sabab Ke Baais Kuch Der Ke Liye Aqal Par Parda Par Jaye, Maslan Neend, Behoshi, Nasha, Wagaira .

4 Azoo E Tanasul (Penis) Ko Chuna :

Is Ki Daleel Basrah Bint Safwaan R.a. Ki Hadees Hai Woh Bayan Karti Hain Ki Mein Ne Rasool ﷺ Ko Ye Farmate Hue Suna :

"Jis Ney Azoo E Tanasul Ko Chuwa Wo Wuzu Kare "

Sunan Abu Dawood, Al-tahaarah, 154. (Albaani Said In Saheeh Sunan Abi Dawood, No. 166, It Is Saheeh). 

5 Oont (Camel) Ka Gosht Khana :

Is Ki Daleel, Jaabir Ibn Samurah Ki Hadees Hai Woh Bayan Krate Hain Ki Ek Shakhs Ney Nabi ﷺ Se Daryaft Kiya Ki Kya Hum Oont Ke Gosht Khane Ke Baad Wuzu Kare ?

To Rasool ﷺ Ne Farmaya: "Ji Haan".

Sahih Muslim, Al-hayd, Hadith- 539.

Yahan Ek Cheez Note Karna Zaruri Hai Ki Aurat Ke Jism Ko Chune Se Wuzu Nahi Toot-ta, Chahe Shehwat (Feelings Of Desire) Ke Sath Ho Ya Baghair Shehwat Lekin Is Ke Nateeje Mein Agar Koi Cheez Kharij Ho To Phir Wuzu Toot Jayega.

Mazeed Tafseel Ke Liye Sheikh Ibn ‘Uthaymeen, R.h. Ki Kitab Al-sharh Al-mumti’ Vol. 1, P. 219-250 Aur Fataawa Al-lajnah Al-daa’imah, Vol. 5, P. 264 Ka Bhi Muta'la Zaroor Kare.

Wallahu Aalam.

•٠•●●•٠•

Read this article in:


۩ Urdu
۩ English
۩ Hindi


Related: Wuzu Todne Wali Chize
Read More »

Islah Me Sabr Aur Akhlaq Ki Ahmiyat


Ham aur ap jaise log jinke aqeede quran wa sahih hadees ke mutabiq hote hain aur hum biddat(innovation) se bachne ki bharpur koshish karte hai aur biddat ko pehchanthe( identify) bhi hain, hum jaise log apne mulk mai din raat hone wali bidat'o ki khilaf kya karte hai?

Facebook jihadi bankar lambi lambi post karte hain- ye haraam wo haraam. Kisi mahfil mai bidat dekhli to wahi shor barpa kiya aur fir do fareekh (opponent) bana kar ladai(fight) shuru.

Koi ahle biddat sms bheje to jawab me garma garam message bhej diya. Mai batau ke mere mulk ka aik(1) bada tabka bidati kyun hai? Wo biddati hai mere jaise quran wa sahih hadees ke pairokaron(followers) ki waja se. In ahle biddat muslmano ko agar kisi cheez ka ilm na tha , woh agar apnay maa baap kay tareeqay par chal rahe the, lekin humain to ilm tha na humne unko kyun nahi raahe raast par lane ki koshish ki? Aur agar koshish ki to kaisi? Tok kar, gussa karke? Tanqeed(critisize) karke? Khud ko durust sabit  karne ki zid mai bahes karke? 

Hum wo log hai jo andhere mai baithe logo ko chilla chilla(shout) kar andheri khaiyon (deep excavation) se khabardar karne ki koshish kar rahe hai. Chillane se sirf itna hoga ke wo log zara der tharain ge, uljhen ge, magar fir jitna unki ankhe dekhne ki adi ho chuki hain, utne ko bohut samajh kar chalte jainge.

Andheron mai cheekha chillaya thodi na jata hai balkay roshni laayi jati hain. Roshni aay gee to andhera khud ba khud khatam ho jayega. Haq ayega to batil jay ga. Hum musalman yeh baat kyun nahi samjhtay kay bahas, zid, ladayee say koi theek nahi ho sakta. Uloom e hadees seekhne me sahih, hasan, zaeef aur mauzu hadees ka farq aur raawi ki sharait jaannay aur seekhnay me aik arsa lagta hai hum quran o sahih hadees seekhne wale kayi saal laga kar deeni course karte hain, diplomas lete hain, magar doosre se yeh umeed kartay hain ke jo baat  hame khud kayee saal (years) laga kar samjh ayee woh doosra shaks chaar line ke aik sms me samjh jaye. Chillanaa asaan hai per roshni lana mushkil hai. "Amr bil maroof " (yani neki ka hukum do) pahlay ata hai aur "Nahi ‘anil munkar mukir" (burayee se roko ) ka doosra number hai. Ahista ahista narmee se tahammul (patience) se logon ko taleem dee jaye to woh hum se achhe sunnat ke pairokaar (followers) ban saktay hain. Lekin hum Musalman yeh tahammul laye kahan say..
Islah Sirf Alfaz Nahi Hota, Tareeqa Hota Hai Tableegh Ka Jo Sidha Dilon Par Asar Karta Hai.
Read More »

9 Jan 2018

Ilm Ki Pahli Manzil

hi   -
Mai jab logo ko dekhta hu, mashriq-maghrib me unse milta hu to mujhe ye mahsoos hota hai ke in ki zyada dilchaspi ka ba-is ilmi mabaahis (ilmi debates) ban kar rah gai hai.
Ye apni jaga badi qeemti cheez ha lekin jab ham qayamat mein apne Rabb ki barghaah mein uthaye jayenge toh sawalaat is ke mutalliq nahi honge yaani Allah taala ye nahi puchenge ke (acha tum) ye batao tum meraj ko jismaani maante the ya roohani, ye nahi puchenge ke batao Quran majeed ki fulaan ayat se tumne ye matlab nikaala tha ya wo matlab samjha tha.
Wahaan jo cheez zer e bahas aane wali hai Deen me aslan us par nigaah rahni chahiye. Ye sab ilm ko hasil karne ki cheezen hain. Is se insaan taa'subaat ko khatam karta hai. Uske ilm me izaafa hota hai. Nayi nayi dunyaa'en daryaaft karta hai. Isko ek qalbi itmenaan hasil hota hai.

Ye badi qeemti cheez hai. Ilm ka safar koi mamuli safar nahi hai. Lekin asal cheez jis ke uper nigaah rahni chahye wo ye hai ke mai apni zaat mein, apni shakshiyat mein pakeezgi ka safar taye kar raha hoon ya nahi. Ye sawaal har waqat saamne rahna chahiye. Ye mai thodi der baad bataunga ki pakeezgi se Quran kya murad leta hai.

Kyon ke Quran e majeed se yahi maloom hota hai ke Allah taala ne jis imtehaan mein hamko mubtala kiya hai, is imtehaan mein hadaf (aim, goal) ki kaifiyat yahi hai ke ham kitna pakeeza ho kar uski baargah mein jaate hain.
Main aage chal kar wazaahat karunga ke pakeezgi ka content kya hai.. Lekin is waqat jis cheez ki taraf asal mein tawajjoh dilaani maqsood hai wo ye hai ke is hadaf ko kabhi nigaah se ojhal nahi hona chahiye.

Ilmi bahsen (debates) kare, cheezon ko samjhe, nayi nayi pahlu saamne aaye. Un se faida uthaaye. In main se koi cheez esi nahi ke jisko ghalat kaha ja sake. Lekin agar yahi tamaan chize hadaf (maksad) ho kar reh gai hai to ye samajhle ki Deen mehaz ilm nahi hai wo as'lan ek badi manzil hai jiski taraf hamari reh'numaai karne ke liye nazil kiya gaya hai. Aur jaisa ke maine bataya hai ke wo tazkiya (purification of oneself) hai aur ye qQran-e-majeed ne bilkul wazeh bata diya ke:

"Qad aflaha man tazakka"

"Jis ne apny apko pakeeza kar liya, wohi falaah payega"

Quran, 87:14.

