اقرأ باسم ربك الذي خلق

19 Jan 2018

Achha Akhlaq - Deen Ki Ek Nayab Chiz


Ek accha akhlaq wo chiz hai jise hamare Deen ne sabse zyada pasand kiya hai. Is chiz ki bar-bar quran aur sunnat ne yad-dhihani karayi hai. Is chiz ko Allah pak ne hamare Deen ka ek maqsad banaya hai.

۩ Abu Huraira r.a. riwayat karte hai ki RasoolAllah ﷺ ne farmaya, “Mai sirf isliye bheja gaya hu taaki mai acche akhlaq ko kamil (perfect) kardu.”

Al adab al-mufrad, hadith- 273. [Sahih]

۩ Abu Huraira r.a. riwayat karte hai ki Rasoolallah ﷺ  se ye pucha gaya ki wo kaun si chiz hai hai jo sabse zyada logo ko jannat me dakhil karwaegi? To Rasoolallah ﷺ ne farmaya, Allah ka khauf aur achha akhlaq.

Jamia Tirmizi, hadith- 2004. Imam Tirmizi ne ise saheeh gareeb karar diya hai.

۩ Allah pak farmate hai,

"Qad aflaha man tazakka"

"Jis ne apne apko pakeeza kar liya, wohi falaah payega"

Quran, 87:14.

Aur isme khas taur par dilo aur nafs ki pakeezgi ki baat ho rahi hai. Nafrat, jhagda, bughz, fasaad, ilzam-tarashi se pak hona.

۩ Rasool ﷺ achhe akhlaq ke liye dua bhi manga karte the ye kah kar "Aye Allah tune mere bahari-shakl ko khubsurat banaya hai toh mere akhlaq ko bhi achha kar de."

Sahih ibn Hibban (3/239). Ise Shaykh Albani ne Irwa’ al-ghaleel (75) me sahih karaar diya hai.

۩ Quran kahta hai ki RasoolAllah ﷺ hamare liye ek behtareen misaal hai (quran, 33:21). Allah ta'la Rasool ﷺ ko mukhatib hokar farmate hai,

“Aur beshak, Aap akhlaq ke buland darje par fa'iz hai”.

Quran, 68:4.

۩ Masruq riwayat karte hai, ham Abdullah bin Amr r.a. ke sath baithe hue the jo hame hadees suna rahe the. Unhone kaha Allah ke Rasool ﷺ na to fahish the aur na hi mutafahhish, aur wo (RasoolAllah) kaha karte the ki tum maise sabse behtareen wo hai jo akhlaq me sabse achha ho.

Sahih al-bukhari, kitab ul adab, hadith- 6035.

۩ Amr ibn shu'ayb riwayat karte hai ki Rasoolallah ﷺ ne farmaya, “Kya mai tumhe batau ki tum maise mai sabse zyada kisse muhabbat karta hu aur jo qayamat me mere se sabse zyada nazdeek baithega? Log khamosh the isliye huzur ﷺ ne ye baat do ya teen martaba dohraya. Fir logo ne kaha, "Ha RasoolAllah". Toh ap ﷺ ne farmaya, "Tum maise jo akhlaq me sabse behtar ho.”

Al adab al mufrad, hadith- 272. Ise Shaykh Albani ne sahih karar diya hai.

۩ Abdullah bin Masud r.a. riwayat karte hai ki RasoolAllah ﷺ ne farmaya, “Kya mai tumhe aese logo ki khabar na du jo jahannam ki aag par ya jahannam ki aag un par haraam hai?
Jahannam ki aag logo ke kareeb rahne waale, aasani karne wale, aur naram akhlaq waale par haraam hai.”

Jamia Tirmizi, hadith- 2488, chapters on the description of the day of judgement, ar-riqaq, and al-wara' ﴾37﴿. Ise imam tirmizi ne hasan gareeb karar diya hai.

۩ Anas r.a. riwayat karte hai, "Maine das saal tak Rasool ﷺ ki khidmat ki. Unhone mujhe kabhi 'uff' tak nahi kaha aur unhone mujhe kabhi kisi chiz ke bareme nahi toka ki tumne ye kyu nahi kiya, jo kaam maine nahi kiye ya fir us chiz ke bareme ye nahi kaha ki tumne ye kyu kiya, jo kaam maine kiye the.

