اقرأ باسم ربك الذي خلق

8 Jan 2018

Hadith Ki Pahli Kitab


Hadith Ki Pahli Mudawwan (Jama Ki Gai) Wa Murattab Kitab Muwatta Imam Malik Batayi Jati Hai, Yeh Fiqhi Tarteeb Par Mushtamil Hai. Muwatta Arabic Zuban Ka Lafz Hai. Iska Matlab Hai "Aesa Rasta Jis Par Kasrat Ke Sath Log Chale Ho." Muraad Hai Woh Tarika E Mustakeem Jise Muhammad ﷺ Aur Sahaba E Karaam R.A Ke Baad Salaf Saaliheen, Deen Ke Imamo Aur Akabir Ulema E Millat Ne Apnaya. Ahle Ilm Ne Kaha Hai Kay Ye Kitab 140 Hijri Ke Kareeb Tarteeb Di Gai. Is Me Sahaba Wa Tabaeen Ke Aqwaal Mila Kar Kul 1720 Riwayat Hai, Jinme Marfu Hadeese 600, Mursal Riwayate 222, Maukuf Riwayate 613 Aur Tabaeen Ke 285 Aqwaal Hai.

Mukhtalif Adwaar Me Mukhtalif elako Me Iski Shuruhaat Wa Ta'alikat Likhi Gai, Jinme Imam Ibn Abdul Bar Ki Attamheed Aur Al-Istizkaar, Imam Suyuti Ki Tanweerul Hawalik, Imam Zurkani Ki Al- Muntaqa Aur Shah Waliullah Muhaddis Dehlwi Ki Al-Musaffa (Farsi Me) Aur Al Musawwa (Arabic Me) Kabil E Zikr Hai.

Muwatta Imam Malik ke Murattib Imam Malik r.h. Hai Jinka Pura Naam "Malik Bin Anas Bin Amir Bin Malik" Aur Laqab "Imam Darul Hijra" Hai. Ap 93 Hijri Me Madina Me Paida Hue Aur 179 Hijri Me Madina Me Hi Faut Hue. Ap Ko Allah Ne Kamaal Ka Hafiza Ata Farmaya Tha, Ap Apne Ustado Se Jo Hadith Ek Bar Sun Lete Fir Wo Kabhi Na Bhulte. Ap Takwa Wa Parhejgari Me Bhi Unche Martabe Ke Malik The. Tarteeb Al Madarik Me Hai Ki Ap Mashgale Taleem Ke Baad Har Waqt Allah Ki Ibadat Aur Tilawat E Quran Me Hi Mashroof Rahte The Aur Bataur Khas Jume Ki Raat Ko Saari Ibadat Me Hi Guzarte.

Haq Goi Me Is Qadr Bebaak The Ki Apko Uski Khatir Hakim E Waqt Ki Mukhalfat Aur Uski Tarf Se Izaae Aur Sazae Tak Bardasht Karni Padi Magar Apko Paya E Besbaat Me Kahi Bhi Larzish Nahi Ayi. Garz Allah Ne Apko Jis Qadr Azeem Maqsad Ki Takmeel Ke Liye Paida Farmaya Tha Uske Liye Apko Is Jaisi Azeem Sifat Se Bhi Muttasif Farma Diya Tha.

•٠•●●•٠•