اقرأ باسم ربك الذي خلق

5 Jan 2018

Andhadhund Pairwi Ka Anjaam



Allah aur Us ke Mahboob ﷺ  ke gustakho se bezari rakhne walo k liye!

Imaan ki asal buniyaad kya hai ?

Alhamdulillah!

Hum Musalman hai aur humare Imaan ki asal buniyaad "ALLAH aur RASOOL ki sachhi muhabbat" hi hai. Yahi wajah hai ke koi Musalman jaan bujh kar, kabhi in do Hastiyo ke mutalliq gustakhana nazariyaat rakhne ka soch bhi nahi sakta kyu ke ye cheez duniya o aakhirat me uski barbadi ka sabab ban sakti hai. Allah pak farmate hai

....ان الذين يوذون الله ورسوله لعنهم اللهم فى الدنيا و الاخرة و اعد لهم عزابا مهينا ه

Beshak jo log Allah aur us ke Rasool saws ko takleef dete hai un par duniya aur Aakhirat me Allah ki phatkaar hai aur us ne Un ke liye zaleel o khwaar kardene wala Azaab tayyar rakha hai...

(Sureh Al Ahzaab: 57)

Yahud o Nasarah ki "Gumrahi" ki badi wajah:

Allah ne Yahud O Nasarah ki gumrahi ki sab se badi wajah ka zikr yun farmaya hai:

.....اتخذ احبارهم و رهبانهم اربابا من دون الله

Un (Yahud O Nasara) logon ne Allah ko chhodh kar apne Durwesh aur Ulemao ko apna Rabb bana liya hai..

(Sureh Al Tauba: 31)

Yaani Wahi ko chhodh kar apne Buzurgo ki baat maante hai.

Yahudiyo aur Isaaiyo ke is Gumraahkun tarz e amal ke bar'aks Allah ne apne Rasool ke zariye WAHI ki taraf rahnumai farmai hai:

.....ائتونىبكتب من قبل هذا او اثرةمن علم ان كنتم صدقين ه

(Kafir Aap  se behes kare to Aap farmade) LAAO MERE PAAS (apni koi) KITAB, IS (Quran) SE PaHLE YA FIR ILM KE (naql shuda)ASAAR, AGAR TUM SACHE HO.

Ummat e Muhmmadiya par Shaitaan ka Hamla kuch aese:

Humara haqeeqi Shaitaan hume Yahud O Nasaraa ki tarah apne Ulma aur Durwesh logo ki (Andha dhund pairavi) karwate hue gustaakh banakar humesha humesha ke liye nakaam karwana chahta hai. Isliye humare Imaam e Aazam, Imam e Qainaat, Sayyad ul Awwaleen o Aakhareen, Imaam ul Ambiya o Mursaleen, Shafeeq ul Aalameen, Rahmatul Aalameen Muhammad ur Rasool Allah ne Allah ki taraf se di gayi Ghaibi khabar ke zariye hume pahle hi is khatre se Aagaah farmaya chunanche:

Hazrat Abu Saeed Khudri r.a. se riwayat karte hai ke,

Rasoolallah Ne Farmaya Tum Zaroor Apne Se Pehle Logon Ke Qadam Ba Qadam Pairwi Karoge Hatta Ke Agar Woh Goh (chipkali Ke Mushaba Rengne Wala Aik Janwar) Ke Suraakh Mein Gusein Honge Toh Tum Bhi Is Me Dakhil Hoge. Arz Kiya Gaya: Ya Rasoolallah! Kya Inse Yahood O Nasara Murad Hain?
Rasoolallah Ne Irshad Farmaya: (agar Ye Nahi)to Aur Kon?

Narrated by al-Bukhaari, 1397; Muslim, 4822.

Is Tahreer ka waahid maqsad "ISLAAH" hai..