Aur pakeezgi ke liye Allah ne pura amal bhi bata diya hai ke hame kya karna chahye. Main is par bhi guftgu karunga aage chal kar

Is me choo'ki ilm se baat shuru hui hai toh agar ap khalis nasb-ul-ain (maksad) ke hawaale se dekhain to jo "Rawaiyya" is se wajood main aata hai wo hai jis k baare mein ham qayamat mein jawaab-deh hongay. Yaani nateeja (result of our research) nahi balki wo rawaiyya (attitude) jo humny ikhtyaar kiya. Ilm ka tazkiya (purification) bhi usi tarah matloob (zarurat) hai jis tarha amal ka tazkiya matloob hai.

Lekin ilm ke tazkiye me hadaf (aim) kya hai ?

Yaani hamara "Attitude towards knowledge" kya hai ?

Yaani humne ilm ke muamle main rawaiyya kya ikhtiyaar kiya hai ?

Kya humne apne apko taa'subaat (badgumani ya bina-tahkeek ke kisi natije par pohchna) se pak karne ki koshish ki hai? Dekhain mainy lafz bola pak karna yahi tazkiyaa hai.

Kya hum ab bhi jazbaat main beh jate hein?

Kya ab bhi hum usi jagah par kharay hain ke pahly agar ek shakhs ki aqeedat (andhi-takleed ; blind-following) me mubtala the toh ab kisi dusre shakhs ki aqeedat me mubtala ho gaye hain? Kya Quran aur sunnat se agar koi baat sabit ho jati hai to kya fir bhi ham ye dekhte hai ki hamare ulema ya muhaddis ki raaye kya hai? Kya apne ulema aur muhaddis ko ham quran aur sunnat se zyada priority dete hai ?

Ye wo jaiza hai jo ham mai se har shakhs ko har waqt lete rehna chahiye yaani agar apne koi neyi tah'teeq jaan li yaa koi nayi raaye maloom kar li to is se ap faida uthayenge. Toh wo apko itmenaan-e-qalb degi lekin jis cheez ke liye ap Allah taala ke huzoor jawaab-deh hain wo ye ke jab ye cheez ap ke saamne ayi ya is say mukhtalif koi cheez apke saamne ayi to apne rawaiyya kya ikhtyaar kiya?

To jis cheez ki islah ilm ki duniya me bhi pesh e nazar rehni chahiye wo ye hai ke ham har tarah ke taa'subaat, har tarah ke jazbaat, aqeedaton se bala'tar (alag) ho ke cheezon ko samjhnae ki tarbi'yat kar le. Yaani is deen ki raah main tarbi'yat ka pahla mar'hala yahi hai ke hamara maqsad yahi ho ke ham apna jaiza lete rahe.

Har raat jab ham bistar par jaye to sone se pahle ek bar khud se puchen ke kya waqayi ham taa'subaat (bad-gumani; apne se alag raaye rakhne wale ke liye bad-gumani) se bala'tar ho gaye hain? Aur is main hamesha ye cheez pesh'nazar rakhain ke taa'sub ek aisi bimaari hai ke ye baaz auqaat aadmi ko ehsaas bhi nahi hota ke yeh is ko lahaq ho chuki hai (lag gai hai). Khud ko jazbaat ke hawale kar dena, insan ki aisi kamzori hai ke bade se bade aadmi ko ye andaza nahi hota kay wo is kamzori main mubtala ho chuka hai. Toh apna postmortem karte rahna chahiye, yaani jaizaa lete rahna chahye ke:

Kya is ilm k safar main waqayi ab hum khalis daleel ki bunyaad par cheezo ko samjhte hain ?
Agar koi hamari maani hui raa'ye se mukhtalif cheez ki taraf humain bulaye to hamara response gair tassubana hota hai?
Kya hum aj bhi poori tawajjoh se uski bat sun'nay ke liye amaa'da hojaty hain?
Kya hamary andar ye cheez moujood hai ke agar hamari galti ham par waa'zeh ki jayegi toh hum haq ko maan lenge?
Toh iska jaiza lete rahna chahiye.

Ye pahli cheez hai jo mein apki khidmat main arz karna chahta tha ke jab ap ilm ka safar karein to aam tor par insan nata'ij fikr (conclusion of a research) me mubtala hojata hai ke yeh ek tehqeeq ho gai, ek nuqta-nazar wazeh ho gya. Ye tahkeek ka natiza boht badi bat hai. Mein iski nafi nahi kar raha lekin misaal ke taur par badi jiddo-jahad ke bawjood apki tahkeek galat ho gai toh ye saza ka zarya nahi banega..

Asal cheez ye hai k galat nuqta e nazar ke maam'le me bhi apka rawaiyya kya raha ?
Yaani ye galti kya taassub ke wajah se hui ?
Ya ye galti jazbaat me mubtala hone ke wajah se hui ?
Ya ye galti kisi ki aqeedat (blind-following) ki wajah se hui ?
Ya ye galati insaan ki fitri kamzoriyan jo hain uske lehaaz se hui?

To jo shuru ki cheezen jo hain wo qabil-e-muafi nahi hai lekin aakhri chiz kabil e muafi hai. Iska poori tarah ehsaas bhi hona chaiye aur is par har lehza sochte bhi rehna chaiye.
Main iski zaroorat is zamane mein boht zyada mahsoos karne laga hoon kyon ki maine yeh dekha hai ke ye chiz hamari ummat me boht aam hoti ja rahi hain.
Ek chiz wo jiski taraf maine ishaara kiya wo nata'ij fikr nikalne me hi shab-o-roz masroof rahte hai aur dusri yeh ke is se ek khaas tarah ka ehsaas-e-bartari (feeling of superiority ; khud ko dusre se behtar samajhna) inki guftgu me, inki baat-chit main, labb-o-lehja main aana shuru hojata hai.Yaani inke lahje me, baat cheet me (ilm ka) ghamand jhalakna shuru ho jata hai.

In dono se khuda ki panaah maangni chahiye. Allah taala ko sab se zyda jo cheez na'pasand hai wo ap jaante hai ke wo ghamand hai aur ghamand ya taqabbur ke baare me farmaya gaya hai ke oont (camel) suyi (needle) ke naake main dakhil ho sakta hai, lekin koi ghamand karne wala shaks jannat me dakhil nahi ho sakta. (for reference see, quran, 7:40.)

Apne andar sacchi aaziz (humbleness) paida karna chahiye aur hamesha sacche ilm ka musafir ban kar rahna chahiye. Is me khaas taur par apna tazkiya karte hue ek usooli baat ko palle baandh lein aur wo yeh hai kay kisi dar'jay mein bhi ibaadat khuda ke siwa kisi ki na ho aur adeeqat (blind-following) Muhammad ﷺ ke siwa kisi se na ho. Baaki jo kuch bhi hai wo zyada se zyada kya hai? Jaisay ap apne bade ka, mu'allim ka ehtraam karte hain.

Agar ehtaraam, adeeqat (blind-follwing) me badalna shuru hojaye toh iska matlab ye hai ke nafs alooda (impure) hona shuru hogaya hai. Jahaan se ap nikle the ab wapis wahi ja rahe hein, jis safar ki apne shuruat ki thi. Ap fir wapis wahi laut rahe hai. Ye ek bada U-turn hoga, jis se har Muslmaan ko, har sacchay ilm ke musafir ko Allah ki panaah maangni chahiye.

Asal cheez jiska qayamat ke hawaale se hame apne andar paida karna hai wo be-taa'subi hai. Wo ilm ki sacchi talab hai.. Wo sahih bat jan'nay ke liye zahni tayaari hai.. Wo aqeedato (blind-following) se hat kar cheezon (ilm) ko dekhna hai..

