اقرأ باسم ربك الذي خلق

5 Jan 2018

Imam Bukhari Ka Ahlul Hadith Ko Jannati Jamaat Kahne Ka Matlab


Sawal: Hame Muhaddiso jaise Imam Bukhari wagaira ki kitabo me milta hai ki in Muhaddiso ne kaha tha Jo ek firqa Jannat me jayega wo ahle hadith hoga. Lekin Aapne Quran aur hadith ke hawale se bataye hai aur sabit bhi kiya ki RasoolAllah aur salaf ka aqidah tha ki wo apne apko sirf Musalman kahna pasand karte the aur jo ye na karta use salaf jahannam ke azaab se darate the. To ye kaise ho sakta hai ki in bade muhaddiso ne in hadith ko na samjha ho aur ahle hadith ka laqab istemal kiya ho, jabki wo to hamse behtar Quran aur sunnah ke samajhne wale the.

Jawab:

Alhamdulillah ..


Pahli baat yeh ki jis zuban me hame ye milta hai ki Imam Bukhari ne ye kaha tha wo Arabic zuban hai aur jab koi Arabic me ahle hadith kahta hai to iska matlab wo shaks NAHI hota jo Apne apko ahle hadith ka laqab deta hai ya ahle hadith ke laqab ko gale me locket ki tarha latka kar pahenta hai ya ahle hadees khandaan se hota hai balki isse murad wo log hai jo hadith se jude hue hai iska Tarjuma hai hai "Hadith wale (log)".


Bilkul Usi tarha ke jab ham ek shaks ko namazi kahte hai to isse ye murad nahi hota ki usne apne naam ya laqab namazi rakkha ho ya usne namazi naam ka locket pahna ho balki ham us shaks ko namazi kahenge jo namaz padhta ho ya namaz qayam karta ho.

Bilkul isi tarha Imam Bukhari aur digar Muhaddiseeno ne Haq ki jamaat Ahlul Hadith ko kaha tha to isse murad wo nahi jo apne apko ahle hadith jamaat se mansub karta hai ya apne apko ahle hadith kahta hai ya ahle hadith khandan se belong karta hai balki unhone is haq ki jamaat me har us shaks ko shamil kiya tha jo hadith ko jamaa karta hai hadith par kaam karta hai, hadith padhta hai aur hadith par amal karta hai. 

Aur Sheikh ibn Taymiyya ka bhi yahi kahna hai. Sheikh ibn Taymiyya farmate hai,


Ham ahle Hadith se murad sirf unhe nahi lete jo sirf is par tahkeek karte hai, likhte hai ya riwayat karte hai, balki ham isse murad har us shaks ko lete jo hadith ko yaad karte hai, samajhte hai (aur) us par amal karte hai batini (dili) aur zahiri taur par.


Majmoo al-Fataawa, 4/95.


Is fatwe se baat aur clear ho gayi ki har wo shaks jo hadith par kaam karega, use padhega aur us par amal karega, toh wo jannati firqe se hoga. Koi khas naam ke group ko ye jannat ki basharat nahi hai aur naa hi Imam Bukhari ne kisi khas naam ke group ko ye jannat ki basharat di thi. Jab RasoolAllah ﷺ se pucha gaya tha ki jannati firqa kaunsa hai to unhone kisi khas jamaat ka naam nahi liya tha balki kaha tha jo unke aur unke sahaba ke naqshe qadam par chalenge wo hi jannati firqe me shumar honge.


RasoolAllah ﷺ ne farmaya: “Meri Ummah 73 firqo me bat jayegi aur wo sab jahannam me jayenge siwae ek ke. Sahabao ne pucha wo kaun firqa hoga”? Fir RasoolAllah ﷺ ne jawab diya wo, “Wo ek hi raasta hoga jis par ham aur hamare sahaba chale.”


SUNAN TIRMIDHI, HADEETH-171.