Aaj baaz bhaiyyo ko Allah ki WAHI(Quran O Suunah) se Haq baat batai jaati hai to wo apne Firqe ke Ulma aur Durwesho ki Andha dhund pairavi karte hue bilkul Yahud O Nasarah ki tarah us Dawat ko Radd kar dete hain. Lehaza yahan Majburan unhi mashoor Ulma o Durwesho ki likhi hui kitabo se chand ek gustakhana nazariyaat ki nishandahi aur phir WAHI se Sahi Islami aqaaid bhi bayan kiye jaarahe hain taake Log apne Firqon ke Ulma aur Durwesho ki pairavi karne ki bajaye kisi shakhs ki, wohi baat maane jo WAHI ke mutabiq ho kyu ke humari Duniya O Aakhirat me kamyaabi isi par munhassir hai..WAHI ko chhodh kar, sirf halaqat hi halaqat hai...Mulaheza farmaye:

 ۩1. Ulma ka Nazariya:

Rashid Ahmed Gangohi Deobandi, apni kitab me likhte hai..
"Chota hu, kuch nahi hu, tera hi Zall(saya) hai, tera hi wajood hai, main kya hu, kuch nhi hu, aur jo main hu wo Tu hai aur main aur Tu (ka farq karna) Shirk dar Shirk hai."
(Deobandi Maulana Zakariya Saharanpuri,Fazail e Sadaqaat, pg no. 558, kutubkhana Faizi-Lahore)

WAHI KA FAISLA:
.....ليس كمثله شئ و هو السميع البصير

Harghiz nahi KOI bhi shai uski misl aur wo sab kuch sunne wala dekhne wala hai..

(Surah Al Shòra:11)

۩2. Ulma ka Nazariya:

Jab Majmaa hua Kuffar ka, ke Islam ka Qilaa Qama karde ye Ghazwah e Aehzaab ka Waqia hai. Rabb ne madad farmana chahi apne Habeeb ﷺ ki, shumali Hawa ko hukm hua aur Kafiro ko Neest o Nabood karde, Hawa ne kaha: "Bibiyaa, Raat ko bahar nahi nikalti. "To Allah ne us hawa ko Baanjh kardiya. Isi waja se Shumali hawa se paani nahi barasta. Phir Saba se farmaya to us ne arz kiya: "Hum ne suna hum ne Itaat ki" aur wo gayi aur Kuffar ko barbad karna Shuru kardiya.
(Barelvi Maulana Ahmed Raza Khan, Malfuzaat, pg no. 337, book corner-Jhelam).

WAHI KA FAISLA:
....انما امره اذا اراد شيئا ان يقول له كن فيكون

Wo (Allah) jab bhi kisi cheez ka irada karta hai to use farmadeta hai ke.."HO JA"..to wo "Hojaati hai".....

(Sureh Yaseen: 82).

۩3. Ulma ka nazariya:

"Zun noon, Hazrat Yunus a.s. Ka laqab hai kyu ke Aap a.s. Kuch roz machli ke pet me rahe. Ulma farmate hai ke Us Machli ka pet Allah ke Arsh se Afzal hai ke Ek Paighambar ka kuch din tajalligaah raha. Jab Machli ka pet Arsh e Aazam se Afzal hogaya to Hazrat Aamena Khatoon ka wo Shikam jis me Sayyad ul Ambiya 9 maah tak jalwa afroz rahe to wo Arsh e Aazam se kahin zyada Afzal hai."

(Barelvi Mufti Ahmed yaar Naeemi, Sharah Mishkaat,vol 3,pg no.357,Qadri publishers-Lahore)

WAHI KA FAISLA:

ان ربكم الله الذى خلق السموت و الارض فى ستةايام ثم استوى على العرش......

Beshakk tumhara Rabb Allah hai jis ne 6 din me Zameen aur Aasmaano ko banaya aur Arsh e Aazam par jalwa afroz hua (Jaisa k uski shaan hai).

(Surah Al Aaraaf:54)

۩4. Ulma ka Nazariya:

"Wo hissa e zameen (qabr e athar) jo Nabi ke Aaza e Mubarka ko mas kiye hue hai, al ul itlaaq afzal hai yahan tak ke kaba aur Arsh o kursi se bhi afzal hai."

(Deobandi Aalim Khalil Ahmed saharanpuri, Al-hind ala alhind, pg no. 28..Zakariya Saharanpuri,Fazail e Hajj, pg no. 138- maktaba ul ilm Lahore, Kutub khana Faizi Lahore)

WAHI KA FAISLA

.....ما قدروا اللّٰه حق قدر ان اللّٰه لقوى عزيز

Unho ne ALLAH ki qadar na jaani jaisa janni chahiye thi..beshakk ALLAH quwwat wala Ghalib hai..(Sureh Al Hajj: 74)

Hadith:

Hazrat Umar ibn Khattab ra. Riwayat karte hai, Rasool ne irshad farmaya, "Meri shaan ko us tarah mat badhao jis tarah Nasarah ne Isa ibn Maryam a.s. Ki Tareef me (unko Unke muqam se) badhadiya. Main to Allah ka Banda hu, pas tum mujhe ALLAH ka BANDA aur RASOOL hi kahna."