Iska ek laazmi takaaza ye hai ke jahaan kahee bhi ilm payaa jata hai, ap usse ikhtilaf kare lekin kabhi kisi sahab-e-ilm ke baare main be-ehtraami (disrespect) ka rawaiyya ikhtyaar na karen. Sab ki dil se respect kare. Yahi hamare sahaba ka tarika tha ki wo ikhtilaf to karte the lekin ekdusre ki izzat karte the. Wo ikhtilaf me ek dusre ko gustakh e rasool ya manhajless, etc nahi kahte the.

Kisi shakhs ke baare main raa'ye dete waqat uske mahaa'sin (bhalaiyo) ko kabhi nazar andaaz mat kare. Aapne dekha hoga ke mai apne baaz jaleel-ul-qadr buzurgo se, jin ke saya me maine sha'oor ki aankh kholi hai, bada shadeed ikhtilaaf karta hoon lekin kabhi unki azmat (respect) ke maam'le me mere yahaan koi bura tas'sur apko nahi milega. Main unki badi izzat karta hoon aur unke mahaa'sim (bhalaiyo) par logo ko hamesha tawajjo dilata hu aur batata hu ke wo kaise bade log the aur unko Allah taala ne kaisa behtareen akhlak ata kiya tha.

Ilm me galti hojati hai, us galti ke baare me hum guftgu karenge, islah bhi karenge. Is liye ke kisi ki azmat apko yahaan tak na le jaye ke aap unki galti ki ta'eed (defence) karne lag jaye aur galti par tanqeed (criticize) yahaan tak na le jaye kay aap us shakhs ka waajibi ehtraam karna bhi chor dein. Ye cheez agar paida ho jaye to ap main aur baaki logo mein koi farq nahi reh jayega.
Ye jitne is waqt firqe aur groh bane huye hain ye asal me wo cheez hai jiska lehaaz na rakhne se bane hain. Agar in ke jo rahnuma hain, ulema hain wo har mauqa par inko ye tawajjo dilaate ke hum Muhammad RasoolAllah ﷺ ke pairo (follower) hain [naahi, kisi buzurg ya imam ya muhaddiseen ke]. Koi agar galti se pak hasti hai to wo Allah ka Rasool ﷺ hai, baaki saare ke saare ulema, khawaa wo bade bade aaima hon wo insaan hai. In se galti ho sakti hai aur khud ke baare me bhi ye yahi kahte hain ke ham apni tahqeeq apko bata rahe hain aur khud bhi ham ilm ke safar main har lehza masroof hain.

Koi haqeeqat hum par waa'zeh hojaegi to ham apko bata denge, agar koi galti samajh mein aa jaegi to usko sudhar lenge. Ap par agar kisi dusre shaks ki baat zyada wazeh ho jaye aur agar ap mahsoos kare ke us main haq hai to apko usi ki pairwi karni chahiye. Allah taala ne kisi ek shakhs ke saath apko nahi bandhaa hai aur ye bilkul ek haqeeqat aur ek waqya hai, jo hamare bade bazurg hain, jin se tareekh roshan hai, unki zindgi aur amal se maloom ho jata hai ke un me se kisi ke baare me ye nahi kaha ja sakta hai ke wo 100% darust hai. Yaani ba-haisiyat e majmooi (altogether) hum ahle ilm ki qadr bhi karte hain aur unse koi achhi bat hoti hai toh ise apnaate bhi hain, aur agar koi baat quran aur sunnat ke mutabik na samajh aye to usse ikhtilaf bhi karte hai. To yeh wo rawaiyya hai iske liye hum jawaab-deh hain Allah ke yahan. Yaani hamara yahi rawaiyya hona chahye, ye siraat-e-mustaqeem (sidha rasta) hai.

Ye siraat-e-mustqeem hai. Is par hum ko chalna hai ke ham taa'subaat se bala'tar ho kar zindagi basar kare. Toh ilm ke muamle mein mai ye samjhta hu ke is ki hamko bar-bar yaad-dihani karani chahiye. Ham apni majalis mein, apni study circle mein, jahaan kahee baithen, logon ko hamesha ye bataye ke ye ilm ka safar hai, ye aakhri nataij ka bayan nahi hai.
Is mein ye nahi honi chahiye ke ham par nubuwat khatam ho rahi hai, nubuwat khatam ho gai jis par honi thi. Hum sab ke sab huzur ﷺ ki baat ko samjhne mein masroof hain. Aur aiye ap bhi sath shamil hojaiye.

Is main jab ap dusron ke saath baat karte hain, to apka dawat ka tarika yeh nahi hona chahiye ke ab ye haq ham par nazil ho gaya hai aur hum iski khabar dene ke liye aaye hain. Nahi! balki Ye hona chahiye ke jaisa ek saccha talib-ilm karta hai ke dekho bhai baat ye hai ke mai bhi tumhari tarah ilm ka musafir hoon, mere ilm main ek nayi baat ayi hai, yeh mujhe appeal karti hai. Tum bhi is par gaur kar lo.
Aaiye mil kar is par gaur kar lete hain. Mil kar iska mutala kar lete hain, mil kar isko dekh lete hain. Toh ye jo attitude aur rawaiyya hai yeh ilm ke tazqiye (purification) ki pahli manzil hai iska hamesha khayal rakhna chahiye.

                                                                •٠•●●•٠•

From a series that was started on Iqra' Whats App broadcast Service: 009779868212118 .

Wama Alaina Illal Balagul Mubeen - Aur Mera Kaam To Nahi Hai Lekin Sirf Pohcha Dena.
Read More »

Ek Galat Samjhi Hui Hadith - Amal Ka Daromadar Niyat Par Hai


Hamare Muashre Me Ek Hadith Ko Misquote Kiya Jata Hai Ki Huzur Ne Farmaya Ki Amal Ka Daromadar Niyat Par Hai. Kuch Log Apne Biddat (Deen Me Nayi Chiz Ijaad Krna) Ya Aesi Hi Chiz Ko Support Krne K Liye Ye Hadith Quote Krte Hai. Unka Kahne Ka Matlab Ye Hai Ki Ham Agar Kitab O Sunnat Se Koi Kaam Hat Kar Karte Hai To Kya Hua, Niyat To Nek Hai Na Wo Amal Karne Ka.

Lekin Deen E Islam Me Ye Logic Nahi Chalti. Agar Ye Logic Ko Apnaya Jaye To Jo Shiya Log Jo Matam Karte Hai Wo B Nek Niyati Se Hi Karte Hai Koi Bad-niyati Se Ye Nahi Krte, Fir Ham Unhe Galat Kyu Kahte Hai?

Apko Quran Aur Sunnat Me Boht Si Hadith Milengi Jo Is Logic Ka Radd Karengi. Misal Ke Taur Par Mai Ek Hadith Quote Krta Hu,

۩  Abdullah Bin‘ Awfa r.a Se Riwayat Hai Ke Jab Maaz r.a Shaam Se Aye To Unhoon Ne Nabi ﷺ Ko Sajda Kiya.
Ap ﷺ Ne Farmya: (Maaaz! Ye Kya?) Unhoon Ne Kaha: Main Shaam Gaya To Main Ne Wahan Ke Logon Ko Dekha Ke Wo Apne Padriyon Aur Rehnumaon Ko Sajda Kar Rahe The,
Mujhy Apne Dil Main Yeh Baat Achi Lagi Ke Hum Log Ye Ap ﷺ Ke Sath Ye Tarika Ikhtiyar Karen To RasoolAllah ﷺ Ne Farmya:  Tum Aesa Mat Karna, Agr Main Kisi Ko Ghair Allah Ke Liye Sajda Karne Ka Hukam Deta To Biwi Ko Hukm Deta Ke Wo Apne Khawand Ko Sajda Kare, Kasam Hai Us Zaat Ki Jis K Hath Main Muhammad ﷺ Ki Jaan Hai! Aurat Apne Rabb Ka Haq Ada Nahi Kar Skti Jab Tak Apne Khawand Ka Haq Ada Nahi Karti Agar Wo Oonat Ke Kajaweh Per Baithi Hui Ho Aur Khawand Us Se Khwahish Ka Izhaar Kare To Wo Inkaar Nahi Kar Sakti.
Hadees Ke Ye Alfaz Ibn E Majah Ke Hain, Is Hadees Ko Albani Ne “Sahih Ibn e Majah" Main Sahih Qarar Diya Hai.

Sunan Ibn Maajah (1853) And Al-Bayhaqi (14711).

Ab Is Hadith Me Gaur Kiya Jaye Toh Muaz Bin Jabal r.a. Ne Huzur ﷺ Ki Izzat Aur Muhabbat Me Hi Sajda Kiya Tha, Huzur Ki Gustakhi Me Nahi Kiya Tha. Ab Niyat To Nek Hi Thi Na Muaz Bin Jabal R.a. Ka Lekin Fir Bhi Huzur Ne Mana Farmaya Is Amal Se. To Ye Logic Ki Sirf Nek Niyat Hona Chaiye Baki Jo Bhi Amal Karte Raho To Ye Sahih Nahi Nahi. Aur Is Tarha Ki Boht Si Hadeese Milengi Apko.

Ek Aur Boht Khubsurat Hadith Hai Bukhari Me:

۩ Anas Bin Malik (R.a) Farmate Hai Ke Rasool Allah ﷺ Ki Ibadat Ke Bare Mey Puchne Ke Liye 3 Shakhs Aisha R.a.(Azwaje-mohtaraat) Ke Pass Aaye, Jab Un Logon Ko Rasool Allah ﷺ Ki Ibadat Ka Tariqa Bataya Gaya To, Unhone Aap S.a.w. Ki Ibadat Ko Thodi Samjhi Aur Kaha, Humara Rasool Allah ﷺ Se Kya Muqabala ??, Allah Ne Aapke Agle Piche Gunah Maaf Kardiye Hai, Un Mey Se 1ne Kaha, Main Humesha Raat Bhar Namaz Padhta Rahunga, 2re Ne Kaha Main Humesha Roza Rakha Karunga, 3re Ne Kaha Ki Mai Auraton Se Door Rahunga, Main Nikah Nahi Karunga, Unmey Ye Guftagu Ho Rahi Thi, Ke Rasoolallah ﷺ Aaye Aur Farmaya, Kya Tum Logon Ne Ye Baate Kahi Hai??gaor Se Suno, Allah Ki Kasam, Main Tumme Sab Se Zada Allah Se Darne Wala Hon, Or Tumme Sab Se Zada Taqwa-ikhtiyaar Karne Wala Hon, Lekin Main Roza Rakta Hon Or Nahi Bhi Rakta, Raat Ko Namaz Padhta Hon Aur Sota Bhi Hon, Or Auraton Se Nikah Bhi Karta Hon,toh Sunlo Yahi Mera Tariqa(Sunnat) Hai Aur Jisne Mere Tariqe(Sunnat) Se Hatkar Kiya Wo Mujhse Me Se Nahi Hai.

(Bukhari, Wedlock, Marriage (Nikaah) [62:1].

Ab Gaur Kiya Jaye To Wo 3 Admiyo Ne Nek Niyati Se Hi Faisla Kiya Tha Ki Saari Raat Ibadat Karunga Wagaira, Lekin Fir Bhi Huzur Ne Ise Mana Farma Diya Kyuki Wo Sunnat Ke Khilaf Tha Yaani Deen Ke Khilaf.

Amal Ka Daromadar Niyat Par Hai Is Hadith Ka Mafum Ye Hai Ki Ek Amal Ka Sawab Uske Niyat Ke Mutabik Milega Aur Amal Aur Niyat Dono Zaruri Hai Ek Ibadat Ko Qubul Hone Ke Liye, Aur Iski Misaal Bhi Rasoolallah ﷺ Ne Di Hai Isi Hadith Me:

۝ Hazrat Umar Bin Khattab R.a. Ne Rasool ﷺ Se Suna, Rasool ﷺ Farma Rahe The Ki Tamaam Aamaal Ka Daar O Madar Niyat Par Hai Aur Har Amal Ka Natija Har Insan Ko Us Ki Niyat Ke Mutabiq Hi Milega, Pas Jis Ki Hijrat (Tark E Watan) Daulat e Duniya Hasil Karne Ke Liye Ho Ya Kisi Aurat Se Nikah Ki Garz Ho, Pas Us Ki Hijrat Un Hi Cheezon Ke Liye Hogi Jin Ko Hasil Karne Ki Niyat Se Usne Hijrat Ki Hai .

Sahih Bukhari, hadith- 1.

•٠•●●•٠•

Related : Kya Biddat e hasana Islam me jaiz hai ?
Read More »

Mayyat Ki Taraf Se Qurbani Ka Hukm

hi  -
Is ki Teen surate hai:
  1. Marne Wala Agar Wasiyat Kar Ke Mara Hai Ki Uske Naam Ki Qurbani Ki Jaye, Toh Fir Aesa Karna Chahiye. Isme Ulema Me Koi Ikhtilaf Nahi Hai.
  2. Agar Zinda Admi Apne Qurbani Me Murde Ko Shamil Karle To Isme Bhi Koi Harj Ki Baat Nahi Hai.
  3. Ek Alag Hissa Murde Ke Liye Qurbani Kiya Jaye (Matlab Ek Pure Baqre Ki Qurbani Kisi Murde Ke Liye Kiya Jaye). Isme Hamare Ulema Me Ikhtilaf Hai.
Ham yaha teesre nukhte par baat karna chahenge. Is nukhte par ulema ke 2 raaye hai. Chand ulema ka kahna hai ki murde ki taraf se alag qurbani karna jaiz hai. 

Unki Daleel ye hai,

۝  Ayesha r.z. bayaan karti hai ke Nabi ﷺ ne do kaale paaun, kaali aankhon wale mendhe Qurbani karne ka hukm diya, aur Nabi ﷺ ne inhe farmaya, “Aye Ayesha churi lana (mujhe churi pakdao) tou maine inhe churi di inhone wo churi li aur mendha pakad kar litaya phir ise zabah kiya (zabah karne ki tayyari karne lage) aur farmaya ‘بسم الله ، اللهم تقبل من محمد ، وآل محمد ، ومن أمة محمد ثم ضحى به’ Bismillahi Allahuakbar, Aye Allah Muhammad ﷺ  Aur Aale Muhammad Aur Ummat E Muhammad ﷺ Ki Janib Se Qubool Farma Aur Phir Ise Zubah Kar Diya”

Sahih Muslim : 1967.

Lekin is hadith ki tafseel hame ek dusri hadith se milti hai. 

۝  Jabir bin Abdullah r.a. Kahte Hain Ke Mein Eid Al-Adha Mein Rasool Allah ﷺ Ke Sath Eid Gaah Mein Maujood Tha, Jab Aap ﷺ Khutba De Chuke To Mimbar Se Utre Aur Aap Ke Paas Aik Mendha (ram) Laya Gaya. To Aap ﷺ Ne:

”بِسْمِ اللَّهِ وَاللَّهُ أَكْبَرُ هَذَا عَنِّي وَعَمَّنْ لَمْ يُضَحِّ مِنْ أُمَّتِي“

"Allah Ke Naam Se, Allah Sab Se Bara Hai, Yeh Meri Taraf Se Aur Meri Ummat Ke Har Us Shakhs Ki Taraf Se Hai Jis Ne Qurbani Nahi Ki Hai"  Kah Kar Usay apne Haath Se Zabah Kiya.

Sunan Abi Dawud, Book of Sacrifice (Kitab Al-Dahaya), Hadith-2810. Classed as Sahih by Albani.

Toh isse ye pata chala ki Jin logo ne Qurbani nahi ki, unki taraf se RasoolALlah ﷺ ne Qurbani ki hai. 

