اقرأ باسم ربك الذي خلق

6 Jan 2018

Dua Ki Qubuliyat Ka Waqt


QUBULIYAT E DUA KE MAKHSUS ZAMAAN WA AMKAAN

Dua ki qubuliyaat ke liye mat'ad auqaat aur jagahey hai, jin me sey hum kuch yaha bayan karte hain..

۩1 : Raat Ke Akhri Hissey Mein -

Yaani sehri ke waqt dua karna, is waqt Allah ta'ala asmaan duniya tak nuzul farmate hai, ye Allah subhanahu wata'ala ka apne bando par fazl wa karam hai ke inki zaruriyaat aur takleef dur karne ke liye nuzul farmata hai, aur sada lagate hai, "Kaun hai jo mujhe pukare toh mein uski dua qubool karu. Kaun hai jo mujh sey mangey toh mein usey ata karu. Kaun hai jo mujh se apne gunaho ki bakshish mangey , toh usey baksh du"!

Sahih al Bukhari, Hadith- 1145.

۩2 : Azaan Aur Iqamat Ke Darmiyaan -

Nabi ﷺ sey sahih sabit hai k ap ne farmaya, "Azaan aur iqamat ke darmiyaan Dua radd nahi hoti.

Narrated by Abu Dawood (521) and al-Tirmidhi (212). See also Saheeh al-Jaami’, 2408.

۩3 : Barish Ke Waqt -

Sahl bin saad radiallah anha ki riwayat mein Nabi ﷺ sey manqul hai ke Ap ne farmaya, Do (2) Duae radd nahi hoti, Azaan ke waqt ki dua aur barish ke waqt ki dua.

Narrated by Abu Dawood and classed as saheeh by al-Albaani in Saheeh al-Jaami’ (3078).

۩4 : Raat Ke Kisi Hissey Me Dua -

Aap ﷺ ka farmaan hai, "Raat ke waqt ek aesi ghadi ati hai jis me koi bhi Musalmaan Dunyawi aur Akhirat ki khair mange toh isey woh chiz de di jati hai, yeh ghadi har raat ati hai."

Sahih Muslim, Hadith- 757.

۩5 : Jummah Ke Din Qubuliyat Ki Ghadi -

RasoolAllah ﷺ ne Jummah ke din ka tazkirah karte hue faramaya, Is din me ek asi ghadi hai jis me koi bhi Musalmaan Allah ta'ala se khade ho kar dua mangey Toh Allah ta'ala use woh chiz ata farmata hai. Aur Nabi ﷺ ne is ghadi ke intihai mukhtasir hone ka ishrah bhi faramaya.

Narrated by al-Bukhaari, 935; Muslim, 852.

۩6 : Zamzam peete waqt ki dua -

Jabir radiallah anha Nabi ﷺ se bayan karte hain ke Zamzam ka pani har us maksad ke liye hai jis maksad se piya jaye.

Narrated by Ahmad and classed as saheeh by al-Albaani in Saheeh al-Jaami’, 5502.

۩7 : Sajde Ki Halat Me Dua -

Nabi ﷺ ka farmaan hai, "Banda apne Rab ke qareeb tareen sajdey ki halat mein hota hai, isliye kasrat se sajde ki halat me dua karo.

Sahih Muslim, Hadith-482.

۩8 : Murge ki awaaz sunne ke waqt -

Nabi ﷺ ka farmaan hai, "Jab tum murge ki awaaz suntey ho toh Allah se fazl ilaahi manga karo, kyuki us waqt murge farishte ko dekhta hai."

Narrated by al-Bukhaari, 2304; Muslim, 2729.

۩ La Ilaha Illa Anta, Subhanaka, Inni Kuntu Mina Z-zalimin Padh Kar Dua Mangey -

Nabi ﷺ ne farmaya, "Yunus alaihi salaam ki dua machli ke pait mein yeh thi :‘Laa ilaaha illa anta, subhaanaka, inni kuntu min al-zaalimeen aur in alfaz ke zariye koi bhi Musalmaan Allah ta'ala se dua mangey toh Allah ta'ala is ki dua zarur Qubool farmata hai.

Narrated by al-Tirmidhi and classed as saheeh in Saheeh al-Jaami’, 3383.

۩ Musibat Pardne Par Inna Lillaahi Wa Inna Ilayhi Raaji’oon. Allaahumma Ujurni Fi Museebati W'ukhluf Li Khayran Minha Ke Zariye Dua Karna -

Umme Salama radiallah anha kahti hai ke maine Nabi ﷺ ko famatey hue suna (koi bhi musalmaan kisi bhi musibat k puhuchne par huqm e ilaahi k mutabik kahta hai :

Inna Lillaahi wa inna ilayhi raaji’oon. Allaahumma ujurni fi museebati w'ukhluf li khayran minha .