Al adab al mufrad, hadith- 277. Ise Shaykh Albani ne sahih karar diya hai.

۩ Abu Huraira r.a. riwayat karte hai ki Rasoolallah ﷺ ne farmaya, ek shaks jise acche akhlaq ke liye jana jata hai uska wahi martaba hai jaise koi shaks raat ko namaz me khada rahta ho.

Al adab al mufrad, hadith- 284. Ise Shaykh Albani ne sahih karar diya hai.

Ye hai hamare deen me akhlaq ki ahmiya jo hamari aksar ummat bhula chuki hai.

Hamare sahaba aur salaf ka akhlaq bhi buland martabe par tha. Imam Bukhari ne toh 'al adab al mufrad' naam ki ek puri hadith ki kitab hi likh di jisme unhone sirf akhlaq ke upar hadeeso ko jama kiya hai.

Ek baat aur gaur kare ki akhlaq ka matlab sirf 'ji, janab' se baat karna nahi hota hai balki har amal me aklaq ka hona zaruri hai. Aur Imam Bukhari ki us kitab me har mahol aur amal me kaisa akhlaq hona chaiye is par raushni dali gai hai hadeeso ke zarye.

Islah ke dauran achhe akhlaq ko banaye rakhna ye boht zaruri hai. Ap kisi se bugz rakhte hai, ap kisi ke upar ilzam-tarashi karte hai, ap ikhtilaf ki surat me gandi zuban istemal karte hai, ye sab bure akhlaq hai. Agar apke andar ye sab maujud hai to apko khud ko tassubaat se paak karna hoga. Ye sab tassubaat aur taqabbur ki alamat hai. 

Insan ke akhlaq aur kirdar ka asal imtehan hi ye hai ki wo is ikhtilaf ko kaise bardash karta hai aur apne se alag raaye (opinion) rakhne walo ke liye wo kaisa rawayya ikhtiyar karta hai! Badkismati se hamare muashre mein logo ko ikhtilaf bardasht karne ki taaleem nahi di jaati! Jis mahol, jis firke, jis mazhab, jin riwayato me ham pale-bade hote hum uske khilaf ek lafz sunna bhi bardasht nahi karte! Hum sirf apne mazhab, apne firke, apni riwayat ko hi durust samjhte hai! Ye baat ek achhe akhlaq ke khilaf hai. Yahi wo rawayya hai jiski quran aur sunnat jagah jagah mukhalifat karta hai!

Aur akhir me mai ye kahna chahta hu ki hamara ye farz hai ki ham nabi ﷺ ke akhlaq ko apnaye. Agar hamne apni akhlaqi pakeezgi ki islah nahi ki to hamne islam ke sabse bade maqsad me naqamyabi hasil ki aur iska ehsaas hame qayamat me hoga.

۩ Abu ad-Dardh riwayat karte hai ki Rasoolallah ﷺ ne farmaya, “Qayamat ke din momin ke liye sabse bhari chiz jo (aamaal ke) tarazu me tauli jaegi wo uska akhlaq hoga.”

Jamia Tirmizi, chapters on righteousness and maintaining good relations with relatives, hadith- 2002. Shaykh Zubair ali zai ne sahih karar diya hai.

۩ Abu Huraira r.a. riwayat karte hai ki Rasool ﷺ ne farmaya, 'Tumhe maalum hai gareeb kaun hai?' Sahaba r.a. ne arz kia, ham to gareeb us ko samjhte hai jis ke paas rupya-paisa aur saaz o saamaan na ho.

Rasool ﷺ ne farmaya, “Meri ummat me gareeb wo shaksh hoga jo qayamat ke din namaz, roza aur zakat ke sath aayga magar us ne kisi ko gali di hogi, kisi par jhuta-ilzam lagaya hoga, kisi ka maaal hadap kiya hoga, kisi ka khoon bahaya hoga, kisi ko maara hoga, chunache us ne jin jin logon ki haq talfi ki ho gi unhe us ki nekiya de di jayengi. Aur agar uski nekiya kam pad jaye toh fir in logo ke gunaah la kar us par laad diya jayega . Aur use dozakh me fenk diya jayega.”

Sahih Muslim, Book of virtue, enjoining good manners, and joining of the ties of kinship ﴾45﴿, hadith- 6579.

•٠•●●•٠•

Allah se dua hai ki wo hamare akhlaq ko behtar kare. aameen.

Recommended Articles: