اقرأ باسم ربك الذي خلق

9 Jan 2018

Ek Galat Samjhi Hui Hadith - Amal Ka Daromadar Niyat Par Hai


Hamare Muashre Me Ek Hadith Ko Misquote Kiya Jata Hai Ki Huzur Ne Farmaya Ki Amal Ka Daromadar Niyat Par Hai. Kuch Log Apne Biddat (Deen Me Nayi Chiz Ijaad Krna) Ya Aesi Hi Chiz Ko Support Krne K Liye Ye Hadith Quote Krte Hai. Unka Kahne Ka Matlab Ye Hai Ki Ham Agar Kitab O Sunnat Se Koi Kaam Hat Kar Karte Hai To Kya Hua, Niyat To Nek Hai Na Wo Amal Karne Ka.

Lekin Deen E Islam Me Ye Logic Nahi Chalti. Agar Ye Logic Ko Apnaya Jaye To Jo Shiya Log Jo Matam Karte Hai Wo B Nek Niyati Se Hi Karte Hai Koi Bad-niyati Se Ye Nahi Krte, Fir Ham Unhe Galat Kyu Kahte Hai?

Apko Quran Aur Sunnat Me Boht Si Hadith Milengi Jo Is Logic Ka Radd Karengi. Misal Ke Taur Par Mai Ek Hadith Quote Krta Hu,

۩  Abdullah Bin‘ Awfa r.a Se Riwayat Hai Ke Jab Maaz r.a Shaam Se Aye To Unhoon Ne Nabi ﷺ Ko Sajda Kiya.
Ap ﷺ Ne Farmya: (Maaaz! Ye Kya?) Unhoon Ne Kaha: Main Shaam Gaya To Main Ne Wahan Ke Logon Ko Dekha Ke Wo Apne Padriyon Aur Rehnumaon Ko Sajda Kar Rahe The,
Mujhy Apne Dil Main Yeh Baat Achi Lagi Ke Hum Log Ye Ap ﷺ Ke Sath Ye Tarika Ikhtiyar Karen To RasoolAllah ﷺ Ne Farmya:  Tum Aesa Mat Karna, Agr Main Kisi Ko Ghair Allah Ke Liye Sajda Karne Ka Hukam Deta To Biwi Ko Hukm Deta Ke Wo Apne Khawand Ko Sajda Kare, Kasam Hai Us Zaat Ki Jis K Hath Main Muhammad ﷺ Ki Jaan Hai! Aurat Apne Rabb Ka Haq Ada Nahi Kar Skti Jab Tak Apne Khawand Ka Haq Ada Nahi Karti Agar Wo Oonat Ke Kajaweh Per Baithi Hui Ho Aur Khawand Us Se Khwahish Ka Izhaar Kare To Wo Inkaar Nahi Kar Sakti.
Hadees Ke Ye Alfaz Ibn E Majah Ke Hain, Is Hadees Ko Albani Ne “Sahih Ibn e Majah" Main Sahih Qarar Diya Hai.

Sunan Ibn Maajah (1853) And Al-Bayhaqi (14711).

Ab Is Hadith Me Gaur Kiya Jaye Toh Muaz Bin Jabal r.a. Ne Huzur ﷺ Ki Izzat Aur Muhabbat Me Hi Sajda Kiya Tha, Huzur Ki Gustakhi Me Nahi Kiya Tha. Ab Niyat To Nek Hi Thi Na Muaz Bin Jabal R.a. Ka Lekin Fir Bhi Huzur Ne Mana Farmaya Is Amal Se. To Ye Logic Ki Sirf Nek Niyat Hona Chaiye Baki Jo Bhi Amal Karte Raho To Ye Sahih Nahi Nahi. Aur Is Tarha Ki Boht Si Hadeese Milengi Apko.

Ek Aur Boht Khubsurat Hadith Hai Bukhari Me:

۩ Anas Bin Malik (R.a) Farmate Hai Ke Rasool Allah ﷺ Ki Ibadat Ke Bare Mey Puchne Ke Liye 3 Shakhs Aisha R.a.(Azwaje-mohtaraat) Ke Pass Aaye, Jab Un Logon Ko Rasool Allah ﷺ Ki Ibadat Ka Tariqa Bataya Gaya To, Unhone Aap S.a.w. Ki Ibadat Ko Thodi Samjhi Aur Kaha, Humara Rasool Allah ﷺ Se Kya Muqabala ??, Allah Ne Aapke Agle Piche Gunah Maaf Kardiye Hai, Un Mey Se 1ne Kaha, Main Humesha Raat Bhar Namaz Padhta Rahunga, 2re Ne Kaha Main Humesha Roza Rakha Karunga, 3re Ne Kaha Ki Mai Auraton Se Door Rahunga, Main Nikah Nahi Karunga, Unmey Ye Guftagu Ho Rahi Thi, Ke Rasoolallah ﷺ Aaye Aur Farmaya, Kya Tum Logon Ne Ye Baate Kahi Hai??gaor Se Suno, Allah Ki Kasam, Main Tumme Sab Se Zada Allah Se Darne Wala Hon, Or Tumme Sab Se Zada Taqwa-ikhtiyaar Karne Wala Hon, Lekin Main Roza Rakta Hon Or Nahi Bhi Rakta, Raat Ko Namaz Padhta Hon Aur Sota Bhi Hon, Or Auraton Se Nikah Bhi Karta Hon,toh Sunlo Yahi Mera Tariqa(Sunnat) Hai Aur Jisne Mere Tariqe(Sunnat) Se Hatkar Kiya Wo Mujhse Me Se Nahi Hai.

(Bukhari, Wedlock, Marriage (Nikaah) [62:1].

Ab Gaur Kiya Jaye To Wo 3 Admiyo Ne Nek Niyati Se Hi Faisla Kiya Tha Ki Saari Raat Ibadat Karunga Wagaira, Lekin Fir Bhi Huzur Ne Ise Mana Farma Diya Kyuki Wo Sunnat Ke Khilaf Tha Yaani Deen Ke Khilaf.

Amal Ka Daromadar Niyat Par Hai Is Hadith Ka Mafum Ye Hai Ki Ek Amal Ka Sawab Uske Niyat Ke Mutabik Milega Aur Amal Aur Niyat Dono Zaruri Hai Ek Ibadat Ko Qubul Hone Ke Liye, Aur Iski Misaal Bhi Rasoolallah ﷺ Ne Di Hai Isi Hadith Me:

۝ Hazrat Umar Bin Khattab R.a. Ne Rasool ﷺ Se Suna, Rasool ﷺ Farma Rahe The Ki Tamaam Aamaal Ka Daar O Madar Niyat Par Hai Aur Har Amal Ka Natija Har Insan Ko Us Ki Niyat Ke Mutabiq Hi Milega, Pas Jis Ki Hijrat (Tark E Watan) Daulat e Duniya Hasil Karne Ke Liye Ho Ya Kisi Aurat Se Nikah Ki Garz Ho, Pas Us Ki Hijrat Un Hi Cheezon Ke Liye Hogi Jin Ko Hasil Karne Ki Niyat Se Usne Hijrat Ki Hai .

Sahih Bukhari, hadith- 1.

•٠•●●•٠•

Related : Kya Biddat e hasana Islam me jaiz hai ?