[Beshaq hum Allah ke liye hai, aur isi ki taraf lautenge, ya Allah mujhe meri Musibat me ajr ata farma, aur mujhe isse accha badla naseeb farma] toh Allah ta'ala isse accha badla zarur ata farmata hai.

Sahih Muslim, Hadith-918.

۩ Mayyat Ki Ruh Parwaaz Kar Jane Par Logon Ka Dua Karna -

Ek hadees me hai ke Nabi ﷺ ne Abu Salma radiallah anha ke pass aye, Aap faut ho chukey the] aur apki ankhey pathra gayi thi,aap ne unki ankhey band farmaya, ( jis waqt ruh qabz ki jati hai, nazar uska picha karti hai) ye sun kar Abu Salma radiallah anha ke ahlekhana mein sey kisi ne cheekh mari, Toh Aap ﷺ ne faramay, "Apne liye acche kalimaat hi bolo, kyuki jo bhi kaho ge farishtey is par aameen kah rahe hai.

Narrated by Muslim. 2732.

۩ Beemar Admi Ke Pass Dua Karna -

Umme Salma radiAllah anha kahti hai ke Rasoolallah ﷺ ne faramaya, "Jab tum mareez ke pass aao toh acchi baat kaho, kyuki Farishtey Tumhari un baaton par aameen kahtey hai. Umme Salma radiallah anha kahti hai ke jis waqt Abu Salma faut ho gaye toh mai RasoolAllah ﷺ ke pas ayi aur apko khabr di ke Abu Salma faut ho gaye hai toh Ap ﷺ ne farmaya tum ye kaho, "Ya Allah meri aur is ki magfirat farma, aur mujhe isse accha badle me ata farma. Umme Salma kahti hai, "Maine ye alfaz kahe, toh Allah ta'ala ne mujhe Abu Salma se behtar khawind ata kiya. Yani "Muhammad ﷺ"

Sahih Muslim, Hadith no. 918.

۩ Mazlum Ki Dua -

Ek Hadees me hai ke Nabi ﷺ ne farmaya, "Mazlum ki baddua se bacho, kyuki Allah aur mazlum ki baddua ke darmiyaan koi parda nahi hota".

Narrated by al-Bukhaari, 469; Muslim, 19.

Aap ﷺ ka ye bhi farmaan hai ke, "Mazlum ki baddua Qubool hoti hai, chahey wo fajir hi kyu na ho, us ke fajir hone ka nuqsaan usi ho hoga.

Narrated by Ahmad. See Saheeh al-Jaami’, 3382.

۩ Walid Ki Apni Aulaad Ke Haq Me Dua, Rozadaar Ki Rozey Ki Halat Me Dua Aur Musafir Ki Safar Ke Dauran Dua -

Aap ﷺ ne farmaya, Teen qism ki Duae radd nahi hoti. Walid ki apni aulaad ke haq me, rozadaar aur musafir ki dua.

Narrated by al-Bayhaqi; see Saheeh al-Jaami’, 2032; al-Saheehah, 1797.

۩ Walid Ki Apni Aulaad Ke Liye Baddua -

Sahih ahadees me hai ke, "Teen duaye qubool hoti hai. Mazlum ki dua, Musafir ki dua, Walid ki apni aulaad ke liye baddua".

Narrated by al-Tirmidhi, 1905. See Saheeh al-Adab al-Mufrad, 372. 

۩
 Nek Aulaad Ki Apne Walidein Ke Liye Dua -

1. RasoolALlah ﷺ ne farmaya ki jab koi insan marta hai to uske nek aamal band kar diye jate hai siwae teen tarah ke:

1) Sadka e jariya(Allah ke raah me lagaya hua hamara maal jo logo ko fayda pohcha raha ho)
2) Jo Ilm logo ko sikhaya ho wo usse fayda utha ra ho
3) Nek aulad jo uske liye dua kare.

Reported by al-Tirmidhi, no 1376; he said this is a saheeh hasan hadeeth.

۩ Raat Ke Waqt Kisi Bhi Lamhey Ankh Kholney Par Un Masnon Alfaz Ke Baad Dua Kare -

'Ubada bin As-Samit r.a. riwayat karte hai ki RasoolAllah ﷺ ka farmaan hai, "Jo shaqsh raat ke waqt bedaar huwa, aur us ne yeh kaha -'La ilaha il-lallah Wahdahu la Sharika lahu Lahu-lmulk, waLahu-l-hamd wahuwa 'ala kullishai'in Qadir. Al hamdu lil-lahi wa subhanal-lahi wa la-ilaha il-lal-lah wa-l-lahu akbar wa la hawla Wala Quwata il-la-bil-lah.'Ya koi aur dua mangi toh iski dua qubool hogi, aur agar wuzu kar ke namaz padhi toh iski namaz bhi qubool hogi.

Sahih al-Bukhari, Hadith-1154.


•٠•●●•٠•

Allah se dua hai ki wo hamari duao ko qubul farmaye. aameen.