Toh jab RasoolAllah ne kisi khas firqe ka naam nahi liya na hi bataya to Imam Bukhari kaise kisi khas naam ke jamaat ka naam le sakte hai. Imam Bukhari raheemaulllah par koi wahee toh ayi nahi thi lekin unhone jo bhi bataya wo Quran aur sunnah ke dalail ke mutabik hi bataya. Ahle hadith alfaz jo unhone istemal kiya wo amal ke binah par istemal kiya tha jaise koi namaz padh kar hi namazi hota hai, roza rakh kar hi rozedaar hota hai, Hajj kar ke hi Haaji kahlata hai bilkul isi tarha. Isi liye Imam Bukhari ya Imam Muslim ne kabhi apne apko laqabi taur par ahle hadith/Salafi/Shiya/Sunni/Deobandi/Hanfi/Shafi wagaira kabhi nahi kaha. Aur Ulema bhi yahi kahte hai ki koi khas naam ka firqa ya jamaat jannat me nahi jayega:


Shaykh Saalih al Munajjid farmate hai:

Jannat ke sawal ke hawale se ki woh sirf Ahl as-Sunnah jamaat hi hai. Ye galat raae hai. Kisi bhi ulema ne aesa nahi kaha hai; balki Muhammad ﷺ ke sabhi ummati jinhone un ke pukar ka jawab diya wo jannat me dakhil honge; koi isse mahroom nahi rahega siwae un ke jo apne aediyo ke bal palat jaye aur unhone apne Islam ko mansukh kar diya wo amal kar ke jo unhe Islam se mukammal taur par bahar karde, aur wo Biddati jo shariah ke khilaf gaye aur ahl as- Sunnah se ikhtilaf kiya, wo un ahle tauheed ke gunah gaaro ki tarah pesh honge Allah ki marzi se jo azmat wala buland hai: agar usne chaha to wo saza dega aur agar usne chaha to wo muaf kar dega, fir sabka aakhri mukaam Jannat hoga, agar uski maut Tawheed par hui hai.


source:- http://islamqa.info/en/159301


To ab baat wazeh ho jani chaiye ki Jannati firqa apne laqab se jannat nahi jayega balki apne aamaal se jannat jayega. Lekin jo log fir bhi zidd par hai aur kahte hai ham ye explanation nahi manenge to unke liye fir anti-venom hai mere pas. Aur wo hai Imam Shafi ka qawl. Imam Shafi Imam Ahmad ibn Hambal ke Ustad hai aur Imam ibn Hambal Imam Bukhari ke Ustad hai. Matlab Imam Shafi Imam Bukhari ke dada ustad (ustad ke ustad) hai. Imam Shafi farmate hai ki:


"Ager Ahle-Bait ki mahabbat ka nam Rafazi hona hai,
     Toh Tum Gawaah ho jao be-shak main Rafazi hon."

Dalail:- "Munaqib " Al Baihaqi 2/71,  "Munaqib " Al Razi: 51, "Tareekh Ibn Asakir" 14/407,  "Tabqat Al shaafiya" lilsabki 1/229, "Al Inteqaa" :90,91, "Moajjam al Adbaa" 17/320, "Uyun al tawarikh" 7/180.

Ab jo shaks ye kahta hai ki hame apne apko ahle hadith kahna chaiye to wo apne apko ajse ahle hadith kahne ke sath sath Rafazi bhi kahna shuru karde kyuki Imam Shafi ne khud ko rafzi kaha hai. Aur Imam Shafi Imam Bukhari ke ustad ke ustad hai. Ab is anti-venom ke zarye ho sakta hai unko baat samajh aa jaye aur wo kahe ki Imam Shafi ne ye to jo ahle baith se muhabbat karne walo Rafazi kaha hai ek amal ki bunyad par na ki laqab ki bunyad par, toh bhai mai bhi to pahli line se yahi samjha raha hu ki ahle hadith ka lafz hadith ko padhne ya is par amal karne walo ke liye use kiya tha na ki ek jamaat ya laqab ke taur par. Aakhir me mai kahna chahta hu ki wo apka amal hi hoga jo apko Kabr me aur maidan e Hashr me kaam ayega na ki gairullah ka diya hua apko laqab. Jaisa ke Allama Iqbal 'Tulu e Islam' me kahte hai-

        Amal Se Banti Hai Zindagi Jannat Bhi, Jahanum Bhi
            Ye Khaki Apni Fitrat Mein Na Noori Hai Na Naari Hai.

•٠•●●•٠•
Related articles:-