اقرأ باسم ربك الذي خلق

4 Jan 2018

Allah Hafiz Kahne Ke Ahkaam


Allah hafiz ya Khuda hafiz ka matlab hota hai ki Allah apki hifazat kare. Aksar Muslim Ummah ke kuch log shak me aa jate hai ki kya ye kahna chaiye ya nahi. Is me aksar do raae payi jati hai. Ek raae ke log kahte hai ki ye kahna biddat hai kyuki RasoolAllah se ye kahna sabit nahi hai. Dusri raae ke log kahte hai ki ye kahne ki ijazat hai.

Jaha tak sahih raae ye hai ki jab tak ap ise Salam ke sath nahi badalte hai to ye kahne me koi harj nahi hai. Iska matlab ki Salam ka jo mukaam hai us muqam ke sath ched-khani na kiya jaye aur na hi uske sath is alfaaz ko badal diya jaye aur assalaam alaykum ke jagah Allah/Khuda Hafiz kahne lag jaya jaye. Islam me jab do shaks milte hai ya bicharte hai to assalaam alaykum kahne ka ahkaam diya hai shariyat ne. Aur aam taur par ALlah/Khuda hafiz bicharte waqt istemal kiya jata hai. Toh Sahih ahkaam yahi hoga ki Ham Assalaam kahe aur uske baad ya usse pahle Allah hafiz/Khuda hafiz ya dusri koi dua jaise Fee-amaanillah kah sakte hai.

Sheikh Uthaymeen r.a. to ye bhi kahte hai ki Good morning ya Good Afternoon kahne ki bhi ijazat hai jab tak ye salaam ke badal(alternate) na istemal kiya jaye.

Ref: Majmoo’ Fataawa al-Shaykh Muhammad ibn ‘Uthaymeen (may Allaah have mercy on him), 3/70.

source: https://islamqa.info/en/34684

Aur ek aham baat ki bicharte waqt dua dena shariah se sabit hai so ham koi nayi chiz deen me nahi ijaad kar rahe hai. Aur Allah hafiz bhi ek dua hi hai aur dua dena bicharte waqt shariah se sabit hai.

Abu Huraira r.a. riwayat karte hai ki ek shaks ne kaha Ae Allah ke Rasool mai safar karne ka iradah karta hu isliye mujhe kuch nasihat farmaye. RasoolAllah ﷺ ne farmaya, "Allah ka Takwa ikhtiyar karna aur har buland mukaam par Takbeer kahna". Aur jab wo shaks mudd gaya(turned away) fir RasoolAllah ne farmaya Ae Allah is shaks ke liye faasla kam kar de aur is ke safar ko aasaan farma,(Allahummatwi Lahul-Bu’da Wa Hawwin Alaihis-Safar) .

 Jami` at-Tirmidhi, hadith- 3445, Hasan darja.
source- http://sunnah.com/tirmidhi/48/76.

•٠•●●•٠•