Sahih Bukhari, "Kitab ul Ambiya":3445.

Hazrat Jundab r.a. Se Riwayat hai ke Rasool ﷺ ne apni wafat se 5 din qabl irshad farmaya, "Tum se pahle logon ne apne Ambiya a.s. Aur Nek logon ki Qabro ko Sajda gaah banaliya tha. Khabardaar! Tum log Qabro ko sajda gaah na banana beshakk main tumhe is harkat se mana karta hu."

Sahih Muslim, 1188.

 ۩5. Ulma ka Nazariya

"Ek din Ghaus e Aazam(sab se bada mushkil kushaa) Shaikh Abdul Qadir Jilani 7 Auliya ke hamrah baithe hue the, naagaah, Baseerat se mulaheza farmaya ke ek jahaz gharq hone ke qareeb hai, Aap ne Himmat o Tawajja e Batini se us ko Gharq hone se bachaliya."

(Deobandi Aalim Ashraf Ali Thanvi, Imdaad ul mushtaq,pg no. 45, Islami kutub khana)

WAHI KA FAISLA

....امن يجيب المضطر اذا دعاه و يكشف السوء و يجعلكم خلفاء الارض ء اله مع اللّٰه قليلا ما تذكرون

Bekas ki pukar ko, jab ke wo pukare, kaun qubool karke Sakhti ko door karta hai? Aur tumhe zameen ka Khaleefa banata hai, kya Allah ke siwa aur bhi koi Mabood hai? Tum log bht hi kum ghaur o fikr karte ho!


(Sureh Al Namal:62)

 ۩6. Ulma ka Nazariya

"Arz: Ghaus(mushkil kusha:Wilayat ka ek darja) har zamane me hota hai? Irshad: Baghair Ghaus ke Zameen O Asmman qayem nahi rah sakte!"
(Berelvi Aalim Ahmed Raza khan,Malfuzat vol:1,pg no.166, Book corner Jehlam)

WAHI KA FAISLA

....ان اللّٰه يمسك السموت والأرض ان تزولا و لئن زالتا ان امسكهما من بعدهانه كان حليما غفورا

Beshak ALLAH hi ne Asmano aur Zameen ko Thaam Rakha hai k wo tal na jaye. Aur agar wo Tal jaye to phir ALLAH k siwa koi ek bhi aisa nhi jo un ko Thaam sake. Beshakk wo bardasht karne wala maaf karne wala hai..

(Sureh Al Fatir:41)

۩7. Ulma ka Nazariya

"Ek martaba Junaid Baghdadi Darya e Dajlah par tashreef laye aur "YA ALLAH" kahte hue us par zameen ke misl chalne lage, ek Shakhs ne Arz kiya ke mai kis tarah aau?

Farmaya: "Ya Junaid-Ya Junaid" kahta chala aa, Us ne ye hi kiya aur Zameen ke misl paani par chalne laga. Jab beech darya me pohcha to Shaitan Laeen ne dil me waswasaa daala ke Hazrat khud to YA ALLAH kahe aur mujh se Ya Junaid, kahlwate hai. Us ne YA ALLAH kaha, aur sath hi ghotaa khaya. Pukara, Hazrat mai chalaa. Farmaya: Wahi kaho, "Ya Junaid" us ne kaha aur dariya par zameen ke misl chalne laga, Farmaya: Arey Nadaan! Abhi tu Junaid tak nahi pohcha ALLAH tak rasaai ki hawas hai?"

(Barelvi Aalim Ahmed Raza khan, Malfuzat vol 1,pg no. 97, book corner-Jehlam)

WAHI KA FAISLA

HADITH: Hazrat Abdullah bin Abbas bayan karte hai ke mai Rasool ke piche sawari par baitha hua tha to Aap ﷺ Ne irshad farmaya, "Aye Bete! Tu ALLAH ke aehkaam ki hifazat farmayega ALLAH ke huqooq ka khayal rakhega,to use Apne samne payega. Jab tu Sawal kare to sirf ALLAH se karna aur jab tu Madad Talab kare to sirf ALLAH hi se talab karna aur jaan le ke agar puri Ummat bhi jama hokar tujhe koi Fayeda pohchana chahe to nahi pohcha sakegi magar jo ALLAH chahe. Aur agar puri Ummat jamaa hokar bhi tujhe koi Nuqsan pohchana chahe to nahi pohcha sakegi magar jo ALLAH chahe. (taqdeer likhne k baad) Qalam utha liye gaye aur Saheefe khushk hogaye."

