اقرأ باسم ربك الذي خلق

7 Jan 2018

Juma Ki Fazilat Aur Iske Ahkaam

Contents:


1.۝ Jumu'a Ki Fazilat

2.۝ Jumu’e Ke Din Namaz-e-Fajr Mein Kaun Si Surat Padhi Jaye?

3.۝ Dehaaton Aur Shahron Mein Jumu’ah Padhna

4.۝ Agar Baarish Ho Rahi Ho To Jumu’e Mein Haaziri Jaruri Nahi

5.۝ Jumu'ah Ke Din Ghusl Karna Afzal (Behtar) Hai

6.۝ Jumu’e Ke Liye Khushbu Istemal Karna Aur Baalon Ko Tel Lagana

7.۝ Jumu’e Ke Din Jaldi Aane Ki Fazilat

8.۝ Jumu'a Ke Din Teen Tarah Ke Logo Ka Aana 

9.۝ Jumu’e Ke Din Do Aadmiyon Ke Darmiyan Judayi Na Kare

10.۝ Jumu’e Ke Din Apne Bhai Ko Utha Kar Khud Uski Jagah Baithne Ki Muman’at

11.۝ Jumu'a Me Jaldi Aane Aur Chup Rahne Ka Sawab

12.۝ Khade Ho Kar Khutba Dena

13.۝ Khutbe Ke Waqt Imam Aur Hazireen Ka Ek Doosre Ki Taraf Munh Karna

14.۝ Jumu’e Ke Din Dauran-e-Khutba Mein Khamoshi Ikhteyaar Karna

15.۝ Jumu'a Ke Din Zyada Se Zyada Durud Padhna

16.۝ Jumu'a Ke Din Surah Kahf Padhna

17.۝ Us Ghadi Ka Bayaan Jo Jumu’e Ke Din Hoti Hai


Allah ‎ﷻ Farmate Hai, 

Aey Woh Logo Jo Eeman Laye Ho! Jab Jumuah Ke Din Namaz Ki Azan Di Jaye To Tum Allah Ke Zikr Ke Taraf Daur Pado Aur Khareed-o-farokht Chor Do. Yeh Tumharay Haq Mein Boht Hi Behtar Hai Agar Tum Jantay Ho.
Fir Jab Namaz Ho Chukay To Zameen Mein Fael Jao Aur Allah Ka Fazal Talash Karo Take Tum Falah Paa Lo.

Surah Jumua, Ayat- 9 And 10.

1.۝ Juma'a Ki Fazilat

Hazrat Abu Hurairah Radiallahu Anhu se riwayat hai, unhone RasoolAllah ﷺ ko ye farmate huye suna: “Hum baad me aaye hain lekin qayamat ke din sabse aage honge. Sirf itni baat hai ke pahle logo ko hamse qabl kitaab di gayi, phir yahi jumu’ah ka din unke liye bhi muqarrar tha magar wo iske mutalliq ikhtelafat ka shikar ho gaye lekin hame Allah Ta’ala ne iski hidayat kar di, is bina par sab log hamare pichhe ho gaye. Yahud kal (Hafta, Saturday) ke din aur isaayi parso (Itwaar, Sunday) ke din (ibaadat karne lage)”.

Sahih Al Bukhari,  Kitab-Ul-Jumu’ah, Hadith-876.



2.۝ Jumu’e Ke Din Namaz-e-Fajr Mein Kaun Si Surat Padhi Jaye?

 Hazrat Abu Hurairah Radiallahu Anhu se riwayat hai, Unhone kaha ke Nabi ﷺ jumu’ah ke din Namaz-e-Fazr me “Alif Laam Meem. Tanjeel” (Surah As-Sajdah) aur “Hal ataa a’lal insaan” (Surah Al-Insaan) padha karte the.

Sahih Al Bukhari,  Kitab-ul-Jumu’ah, Hadith-891.



