اقرأ باسم ربك الذي خلق

9 Jan 2018

Deen Aasaan Hai


۩ Allah pak Quran me farmate hai,

۩ وَجَاهِدُوا فِي اللَّهِ حَقَّ جِهَادِهِ ۚ هُوَ اجْتَبَاكُمْ وَمَا جَعَلَ عَلَيْكُمْ فِي الدِّينِ مِنْ حَرَجٍ ۚ مِّلَّةَ أَبِيكُمْ إِبْرَاهِيمَ ۚ هُوَ سَمَّاكُمُ الْمُسْلِمِينَ مِن قَبْلُ وَفِي هَـٰذَا لِيَكُونَ الرَّسُولُ شَهِيدًا عَلَيْكُمْ وَتَكُونُوا شُهَدَاءَ عَلَى النَّاسِ ۚ فَأَقِيمُوا الصَّلَاةَ وَآتُوا الزَّكَاةَ وَاعْتَصِمُوا بِاللَّهِ هُوَ مَوْلَاكُمْ ۖ فَنِعْمَ الْمَوْلَىٰ وَنِعْمَ النَّصِيرُ-

Aur Mehnat Karo Allah Ke Raste Me Jaise Ki Mehnat Karni Chahiye. Usne Tumhe Chuna Hai Aur Tumhare Deen Me Usne Sakhti Nahi Rakhi Hai. Ye Tumhare Baap Ibrahim Ka Mazhab Hai.. Allah Ne Tumhara Naam Pahle Bhi Musalman Rakha Tha Aur  Is (Quran) Me Bhi Taaki Rasool Tum Par Gawaah Ho Jaye Aur Tum Logo Par. Toh Namaz Qayam Karo Aur Zakat Do Aur Uski (Allah) Rassi Ko Mazbuti Se Pakde Rakho. Woh Tumhara Dost (Mawla) Hai So Kya Behtar Dost Hai Aur Kya Behtar Madadgaar Hai.

Surah Hajj (22), ayat- 78.

۩ Ammi Ayesha r.a. farmati hai ki RasoolAllah ﷺ ne farmaya, Beshak Allah tala narmi karta hai aur narmi ko pasand karta hai Aur narmi pe wo sawab deta hai jo sakhti pe nahi deta, aur wo is tarha kisi aur cheez par ata nahi karta.

Sahih Muslim, kitab al birr was silati wal adab ﴾45﴿ hadees- 6601.

۩ Ammi Ayesha r.a. farmati hai ki jab bhi RasoolAllah ﷺ ko kisi do chizo me ikhtiyar (choice) diya jata tha wo undono maise hamesha aasan chiz ko chunte the, jab tak ke usme koi gunah shamil na ho lekin agar usme gunah hota toh wo logo me us chiz se sabse zyada duri ikhtiyar karte the.

Sahih al Bukhari, kitab al adab ﴾78﴿, hadees- 6126. Sahih Muslim, kitab al fazail ﴾43﴿, hadees- 6048.

۩ Abu Huraira r.a. se riwayat hai, Nabi ﷺ ne farmaya: “Beshak Deen aasaan hai, aur jo shakhs deen me sakhti karega to deen ispar ghalib ajaayga. Toh shiddat pasand (extremist) mat bano lekin koshish karo ki takmeel (perfection) ke kareeb raho aur khush raho aur subha aur dopaher aur raat ke aakhri hisse me ibadat karke (Allah se) se madad haasil karo.”

Sahih al Bukhari, kitab al eemaan ﴾2﴿, hadees- 39.

۩ Abu Masud r.a. riwayat karte hai ke ek shaks ne kaha ke Aye Allah ke Rasool qasam Allah ki mai subah ki namaz me falan ki wajah se der me jata hu, kyunki woh namaz ko bahut lamba kar dete hai, raawi e hadees kahte hai ki maine RasoolAllah ﷺ ko naseehat ke waqt us din se zyada (kabhi bhi) itne gusse me nahi dekha. Aap ﷺ ne farmaya ke tum me se kuch log yeh chahte hai ke (aawam ko ibadat se ya deen se) nafrat dila de. Khabardaar tum me logo ko jo shakhs bhi namaz padhaye to choti padhaye kyunki namazio me kamzor, budhe aur zarurat wala sab hi qisam ke log hote hai.

Sahih al Bukhari, kitab al aazaan ﴾10﴿, hadees- 702.

•٠•●●•٠•