(Jamia Tirmidhi: 2516, hasan sahih )

 ۩8. Ulma ka Faisla

Surah Al Kahf, ayat-110: Aye Mehboob farmado ke Main tum jaisa Bashar hu.
Is Aayat me kuffar se khitaab hai. Kyunke har cheez apni ghair jins se nafrat karti hai, lehaza farmaya gaya ke Aye Kuffar tum mujh se ghabrao nahi, Main tumhari Jins se hu, yaani Bashar hu (jaisa ke) Shikari, Janwaro ki awaz nikal kar shikar karta hai. Is se kuffar ko apni taraf Maail karna maqsad hai."

(Barelvi Aalim Ahmed Naeemi, Jaa ul Haq, pg no. 145, qadri publishers-Lahore)

WAHI KA FAISLA:
....انظر كيف ضربوا لك الامثال فضلوا فلا يستطيعون سبيلا

Aye Mehboob! Zara dekho to ye (ghustaakh) log Aap ke mutalliq kaisi kaisi misaale bayan karte hai, so wo Gumrah hogaye phir wo rasta e hidayat nhi paa sakte..

(Sureh Bani Israeel:48, Sureh Al Furqan: 9).

 ۩9. Ulma ka Nazariya

"Agar Baaz uloom e ghaibiya muraad hain to us me Huzoor Akram ki kya takhsees hai, aisa Ilm e ghaib Zaid o Umar balke bacha o majnoon balke Jamee haiwanaat o bahaaim ke liye bhi hasil hai."
(Deobandi Aalim Ashraf Ali Thanvi, Hifzul Imaan,pg no. 13...Deobandi Aalim Khalil Ahmed Saharanpuri, Alhind,pg no. 51)

WAHI KA FAISLA
....علم الغيب فلا يظهر على غيبه احد
....الا من ارتضى من رسول فانه يسلك من بين يديه و من خلفه رصدا

Wo (ALLAH hi) ghaib ka janne wala hai, pas wo apne ghaib par kisi ko muttala nahi karta, siwae apne Rasool ke jise wo chahe, lekin us ke aage piche bhi pahredaar muqarrar kardeta hai..

(Sureh Al Hajj:26-27)

۩10. Ulma ka Nazariya

"(Namaz ke Dauran) Zina ke waswase se apni Biwi ki Muzammiyat ka Khayaal Behtar hai. Aur Shaikh ya usi Jaise aur Buzurgo ki tarah, khwah Janab Risalat maàb  Hi ho, apni himmat ko lagadena apne Baiil Aur Gadhe ki Surat me doob jaane se Bura hai."
(Deobandi Aalim Abdulhai, Sirat e mustaqeem, pg no. 169,Islami Academy-Lahore)

WAHI KA FAISLA.

HADITH:

Abdullah bin Masood r.a. se riwayat hai,Rasool ﷺ ne irshad farmaya: Namaz ki Tashahud me ye kaha karo, التحيات لله ....اسلام عليك ايها النبى و رحمة اللّٰه......... عباد الله الصالحين  (meri Qauli,badani aur Maali ibaadat ALLAH ke liye khaas hai, Salam ho Nabi ﷺ Par aur ALLAH ki rahmat aur barkate, salamati ho Hum par aur Allah ke nek bando par bhi) pas, jab wo aisa kahega to Asmaan o Zameen me Maujood har Nek bande ko (aur khususan Nabi ko) ye Salam pohoch jayega."
Sahih Bukhari, kitab ul Azaan,831. Sahih Muslim, kitab us salath: 897.