Ek Dusri Daleel bhi hai,

حَدَّثَنَا مُحَمَّدُ بْنُ عُبَيْدٍ الْمُحَارِبِيُّ الْكُوفِيُّ، حَدَّثَنَا شَرِيكٌ، عَنْ أَبِي الْحَسْنَاءِ، عَنِ الْحَكَمِ، عَنْ حَنَشٍ، عَنْ عَلِيٍّ، أَنَّهُ كَانَ يُضَحِّي بِكَبْشَيْنِ أَحَدُهُمَا عَنِ النَّبِيِّ صلى الله عليه وسلم وَالآخَرُ عَنْ نَفْسِهِ، فَقِيلَ لَهُ فَقَالَ أَمَرَنِي بِهِ يَعْنِي النَّبِيَّ صلى الله عليه وسلم - فَلاَ أَدَعُهُ أَبَدًا ‏.‏ قَالَ أَبُو عِيسَى هَذَا حَدِيثٌ غَرِيبٌ لاَ نَعْرِفُهُ إِلاَّ مِنْ حَدِيثِ شَرِيكٍ ‏.‏ وَقَدْ رَخَّصَ بَعْضُ أَهْلِ الْعِلْمِ أَنْ يُضَحَّى عَنِ الْمَيِّتِ وَلَمْ يَرَ بَعْضُهُمْ أَنْ يُضَحَّى عَنْهُ ‏.‏ وَقَالَ عَبْدُ اللَّهِ بْنُ الْمُبَارَكِ أَحَبُّ إِلَىَّ أَنْ يُتَصَدَّقَ عَنْهُ وَلاَ يُضَحَّى عَنْهُ وَإِنْ ضَحَّى فَلاَ يَأْكُلْ مِنْهَا شَيْئًا وَيَتَصَدَّقْ بِهَا كُلِّهَا ‏.‏ قَالَ مُحَمَّدٌ قَالَ عَلِيُّ بْنُ الْمَدِينِيِّ وَقَدْ رَوَاهُ غَيْرُ شَرِيكٍ ‏.‏ قُلْتُ لَهُ أَبُو الْحَسْنَاءِ مَا اسْمُهُ فَلَمْ يَعْرِفْهُ ‏.‏ قَالَ مُسْلِمٌ اسْمُهُ الْحَسَنُ-

۝  Hanash riwayat karte hai ki Ali r.a. har saal 2 nar mendhe ki Qurbani diya karte the, Ek RasoolAllh ﷺ ke liye aur dusra khud ke liye. Jab (Ali r.a.) se is chiz ka zikr kiya gaya , unhone farmaya Unhone (Rasool ﷺ) ne mujhe hukm diya tha. Toh mai ise kabhi nahi chorta.

Jami` at-Tirmidhi, Book of Sacrifice (Kitab Al-Dahaya), Hadith-1495.

Lekin Is hadith ko khud Imam Tirmizi ne 'Gareeb' karar diya hai, jo ki zaif hadith ki ek kism hoti hai. Aur sath sath is hadith ka sukam bhi bayan kar diya hai. Is hadith ko aksar Muhaddiseeno ne zaif karar diya h. Sheikh Zubair Ali Zai ne bhi is hadith ko zaif karar diya hai. Uski wajah ye hai ki:

Is Hadith ki sanad me ek raawi, Shareek bin `Abdullah al-Qaadhi hai. Ye Mudallis raawi hai aur AN se riwayat kar rahe hai. Aur Muhaddiseeno ka ye usool hai ki Mudallis ki AN wali riwayat zaif hoti jab tak samaa ki tashree na ho. Yahi Usool Imam Muslim ne bhi Sahih Muslim ke Muqaddame me bayan kiya hai.


Dusri taraf Kuch Ulema ka kahna hai ki Murde ke liye khas Qurbani nahi ho sakti balki murde ke liye iska sadaqa hota hai:

 Imam Tirmizi Is hadith ke tahat Ye masala solve karte hai. Imam Tirmizi farmate hai,

وَقَدْ رَخَّصَ بَعْضُ أَهْلِ الْعِلْمِ أَنْ يُضَحَّى عَنِ الْمَيِّتِ وَلَمْ يَرَ بَعْضُهُمْ أَنْ يُضَحَّى عَنْهُ ‏.‏ وَقَالَ عَبْدُ اللَّهِ بْنُ الْمُبَارَكِ أَحَبُّ إِلَىَّ أَنْ يُتَصَدَّقَ عَنْهُ وَلاَ يُضَحَّى عَنْهُ وَإِنْ ضَحَّى فَلاَ يَأْكُلْ مِنْهَا شَيْئًا وَيَتَصَدَّقْ بِهَا كُلِّهَا-

۝  "Baaz Ahle Ilm Ne Mayyat Ki Taraf Se Qurbani Ki Rukhsat Di Hai Aur Baaz Log Ne Mayyat Ki Taraf Se Qurbani Ki Rukhsat Nahi Samjhi Hai. Abdullah Ibn Mubarak (Tabe-tabaeen) Kahte Hai, "Mujhe Ye Chiz Zyada Pasand Hai Ki Mayyat Ki Taraf Se  Sadaqa Kar Diya Jaye, Qurbani Na Ki Jaye, Aur Agar Kisi Ne Is Ki Taraf Se Qurbani  Kar Di To Us Maise Kuch Na Khaye Balki Tamam Ko Sadaqa Kar De." 

Jami` at-Tirmidhi, Book of Sacrifice (Kitab Al-Dahaya), Hadith-1495.

Toh mere ilm ke mutabik Abdullah ibn Mubarak ki raaye par amal karna behtar hoga. Ye isliye bhi kyuki mayyat ki taraf se Qurbani karne ki koi khas Daleel nahi hai aur na hi RasooAllah ﷺ se sabit hai ki unhone apni fautshuda biwi Khadija r.a. ya fautshuda bete ya kisi aur fautshuda shaks ke liye khas ye amal kiya ho. Albatta jo 2 surate upar batayi gai hai wo jaiz hai lekin behtar hai ki is teesre tarike se bacha jaye. 

Aur Allah sabse behtar janta hai.

•٠•●●•٠•

Read More »

Namaz Ke Tarike Ke Mutallik Ikhtilaf Aur Uska Hal (Arguemental Approach)

Point 1 : Namaz Ki Niyat - 

Kisi bhi ibadat ki qubuliyat ka daromadaar uski niyat pe hota hai isi wajah se ummat e muhammadiya  ki sabse unchi hadith ki kitab ki shuruat hi isi hadith se hoti hai ki rasoolallah  ne farmaya ki aamaal ka daromadar niyat pe hai (sahih al bukhari, hadith no.1).
Lekin sath sath ye bhi jaan le ki niyat ka matlab kya hota hai, arabic dictionary ke mutabik niyat ka matlab dil ka iradah hota hai. To agar apne kisi ibdat ka iradah kar liya ho apki niyat wahi par ho jati hai zaruri nahi ap apne niyat ko zuban se bole.
Isi tarha namaz ki niyat bhi tab hi ho jati hai jab ap ye iradah kar lete hai ki mujhe ab namaz padhna hai. Ya fir aesa kaha jaye ki namaz ki niyat to usi waqt hojati hai jab aadmi azan sunkar masjid ki taraf chal padta hai aur isi niyat ki wajah se ise har qadam par nekiya’n milti hain. Lehaza namaz shuru karte waqt jo kuch padha jaata hai wo khilaf e sunnat to hai hi sath hi sath khilaf e aql bhi hai.




Point 2 : Namaz me Surah Fatiha Padhna -

Namaz me surah fatiha padhna zaruri hai, Ap  ki hadith hai ki uski namaz nahi hoti jo surah Fatiha na padhe. Ummat me isme ikhtilaf nahi hai ki namaz me surah fatiha padhi jaye ya nahi lekin isme zarur ikhtelaf hai ki Imam ke piche Surah Fatiha padhi jaye ki Nahi. Dono taraf ke log apni dalail dete hai lekin Quran aur sunnat ke nazdeek mazbut raaye yahi hai ki Imam Ke piche surah fatiha padhi jaye q ki ye RasoolAllah ka farman hai aur Ap  ka farman hamare eeman ka hissa hai. Aur yahi wajah hai ki Deen ke sabse bade Muhaddis (Scholor of Hadith) Imam Bukhari ko ek kitab likhne ki zarurat pesh agayi taaki ummat me is ikhtilaf ko dur kiya ja sake aur unhone is kitab me sabit kiya hai ki Ummat ko kyu Imam Ke piche surah fatiha padhni chaiye, Is kitab ka naam Juz -al- Qira'at hai, apko iska pdf net pe mil jaega.
Agr apke pas waqt hai aur ap dono side ki dalail dekhna chahte h aur fir kis side ki dalail Quran aur sunnat ke sabse zyada nazdeek hai iske liye mai ek video ka link de raha hu jise shauk ho wo dekh le, isme detail se dono side ki dalail ko discuss kiya gaya h urdu zuban me : https://www.youtube.com/watch?v=Qaqb9x4Qtm0

‘Ubada bin As-Samit r.a. riwayat karte hain ki ham namaz e fajar me Nabi  ke piche the. Aap  ne Quran padha pas Aap pe padhna bhari hogaya, jab namaz se farig huwe to farmaya, “Shayad tum apne imam ke piche padha karte ho?” Ham ne kaha “Haa” Ae Allah ke Rasool . Aap ne farmaya “siwaye surah Fatiha ke aur kuch na padha karo kyu ki us shaksh ki namaz nahi hoti jo sureh Fatiha na padhe.”

Sunan Tirmizi hadees no: 311, ibn e Khuzaima-1581, ibn e Hibban-460, 461.




Point 3 : Namaz Me Aameen Kahna -

Jab aap akele namaz padh rahe ho’n to Ameen aahista kahei’n. Jab Zohar aur A’asr imam ke peeche padhei’n to phir bhi aahista kahei’n. Lekin jab aap jehri namaz mein imam ke peeche ho’n to jis waqt imam walaz zaaaleeen kahe to aap ko oonchee awaz se Aamin kehni caahiey. Balke Imam bhi sunnat ki pairwee mein Aamin pukar ke kahe. Aur muqhtadiyo’n ko imam ke Aamin shuru karne ke baad Aamin kehni chahiey.

Wael bin Hajar r.a. riwayat karte hain Rasool Allah  ne: ghairil maghzoobi a’alaihim walaz zaaaleeen padha Toh Aap  ne apni aawaaz se Aamin ko kheech kar kaha.
(Tirmizee: al Salah 248 – Abu Dawood: al Salah 932) Imam Tirmizee ne Hasan jabke Ibne Hajar aur Imam Dar e Qutini ne Saheeh kaha.

Abu Huraira r.a. kahte hain ke jab Rasool Allah ghairil maghzoobi a’alaihim walaz zaaaleeen to Aap kehte Aamin. (Is qadr oonchee awaaz se) ke pehli saf mein Aapke irdgird ke log sun lete.
(Baheqhee V2 P 158 – Ibne Qhuzaima 571 – Ibne Hibban 462) Ise Imam Haakim aur Imam Zahabi ne Saheeh kaha.

Abu Huraira r.a. farmate hain ke Rasool Allah  ne farmaya: ‘Jab Imam Aamin kahe to tum bhi Aamin kaho. Jis shaqs ki Aamin farishto’n ki Aamin ke takra gai to iske pichle gunah muaaf kar diye jate hain.’
(Bukhari: al Azan 780 – Muslim: al Salah 410)

Is hadees se maloom hua ke jis muqtadi ne abhi Surah Fateha shuroo ya qhatam nahi ki wo bhi Aamin kehne mein doosro’n ke saath shareek hoga. Taake ise bhi guzishta gunaho’n ki muafee mil jaae.

Aameen Wali Hadith ko Hamare Imamo ne Kaise Samjha:

Imam ibne Qhuzaima is hadees ki tashreeh mein farmte hain: Is hadees se saabit hua ke Imam oonchee awaaz se Aamin kahe kyou’nke Nabi e Rahmat muqtadi ko Imam ki Aamin ke saath Aamin kehne ka hukam isi soorat mein de sakte hain jab muqtadi ko maloom hoke imam Aamin keh raha hai. Koi aalim tasawwur nahi karsakta ke Rasool Allah muqtadi ko imam ki Aamin ke sath Aamin kehne ka hukam dei’n jabke wo apne imam ki Aamin ko sun na sake. (Saheeh Ibn e Khuzaima Volume-1 Page-276).

Imam Bukhari ne Sahih al Bukhari me baab bandha tha ki "Imam Ka Buland Awaz Se Aameen Kahna" aur fir wo Aameen kahne ki Hadith le kar aye hai. Aur Ye baat Jaan le ki Muhaddis ka baab, Muhaddis ka aqidah hota hai." Toh Imam Bukhari ka bhi yahi aqida tha ki aameen ko buland awaz se kahna hai. Aur isi wajah se Imam Bukhari ne baab ke baaad ek muallik riwayat le kar aye hai.

Abdullah bin Zubair r.a. aur inke muqtadiyo’n ne itni buland awaaz se Aamin kahi ke masjid goonj gai.
(Bukhari: Jahar al Imam bit Taameen, Musannaf Abdur Razzaq V2 P96) Imam Bukhari ne ise basagheeya jazam zikar kiya hai)

A’krama r.a. farmate hain: ‘Main ne dekha ke imam jab ghairil maghzoobi a’alaihim walaz zaaaleeen kehte to logo’n ke Aamin ki wajah se masjid goonj jaati.’
(Musannaf Ibn e abi Shayba V2 P187)

A’ataa bin Abi Rabaah r.a. farmate hain: ‘Maine 200 Sahaaba Ikram ko dekhe ke Baithullah mein jab imam ghairil maghzoobi a’alaihim walaz zaaaleeen kehta to sab buland awaaz se Aamin kehte.’ (Behaqhee V2 P59) Iski sanad Imam Ibne Hibban ki shart par Saheeh hai.

Rasool Allah  ne farmaya: ‘Jis qadr Yahoodi Salaam aur Aamin se cihdhte hain itna kisi aur cheez se nahi chidhte.’
(Ibne Majja: Iqamatis Salah 856) Ise Imam Ibne Qhuzaima V1 P288 Hadees 574, V3 P38 Hadees 1585 aur Imam Boosiri nahi Saheeh kaha.

Haafiz ibn e Abdul Bar r.h. ne zikar kiya ke Imam Ahmad bin Hambal r.h. (One of 4 Imam) us shaqs par saqht naraaz hote jo buland awaaz se Aamin kahne ko makruh samajhta. Kyou’nke yahoodi Aamin se chidhte hain.




Point 4 : Namaz me Rafa Yadain Karna -

Raful Yadain yaani dono’n hatho’n ka uthaana. Ye namaz mein 4 jagah saabit hai.
 Shuroo namaz mein Takbeer e Tehreema ke waqt. (While starting Salah)
 Rukoo se qabl. (Before bowing, Rukoo)
 Rukoo ke baad. (After raising head from Rukoo)
 Teesri (3) rakat ki ibteda mein. (At the beginning of third (3rd) rakat)

Lekin Ummat ke kuch Hazraat sirf Namaz ke shuru me rafa Yadain karte hai baaki teen jagah par nahi karte. Ek baat ki taraf tawajjo dilana chahta hu ki Puri Ummat is par muttafik hai ki RasoolALlah  rafa yadain karke namaz padhte the. Aur Alhamdulillah Is sunnat par puri ummat amal kar rahi hai siwaye Hanafi Hazraat ke, yaha tak ki shia log bhi is sunnat par amal karte hai jab ki unki hadith ki kitab hi alag hai, to is par lamha e firqiya hai Hanafi hazraat ke liye ke unko chor ke puri ummat is sunnat par amal kar rahi h.