 ۩11. Ulma ka Nazariya

"Aur Yaqeen jaan lena chahiye ke har Makhloq bada ho Ya Chota wo ALLAH ki shaan ke aage chamar(cobler) se bhi zaleel hai (aage chal kar khud hi bada ho ya chota, ki taareef bhi bayan kardi, chunancha likhte hai): Ambiya O Auliya ko jo ALLAH ne sab logon se bada banaya hai so un me yahi badai hai ke Allah ki raah batate hain."
(Deobandi Aalim Shah Ismail Dehlvi Shaheed, taqwiyatul imaan,pg no. 25,32-meer muhammad kutub khana,Karachi)

WAHI KA FAISLA

....و لله العزة و لرسوله و للمومنين و لكن المنا فقين لا يعلمون

Aur Izzat to sirf ALLAH ke liye, uske Rasool ke liye aur Iman walo k liye hai, magar Munafiqo ko is ka Ilm nhi hai..

(Sureh Al Munafiqoon: 8)

 ۩12. Ulma ka Nazariya

"Hazrat Dawood a.s. ki nazar jab wahan padi jahan nahi padhna chahiye thi, yaani Aur ki biwi par to Aap a.s. Ko Haq e Taala ki taraf se Tambeeh ka samna karna pada. Humare Paigambar Ki ek isi tarah ki nigah Zaid r.a. ki biwi par padi to Hazrat Zaid r.a. Par unki biwi Haram hogayi (unhi se baad me Nabi ﷺ Ne Nikah farmaya yaani Ummul momineen Zainab ra.) Isliye k Dawood as. Ki nazar Halat e Hosh me thi aur humare Paighambar ki nazar Haalat e Shukr(yaani Madhoshi) me thi."
(Deobandi Aalim Abdulrauf Faruqi, kashaf ul Mahjub,baab 14,pg no. 291...Barelvi tarjuma:Fazluddin Gauhar,pg no. 267..islami kutub khana, Lahore)

WAHI KA FAISLA
....والنجم اذا هوى..ما ضل صاحبكم وما عوى..وما ينطق عن الهوى..ان هو الا وحى يوحى

Qasam hai Sitare ki jab wo utrey.. Tumhare Sathi (Muhammad ﷺ) Na to kabhi Behke hain aur na kabhi tedhi Raah par chale hai aur na hi wo apni khwahish e Nafs se koi baat kahte hai (balke) wo to WAHI hai (jo Allah ki taraf se) unhe ki jaati hai.

(Sureh Al Najm :1-4)

HADITH

Abu Saeed Khudri r.a. se riwayat hai ke "Rasool Parda nasheen kunwari ladkiyo se bhi zyada Sharm o Haya rakhte the, jab koi aisi cheez dekhte jo Aap ﷺ ko nagawar hoti to hum, Aap  ke chehra e mubarak se pehchan lete the."
Sahih Bukhari:6102, Sahih Muslim: 6032.

 ۩13. Ulma ka Nazariya

"Khwaja Qitbuddin Bakhtiyar Kaaki (jo khalifa the Moinuddin Chishti ke) ek dafaa unke paas ek shakhs aaya aur Arz kiya k main Mureed hone aaya hu. Khwaja sahab ne farmaya, jo kuch hum kahenge karega, agar ye shart manzur ho to Mureed karunga. Us ne kaha, jo kuch Aap kahenge karunga. Khwaja Bakhtiyar Kaaki ne farmaya, tu kalma is tarah padhta hai,..

....لا اله الا اللّٰه محمد الرسول اللّٰه ..

To ab ek baar is tarah padh


"La ilaha illallah chishti rasool Allah"

Chunke Rasikh ul Aqeeda tha, us ne fauran padh liya. Khwaja sahab ne us se bait li aur bht kuch khalat o nemat ata farmaya aur kaha, main ne tera Imtehan liya tha ke tujh ko mujh se kis qadar aqeedat hai warna mera magsud ye na tha ke tujh se is tarah kalma padhwau."


(Barelvi o Deobandi buzurg: Khwaja Fariduddin shakarganj, hasht bahisht, pg no.19)

WAHI KA FAISLA

HADEETH

Abdullah ibn Umar r.a. riwayat karte hai, Rasool ne irshad farmaya: "Islam ki buniyaad 5 cheezo par rakhi gayi hai, Tawheed(La ilaha illallah Muhammadur Rasool Allah), Namaz, Roza, Zakat, Hajj.

(Sahih Bukhari:8, Sahih Muslim:113)

 ۩14. Ulma ka Nazariya

Ek Shakhs ne khwab me dekha jis me us ne kalma padha: "la ilaha illallah ashraf ali rasool Allah" phir baad me bedaar hokar bhi be- ikhtiyaari me kahne laga Allahumma salli alaa sayedina wa nabiyina wa maulana ashraf ali phir apna waqea likh kar apne peer Ashraf Ali Thanvi ko bheja to unhone jawab diya:"us waqea me tasalli thi k jis ki taraf tum rujoo karte ho(yaani Ashraf Ali) wo baáuna taala muttabae sunnat hai."
(Deobandi Aalim Ashraf Ali Thanvi, AlImdaad,adad 8,maah Safar1336,vol. 3,pg no. 35).

WAHI KA FAISLA

....ان اللّٰه و ملئكته يصلون على النبى يا ايها الذين امنوا صلوا عليه وسلموا تسليما

Beshak Allah aur uske Farishte Nabi Par durood bhejte hai, (to) Aye Imaan walo tum bhi un par Durood aur khub Salam bhejo..

(Sureh Al Aehzab:56)

۩15. Ulma ka Nazariya

"(Qabr me) Aap ﷺ ki hayat duniya ki si hi hai aur ye hayat makhsus hai Aan Hazrat ﷺ Aur Shohda ke saath, barzakhi nahi hai, jo hasil hai tamam musalmano ko, saabit hua k Aap  ki hayat Duniyavi hai."

(Deobandi Aalim Khalil Ahmed Saharanpuri, Alhind ala Alhind, pg no. 30)

WAHI KA FAISLA

....ولا تقولوا لمن يقتل فى سبيل اللّٰه اموات بل احياء ولا تشعرون

Aur mat kaho murda unko,jo log Shaheed kardiye gaye Allah ki raah me, balke wo to zinda hain lekin unki zindagi ka tum ko Shauoor nhi.

(Sureh Al Baqarah:154)

 ۩16. Ulma ka Nazariya

"Ambiya Karam a.s. ki hayat (qabro me) haqeeqi Duniyawi hai balke Sayyedi Muhammad bin Abdul  baqi Zarqani (mere Aaqa) farmate hai k Ambiya a.s. Ki Quboor e muttahera me, Azwaaj e muttaherat pesh ki jaati hain aur wo un ke saath Shab'baashi farmate hain."

(Barelvi Aalim Ahmed Raza Khan,Malfuzat:3,pg no.249)

WAHI KA FAISLA

....و ان تطيع اكثر من فى الارض يضلوك عن سبيل الله ان يتبيعون الا ظن و ان هم الا يخرصون

Aur zameen me aksar aise log hai, agar unka kaha mane to wo aap ko Allah ki raah se bhatkade, Wo sirf GUMAAN par chalte hai aur bilkul QAYAASI bbate karte hai..

(Sureh Al Anaam:116)

 ۩17. Ulma ka Nazariya

"Ab raha Mashaikh ki Ruhaniyat se istefada aur un ke seeno aur Qabro se baatini fayuz hasil karna so beshak ye sahih hai, magar us Tareeq se jo us k Aehel aur Khawaas ko maloom hai, na us tarz se jo Awaam me Raaij hai.."

(Deobandii Aalim Khaleel Ahmed Saharanpuri,Alhind alalhind,pg no.40)

WAHI KA FAISLA

HADEETH:

Anas bin Malik ra. Riwayat karte hai, "Umar bin Khattab r.a. Ke daur e khilafat me, log Qahet se ka shikar hue to Umar ra. Ne (Rasool ki Qabr e athar se faiz lene ki bajaye) ABBAS BIN ABDUL MUTTALIB r.a. (Aap ﷺ ke chacha) se Dua karwaye aur Arz kiye, Aye Allah beshak, pahle hum Apne NABI se dua karwaya karte the aur unki Dua se tu Hum par barish barsadeta tha Ab (Aap ﷺ ki wafaat ke baad) hum teri bargaah me apne NABI ke Chacha ko laye hai pas tu unki Dua se hum par Bariah nazil farma.
Raawi kehte hai., "pas yu hum pe barish barasti."

Sahih al Bukhari: 1010.

 ۩18. Ulma ka Nazariya

"Agar bilgharz, baad Zamana e Nabawi bhi, koi Nabi paida ho to phir bhi Khatmiyat e Muhammadi ﷺ me kuch farq nahi aayega."

(Deobandi Aalim Qasim Nanotvi,Tahzeer un naas,pg no.34)

NOTE: Isi Ibarat ko Ghulam Ahmed Qadiyani ne apni Jhuti Nabuwat ki daleel me pesh kiya tha.

WAHI KA FAISLA

....ماكان محمد ابا احد من رجالكم و لكن رسول اللّٰه و خاتم النبين و كان اللّٰه بكل شىء عليما

Muhammad(saws)tum mardo me se kisi k Baap nhi balke wo to ALLAH k Rasool aur Khatim ul Ambiya hai aur har cheez Allah k Ilm me hai.

(Sureh Al Ahzaab:40)

HADITH:

Hazrat Sobaan r.a. riwayat karte hai, Rasool ne Irshad farmaya, "Meri Ummat me 30 jhute paida honge, un me se Har ek yahi Dawaa karega ke wo ALLAH ka Nabi hai jab ke Main, Khatim ul Ambiya hu mere baad koi NABI nahi."

(Sunan Abu Dawood, kitab ul Fitan, 4252. Sanad:Bil ijmaa e Muhaddiseen;SAHIH)

 ۩19. Ulma ka Nazariya

"Rasool ﷺ ke 650 saal baad Shaikh Abu Yazeed Qurtabi aise Naujawan se mile, jise logo ke mutaliq KASHF hojata tha ke kaun Jannat me hai Kaun Jahannum me. Qurtabi ne uski Maa ko 70,000 baar Kalma baksha aur us k KASHF ke sahih hone ka fauran tajurba bhi karliya."

(Deobandi Aalim Zakariya,Fazail e Aamaal, pg no.484,kutub khana Faizi- Lahore)

WAHI KA FAISLA

.... وما كان اللّٰه ليطيعكم على االغيب و لكن اللّٰه يجتبى من رسله من يشاء

Aur ALLAH (ki ye shaan) nahi ke tum logon ko Ghaib par Aagaah karde, balke ALLAH apne Rasoolo me se jisi chahta hai chun leta hai..
(Sureh Aal e Imran:170)

AAKHRI WASIYAT!

Abdullah bin Abbas ra. Se riwayat hai, "Rasool ﷺ ne Apni Wafaat se 3 maah pahle Hajjatul widaa ke mauqe par Wasiyat karte hue Irshad farmaya,"Beshak! Main tum logo me 2 aisi Azeem chize chhodhe jaaraha hu ke agar unhe mazbuti se pakad loge to kabhi Gumraah na hoge:1. ALLAH KI KITAB; 2.USKE RASOOL KI SUNNAT(Hadeeth)

(Al Muwatta lil Malik, Kitabul qadar:1625, Al mustadrak ul Hakim,kitab ul Ilm:318)

ALLAH Ne Apni Wahi ki Hifazat ki Zimmedaari li hai..Ulma aur Durwesho ki Taleemat ki nahi.

(Surah Al Hijr:9)

Duniya me kisi bhi AALIM ya kisi bhi Shakhs ki Baat Sahih ya Ghalat ho sakti hai lekin ALLAH AUR RASOOL ﷺ ki baat nahi!

Aur Jo log Faisla na kare, uske mutabiq, jo ALLAH ne nazil kiya, pas yahi log Kaafir hai.
(Surah Al Maidah:44)

Aye Imaan walo! Aksar Ulma aur Durwesh, logo ka Maal Na-haq khajaate hai aur Allah ki Raah se rok dete hai.

(Sureh Al Tauba:34)

Aur jo kuch Rasool tumhe de, le lo aur jis se rok de ruk jao.

(Sureh Al Hashar:7)

Kah dijiye!(Aye Rasool) agar tum ALLAH se muhabbat karte ho to meri tabedaari karo khud Allah tum se muhabbat karega aur tumhare Gunah maaf karega aur ALLAH taàla bada bakshne wala maherban hai.

(Sureh Aal e Imran:31)

Khabardaar! ALLAH k liye Deen ko khalis karlo aur jin logo ko tum ne Allah k siwa Dost bana rakhe hai, ke ye Allah ke nazdeek humari Risaai karenge ye log jis baare me Ikhtelaaf karrahe hai us ka Faisla ALLAH karega. Jhute aur Nashukre logo ko Allah raah nhi dikhata

(Sureh Al Zumar:3)

Aur Beshakk hum ne is QURAN ko samajhne ke liye Aasaan kardiya hai, pas kya koi Nasihat hasil karne wala hai?

(Sureh Al Qamar:17).

•٠•●●•٠•