Hamare mashhoor 4 Imam, Imam Shafi, Imam Ahmad ibn Hambal, Imam Malik, ye teeno imam rafa Yadain kar ke namaz padhte the. Kyuki Imam Abu Hanifa ki koi khud ki kitab nahi hai sahih sanad se jaise baaki 3 Imamo ki kitab hai isliye ham ye nahi kah sakte ki Imam Abu Hanifa rafa yadain karte the ki nahi.. ye baat alag hai ki unke taraf mansoob kiya jata hai ki wo rafa yadain nahi karte the. For the sake of arguement, agar ye maan bhi liya jaye ki waqai Imam Abu Hanifa rafa yadain nahi karte the fir bhi ham par lazim hai ki unki baat ko chor diya jaye kyuki Imam Abu Hanifa ne khud farmaya hai:

۩ Imam Abu Haneefa farmate hai: “Jab Tumhe koi Sahih hadith mil jaye to wahi mera Mazhab hai.”
Ibn `Aabideen in al-Haashiyah (1/63).

Imamo ke sath sath hamare saare Muhaddiseen bhi rafa yadain kar ke namaz padhte the. Imam Bukhari, Imam Muslim, Imam Abu Dawud, Imam Nisai, Imam ibn Majah aur baaki sab bhi. Yaha tak ke Imam Bukhari ne to khud ek kitab bhi likhdi Rafa Yadain par jiska naam Juzz Rafayadain hai (iska pdf apko net pe mil jayega), Aur unhone apni is kitab me rafa Yadain ki ahmiyat batane ke liye Allah ke azaab tak ka zikr kar diya hai ise tark karne walo par.

Aur is ummat ke boht boht boht bade Sheikh (teacher), Sheikh Abdul Qadir Jilani rahimaullah bhi rafa Yadain karke namaz padhte the jinhe aksar Hanafi apna Peer mante hai. Toh Murideen ke liye bhi lamha e fiqriya hai ki Kya wo apne peer ke tarike par hai?
Maine alhamdulillah Sheikh sahab ki kitabe padhi hai, aur Sheikh sahab ki ek kitab Ghunyat tu Talibeen me jab Sheikh sahab ne namaz ke tarike ka zikr kiya to unhone baqaida likha ki Ruku se Pahle aur ruku ke baad bhi rafa yadain karna chaiye. (Ye kitab bhi net par available hai lekin agr kisi ko na mile to wo mujhse hasil krle).

Aur Ummat ka ek maktaba e fikr jinhe Sheikh ul Islam kahta hai, Dr. Tahirul Qadri sahab, unko bhi manna pada ki hamare saare muhaddiseen aur sheikh Abdul Qadir jilani r.ah. bhi rafa yadain kar ke namaz padhte the. Ye clip dekhe: https://www.youtube.com/watch?v=0P6-65VpxiM

Ab itni saari dalail ke baad bhi agar koi banda rafa yadain na kare to wo is baat ki tayari karle ki jab kal Qayamat ke din agar Allah puch baithe ki tumne saari umr rafa yadain kyu nahi kiya tha saari dalailo ke bawujud to wo Allah ko kya jawab dega.
Agr Qayamat ke din Nabi  ne hamse sawal kar liya ki meri Rafayadain ki sunnat ko tumne ta-umr kyu chore rakha to kya muh dikhayenge ham apne Nabi ko? Kis Muh se ham unse khud ki sifarish karne ke liye kahenge? Saari umr ham khud ko aashiq e Rasool kah kar bhi ham jaan buj kar is sunnat ko kis liye chorte hai?
Agar ap sirf apne molvi/mulle ya firqe ke liye is sunnat ko chore rakha to ye baat to Ilyas Qadri sahab ne batayi hi hogi ki kabr me koi molvi ya firqa apke sath nahi jayegi lekin wo apke aamaal hai jo apke sath jayengi, apki sunnat se muhabbat, apki farz par amal hi apke sath jaegi.

Baaki mera kaam to haq ko pohcha dena tha. Ab muamla apke aur Allah ke bich hai.

Aur jo lame exuses diye jaate hai ki us zamane me Butt (idol) rakh kr aate the is liye rafa yadain krte the ya ki aakhri zamane me rafa yadain tark ho gaya tha ye sab safed jhut hai, insab ki koi daleel nahi hai. In sab dalail ki haqiqat aur rafa yadain ki details janne ke liye Iqra' ke articles chq kare ya ye video dekhe: https://www.youtu.be/LEl6POXZsuY




Point 5 : Ruku karna aur Ruku se uthna -

Ruku sukun ke sath kare, jaldbazi na kare. Aur jab ruku se uthe to usme bhi utna waqt de jitna apne ruku me diya tha. Aur ruku be baad hatho ko chor dena hai, bandhna nahi hai. Ye jo baaz Ulema e Arab aur Ahle Hadith ulema ki raaye hai ki ruku ke baad hatho ko bandhna hai ye bilkul hi batil raaye hai. RasoolAllah , Sahaba e Kiraam aur Hamare salaf maise kisi ne na is par amal kiya aur na hi iska hukm bayan kiya. Aur puri ummat ka is par ijma hai ki ruku ke baad hath chorne hai siwae chand ahle hadeeso ke jis tarha se kal bayan kiya gaya tha ki puri ummat ka amal hai rafa yadain ki sunnat par amal krne ka siwaye hanafi hazraat ke.

Ruku ke baad hath chorne ki Dalail Sunan Abu Dawud aur Sunan Nisai se Wail ibn Hajr r.a. ki hadith se hai jaha par wo namaz me hatho ki position ka bayan karte hai. Unhone boht barikhi se namaz ke har step me hatho ki position ka zikr kiya lekin usme ye kahi bhi nahi zikr kiya hai ki ruku ke baad hatho ko bandh liya jaye.

Aur jaha tak baat hai Imam Ahmad ibn Hambal r.h. ki qawl ki unhone Masaail e Ahmad me kaha ki isme koi tangi nahi hai (chahe koi hath bandle ya chorde), Toh isme Imam Ahmad ne koi daleel nahi pesh ki Quran wa sunnat se, ye ek qawl hai koi Quran aur hadith nahi. Jab Imam Abu Hanifa se galti ho sakti hai, Imam Shafi se galti ho sakti hai to Imam Ahmad se bhi galti ho sakti hai, aesa nahi hai ki sirf Imam Abu Hanifa hi saari galti karenge.

۩ Imam Ahmed Ibne Hambal (R.A) Ney Farmaya Hargiz naa meri Raae Naa Malik (R.A) ke Aur Imam shafai (R.A) ke aur Naa Imam Auzai ke aur naa Imam Thawri ke, Jaha say yeh Tamam Imam Deen ke Ahkam waa Masail Layte theay (Quran aur Hadees) Tum bhi wahi say hi Lena.
(Aqeedatul Jaid Page # 70).

Aur Yahi wajah hai ki Sheikh Albani ne baqayda apni kitab Sifat Salat Al-Nabi me ye likh diya ki Ruku Ke baad hath bandhna ek gumraahkun Biddat hai.




Point 6 : Sajde ke liye niche jana -

Jab sajde ke liye niche jaye to pahle hath rakhe ya ghutne is par hamare ulema e karaam ne ikhtilaf kiya hai. Kuch ne kaha ki pahle ghutne rakhe jaye aur fir hath aur is raaye ke kayl hai Hanafi ulema aur Shafi ulema. Wo Wael ibn Hujar r.a. ki hadith pesh karte hai ki jab Huzur  sajde ke liye niche jate the wo pahle apne ghutno ko rakhte the aur fir hatho ko aur jab ap sajde se uth-te the to ap hatho ko ghutno se pahle uthate the. Is riwayat ko Abu dawud, Nasai aur Tirmizi ne naql kiya hai.
Lekin Jaha tak is riwayat ki sehat ki baat hai to hamare aksar Muhaddiseeno ne is riwayat ko qubul nahi kiya hai. Imam Baihaqi, Sheikh Zubair Ali Zai aur Sheikh Albani ne is hadith ko zaif karar diya hai.

Ek dusri raaye ye hai ki Jab ap sajde ke liye jaye to pahle apne hatho ko rakhe fir apne ghutono ko rakhe. Is raaye ke qayl hai Imam Malik, Imam Awzaa’i aur boht se hamare Muhaddiseen. In ki Dalail Abu Huraira r.a. ki ek riwayat se hai jaha par Huzur  ne farmaya ki Jab ap Sajde ke liye jaye to oont (camel) ke tarha na bainthe, pahle apne hatho ko rakhe aur fir apne ghutno ko rakhe. Is riwayat ko Imam Ahmad (2/381), Abu Dawood, Tirmidhi, aur Nisaa’i ne naqal kiya hai. Sehat ke aetbar se hamare aksar Muhaddiseeno ne ise qubul kiya hai.

Toh behtar yahi hoga ki dusri raaye ko ikhtiyar kiya jaye.




Point 7 : Sajde Me Dua Mangna -

Jin waqto me dua ki qubuliyat ka zyada imkaan hota hai wo waqt namaz ke sajde me bhi hai :

Abu hurairah r.a. riwayat karte hai ki Rasoolallah  ne farmaya, "Banda apne Rabb ke sab se ziyadah qareeb us haalat mein hota hai jab woh sajde mein hota hai, lihaaza us mein kasrat se dua karo."

Sahih Muslim, hadith- 482.

Dua behtar hai ki ap arabic me kare lekin agar arabic nahi aati to khud ki zuban me bhi kar sakte hai.




Point 7 (b) : Sajde Me Dua Mangna - Aap  Ki Sajde Ki Dua -

Abu Hurairah r.a. Riwayat Karte Hai Ki RasoolAllah  sajde me ye dua manga karte the, "Ae Allah Mere Saare Gunaah Muaf karde, chote aur bade, pahle aur akhir ke, khule hue aur chupe hue."

Sahih Muslim, Hadith- 483.

This dua in arabic:

 اللَّهُمَّ اغْفِرْ لِي ذَنْبِي كُلَّهُ دِقَّهُ وَجِلَّهُ وَأَوَّلَهُ وَآخِرَهُ وَعَلاَنِيَتَهُ وَسِرَّهُ 




Point 8 : Do sajdo ke bich ki Dua -

Pahle sajde se uthne ke baad aur dusre sajde me jaane se pahle ye duae padhni hai - 

1. Huzaifa r.a. riwayat karte hain, Rasool Allah  dono’n sajdo’n ke darmiyan padha karte the: Rabbigh Firlee Rabbigh Firlee - [Aey Mere Rab Mujhe Maaf Farma, Aey Mere Rab Mujhe Maaf Farma.] 

(Abu Dawood: al Salah 874 – Ibne Majja 897) Imam Haakim V1 P271 aur Imam Zahabi ne Saheeh kaha. 

2. Ibne Abbas r.a. riwayat karte hain ke Rasool Allah  dono’n sajdo’n ke darmiyan (ye) padhte: ‘Allahummagh Firlee war Hamni wa A’afinee wa Ahdini war Zuqhni’ – [Aey Allah! Mujhe Baqsh De, Mujh Par Raham Farma, Mujhe Aafiyat Se Rakh, Mujhe Hidayat De, aur Mujhe Rozi A’ata Kar.] 

(Abu Dawood: al Salah 850 – Tirmizee: al Salah 284) Ise Imam Haakim, Imam Zahabi aur Imam Nawawi ne Saheeh kaha. 

————————————————————————————————————————

Point 9 : Jalsa e Isteraahat - 

Doosra sajda kar chukne ke baad 1 rakat poori ho chuki hai. Ab doosri rakat ke liye ap ko uthana hai lekin uthne se pehle thodi der baithna hai. Ye taak rakat me hoga yaani agar ap 2 rakat namaz padh rahe hai to apko sirf pahli rakat ke sajde ke baad aesa karna hota hai. Agar ap 3 rakat ki namaz padh rahe hai to bhi apko sirf pahli rakat me sajde ke baad aesa karna hoga. Agar ap 4 rakat ki namaz padh rahe hai to apko pahli aur teesre rakat ke sajde ke baad aesa karna hoga. Ye itni der tak baithna hai ki apki saari haddi apni jagah par ajaye.

Iski Dalail ye hai:

Rasool Allah  (Allahu Akbar) kahte hue (doosre sajde) se uth te aur apna baya’n paou’n modhte hue (bichate aur) is par baith-te. Itni der tak ke har haddi apne thikane par aajati, phir (doosri raka’at ke liye) khade hote.

Sunan Abu Dawood: 730 ; Tirmizee: 304 ; Ibn e Majah: Iqaamatis salah 1061.

Rasool Allah  apni namaz ki taaq (pahli aur teesri) rakat ke baad khade hone se qabl seedhe baithte the.

Bukhari: al azan-823.

Rasool Allah  jab doosre sajde se uthte to pahle baith te phir uthte waqt dono’n hath zameen par tek kar uthte.

Bukhari: al azan – 824.




Point 10 : Tashahhud me Ungli uthana aur use move karna -

Is point ke liye maine behtar ye samjha h ki apko ek clip share kardu jisme wazahat se batayi gai hai ki ungli kab uthani hai aur move kab krni hai :- https://www.youtube.com/watch?v=WO3NA5-OAoM

Is topic par maine article b prepare kiya tha par mujhe lagta hai is article se behtar apko upar wali clip me baat samajh ajayegi fir bhi agar dekhna chahe to mai article ka link share kr deta : https://iqrakitab.com/2017/12/tashahud-me-ungli-uthana.html




Point 11 : Aakhri Tashahhud Ke Akhir Me Khud Ki Dua Mange -

Jab ap Aakhri Tashahhud ki saari sunnat duae padh le uske baad agar apke dil me koi personal dua hai to wo bhi maang sakte hai. Behtar h Arabic me maange lekin agr arabic na aati ho to khud ki zuban me mang lein.

Abu Huraira Razi Allah Anho Se Marwi Hai Ke Aap  Ne Farmaya : "Jab Tum Mein Se Koi Tashahhud Ke Liye Baithy To Chaar Cheezon Se Allah Ki Panah Mangay, Azaab e Jahannum Se, Azaab e Qabr Se, Zindagi Aur Maut Ke Fitne Se, Aur Maseeh Dajjal Ke Shar Se. Uskay Baad Apne Liye Jo Chahay Maang Le.

Sunan an-Nasa'i 1310. Sahih [Sheikh Zubair Ali Zai].

Ye karne ke baad dono taraf salaam fer kar namaz muqammal kare.




Point 12 : Namaz ke baad sunnat azkaar

Aam taur par hamare muashre me aksar log is sunnat se mahroom hai aur log to log, ma shaa Allah hmare masjido ke imam bhi is sunnat se mahroom hai. Ho sakta h ki baaz log susti k wajah se ise na krte ho aur ye b ho skta ki baaz logo ko ilm hi na ho is sunnat ki. Toh ap tamam ummatio se guzarish hai ki is murda sunnat ko zinda kare aur apne imamo ko bhi is sunnat ki taleem de.

RasoolAllah  farz namaz ke baad atleast ye 14 azkaar baith kar kiya karte the. Is azkaar me duae bhi hai aur wazaif bhi hai. Mai niche azkaar ka link de deta hu in shaa Allah :

۝  Link of :





 ٠•●●•٠•                                      

Prepared by :- Faisal Khan .

Allah se dua hai ki wo hame RasoolAllah ke tarike se namaz padhne ki taufeek ata kare. aameen.
Read More »