3.۝ Dehaaton Aur Shahron Mein Jumu’ah Padhna

Hazrat Ibn-e-Umar Radiallahu Anhu se riwayat hai, Unhone kaha ke Maine RasoolAllah ﷺ ko ye farmate huye suna: “Tum me se har shakhs nigraan hai.” Raawi-e-Hadees Hazrat Lais ne is hadees ko kuchh izafe ke saath bayan kiya hai: (mere shaikh) Yunus ne kaha ke main un dino waadi-al-qura me Ibn-e-Shahab Jahri ke saath tha jab Rujaiq bin Hakeem ne Imam Ibn-e-Shahab ko likh bheja ke yahan jumu’ah qayam karne ke mutalliq aapki kya raay hai? Rujaiq un dino (Hazrat Umar bin Abdul Aziz Raheemullah ki taraf se) eela ke governor the aur uske aitraaf me ek jameen ke farm me kaasht kaari karate the, wahan habshiyon aur doosre logo ki ek jamaat aabaad thi. Andareen haalaat Imam Ibn-e-Shahab ne jawab likha ke wahan iqamat-e-Jumu’ah ka ehtemaam karein. Yunus kahte hain ke main unka jawaab sun raha tha, unhone Hazrat Umar Radiallahu Anhu ki ye hadees bayan ki ke RasoolAllah ﷺ ne farmaya: “Tum meinse har ek nigraan hai aur ussey apni riy’yat ke mutaaliq baaj purs hogi. Mard apne ghar ka nigraan hai aur ussey apne ahle khana ke mutalliq sawal hoga. Aurat apne shauhar ke ghar ki nigraan hai aur ussey uski riy’yat ke mutalliq puchha jayega. Khaadim apne aaqa ke maal ka nigraan hai aur ussey uski riy’yat ke mutalliq puchha jayega.” Raawi kahta hai ke mere gumaan ke mutabiq Aapne ye bhi kaha: “Insaan apne baap ke maal ka nigraan hai aur ussey uske mutaaliq baaj purs hogi, tum mein se har shakhs nigraan hai aur har ek se uski riyaya ke mutalliq sawal hoga.”

Sahih Al Bukhari,  Kitab-ul-Jumu’ah, Hadith-893.



4.۝ Agar Baarish Ho Rahi Ho To Jumu’e Mein Haaziri Jaruri Nahi

Hazrat Abdullah bin Haaris jo Muhammad bin Seereen ke chachajaad hain, se riwayat hai ke Hazrat Abdullah bin Abbas Radiallahu Anhu ne baarish ke waqt apne mo’azzin se kaha ke Ash-hadu an-na Muhammadan RasoolAllah ke baad Hayya alas-salaah mat kahna balke uske bajaye Sallu fee boyutikum kahna, yaani apne gharon mein Namaz padh lo. Logo ne iss par ta’ajub kiya to unhone farmaya ke aisa iss shakhsiyat ne kiya tha jo mujh se kahin behtar thi. Namaz-e-Jumu’ah agar che farz hai lekin mujhe ye pasand nahi ke tumhein (tangi me mubtila karte huye) iss haalat me ghar se nikaalu ke tum keechad aur fislan me fisalte raho.

Sahih Al Bukhari,  Kitab-ul-Jumu’ah, Hadith-901.



5.۝ Jumu'ah Ke Din Ghusl Karna Afzal (Behtar) Hai

Nabi ﷺ ki zauja mohtarma Hazrat Aa’isha Radiallahu Anha se riwayat hai, unhone farmaya ke log apne gharon aur Madina ke balayi ilaakon se Namaz-e-jumu’ah padhne ke liye baari baari aate the. Chunki wo gard-o-gubaar me chal kar aate, isliye unke badan se gubaar aur pasine ki wajah se badboo aane lagti, chunanche unmein se ek aadmi RasoolAllah ﷺ ke paas aaya jabki Aap us waqt mere ghar mein the, tab Nabi ﷺ ne farmaya: “Kaash ke tumlog is mubarak din mein naha dho liya karo.”

Sahih Al Bukhari,  Kitab-ul-Jumu’ah, Hadith-902.

Note: Shaykh Muhammad Saalih al-Munajjid farmate hai ki aksar fuqaha’ e karaam ke mutabik Jumu'a ko ghusl karna farz nahi hai, Ye Mustahab hai. Lekin kuch aese bhi fuqaha’ e karaam the jinki raaye thi ki ye farz hai.  [source]



6.۝ Jumu’e Ke Liye Khushbu Istemal Karna Aur Baalon Ko Tel Lagana

Hazrat Salman Farsi Radiallahu Anhu se riwayat hai, unhone kaha ke Nabi ﷺ ne farmaya: “Jo shakhs Jumu’ah ke din ghusl kare aur jis qadr mumkin ho safayi kar ke tel lagaye ya apne ghar ki khushboo laga kar Namaz-e-Jumu’ah ke liye nikle aur do aadmiyon ke darmiyan tafreek na kare (jo Masjid me baithe ho) phir jitni Namaz uski qismat me ho adaa kare aur jab imaam khutba dene lage to khamosh rahe, aise shakhs ke wo gunah jo is jumu’ah se doosre jumu’ah ke darmiyan huye ho sab bakhsh diye jayenge.”

Sahih Al Bukhari,  Kitab-ul-Jumu’ah, Hadith-883.



7.۝ Jumu’e Ke Din Jaldi Aane Ki Fazilat

Hazrat Abu Hurairah Radiallahu Anhu se riwayat hai ke RasoolAllah ﷺ ne farmaya: “Jo shakhs Jumu’ah ke din ghusl-e-janabat ki tarah (ehtemaam) se ghusl kare, phir Namaz ke liye jaye to goya usne ek oont ki qurbani di. Jo shakhs dusri ghadi me jaye to goya usne gaay ki qurbani ki. Aur jo shakhs teesri ghadi me jaaye to goya usne singdaar mendha bataur-e-qurbani pesh kiya. Jo chauthi ghadi me jaaye to goya usne ek murgi ka sadqa kiya. Aur jo paanchwi ghadi me jaaye to usne goya ek anda Allah ki raah me sadqa kiya. Phir jab imaam khutbe ke liye aa jata hai to farishte khutba sunne ke liye masjid me haazir ho jaate hain.”

Sahih Al Bukhari,  Kitab-ul-Jumu’ah, Hadith-876.



8.۝ Jumu'a Ke Din Teen Tarah Ke Logo Ka Aana:

RasoollAllah ﷺ ne farmaya Juma' ki Namaz me mein teen (3) tarha ke log aatey hain; Ek toh woh jo waha aakar behuda kaam (baat) kare, uska hissa yahi hai (yani usko kuch sawab na milega). Aur dusra wo hai jo wahan aakar Allah azzawajal se dua kare agar Allah chahega to uski dua qubul karega aur chahega to nahi karega. Aur teesra wo hai jo wahan aakar khamoshi se baith jaye, na logon ki gardanein faand kar (over the neck) aage badhe aur na kisi ko takleef pohchaye to uska ye Amal is Juma se lekar agli juma tak balki aur teen zyada din ke liye gunaahon ka kaffara ban jayega, kyunki Allah azzawajal ka irshaad hai ki jo shaksh ek neki karta hai usko 10 guna sawab milega.

Sunan Abu Dawud, hadith-1113 . Classed as Hasan by Shaykh Albani.



9.۝ Jumu’e Ke Din Do Aadmiyon Ke Darmiyan Judayi Na Kare

Hazrat Salman Farsi Radiallahu Anhu se riwayat hai, Unhone kaha ke RasoolAllah ﷺ ne farmaya: “Jo shakhs Jumu’ah ke din ghusl kare aur jis qadr mumkin ho safayi karke Tel (oil) lagaye ya khushboo istemaal kare, phir Namaz-e-jumu’ah ke liye aaye aur do aadmiyon ke darmiyan tafreeq na kare, phir jitni Namaz uski qismat me ho adaa kare aur jab imaam khutba dene lage to khamosh rahe to uske wo gunah jo is Jumu’ah se sabqah jumu’ah ke darmiyaan huye ho sab maaf kar diye jayenge.”

Sahih Al Bukhari,  Kitab-ul-Jumu’ah, Hadith-910.



10.۝ Jumu’e Ke Din Apne Bhai Ko Utha Kar Khud Uski Jagah Baithne Ki Muman’at

Hazrat Ibne Umar r.a. se riwayat hai, Unhone kaha: Nabi ﷺ ne mana’a farmaya hai ke koi shakhs apne bhai ko uski jagah se utha kar khud wahan baith jaye. Raawi kahte hai ke maine Hazrat Naaf’e se daryaft kiya ke Kya ye hukm Jumu’ah ke liye khaas hai? Unhone kaha: Jumu’ah aur Ghair Jumu’ah dono ke liye yahi hukm hai.

Sahih Al Bukhari,  Kitab-ul-Jumu’ah, Hadith-911.



11.۝ Jumu'a Me Jaldi Aane Aur Chup Rahne Ka Sawab

RasoolAllah ﷺ ne farmaya Jo bhi Jumuah ko ghusl karta hai aur(ghar se) jaldi nikalta hai aur Imam ke kareeb aa kar baithta hai aur chup rahta hai, toh har kadam pe use ek saal ke roze rakhne ka aur ek saal taraaveeh padhne ka sawab milega .

[Sunan Tirmidhi Hadeeth no. 496, Authenticated by Shaykh Zubair Ali Zai].



12.۝ Khade Ho Kar Khutba Dena

Hazrat Abdullah bin Umar Radiallahu Anhu se riwayat hai, Unhone kaha ke Nabi ﷺ khade ho kar khutba diya karte the, darmiyan mein kuchh der baith jate phir khade ho jate the jaisa ke tum ab karte ho.

Sahih Al Bukhari,  Kitab-ul-Jumu’ah, Hadith-920.



13.۝ Khutbe Ke Waqt Imam Aur Hazireen Ka Ek Doosre Ki Taraf Munh Karna

Hazrat Abu Sa’eed Khudri Radiallahu Anhu se riwayat hai, Unhone kaha ke Nabi ﷺ ek din mimbar par tashreef farma huye to hum Aapke ird gird baith gaye.

Sahih al Bukhari, Hadith-921.

Is hadith pe Imam Bukhari ne Ye baab bandha hai: "Khutbe Ke Waqt Imam Aur Hazireen Ka Ek Doosre Ki Taraf Munh Karna". To isse ye sabit hua ki Imam Aur Hazireen Ko Ek Doosre Ki Taraf Munh Karna Chaiye.



14.۝ Jumu’e Ke Din Dauran-e-Khutba Mein Khamoshi Ikhteyaar Karna

Hazrat Abu Hurairah r.a. se riwayat hai ke RasoolAllah ﷺ ne farmaya: “Agar tune dauran-e-khutba mein apne saathi se kah diya ke khamosh rah, to tune lagv aur behuda baat ki.”

Sahih Al Bukhari,  Kitab-ul-Jumu’ah, Hadith-934.

Is Hadith pe Imam Bukhari farmate hai, "Jab koi dauran-e-khutba apne saathi ko khamoshi ikhteyaar karne ke mutalliq kahta hai to yaqinan wo bhi lagv baat karta hai. Hazrat Salmaan r.a. Nabi ﷺ se riwayat karte huye kahte hain ke Aapne farmaya: “Jab imam guftagu karta hai tab wo khamoshi ikhteyaar kare.”

Lagv ka matlab bura kaam.



15.۝ Jumu'a Ke Din Zyada Se Zyada Durud Padhna

Aws ibn Aws r.a. bayan karte hai ki RasoolAllah ﷺ ne Farmaya, Tumhara afzal tareen din Jummay ka roz hai, is mein Aadam alaihi salam paida kiye gaye, aur isi din faut hue, aur is din hi Soor funka jayega, aur isi din behoshi hogi, lehaza mujh par is din kasrat se Durud padha karo, Kyuki tumhara Durud mujh par paish kiya jata hai.
Sahaba karam ne arz kiya : Ae Allah ke Rasool ﷺ hamara Durud Aap par kaise paish kiya jayegaa halanke Aap toh mitti ban chuke honge?

Toh Rasool ﷺ ne farmaya :

"Yaqeenan Allah ne zameen ko Ambiya ka jism khana haraam kar diya hai".

Narrated by Abu Dawood, 1047; classed as saheeh by Ibn al-Qayyim in his comments on Sunan Abi Dawood, 4/273; classed as saheeh by al-Albaani in Saheeh Abi Dawood, 925. 
RasoolAllah ﷺ Ki Barzakhi Zindagi ki details janne ke liye ye article padhe: HAYATUN NABI ﷺ – BARZAKHI ZINDAGI


16.۝ Jumu'a Ke Din Surah Kahf Padhna

Abu Sa’eed Al-Khudri ne bayan kiya: RasoolAllah ﷺ s.a.w. ne farmaya, “Jo shaks Jumua ke din surah Kahf padhega uske pas ek roshni hogi jo ek Jumua se dusre Jumua ke bich rahegi.”

SUNAN KUBRA BAIHAQI (HADITH 5856)

Is topic ko detail me padhne ke liye ye Article check kare: SURAH AL-KAHF KI FAZILAT AUR PADHNE KE AUKAAT(TIMING)



17.۝ Us Ghadi Ka Bayaan Jo Jumu’e Ke Din Hoti Hai

Hazrat Abu Hurairah r.a. se riwayat hai ke RasoolAllah ﷺ ne jumu’ah ke din dauran-e-wa’j farmaya: “Ismein ek aisi ghadi hai ke agar thik us ghadi mein banda-e-muslim khada Namaz padh raha ho aur Allah Ta’ala se koi chiz maange to Allah Ta’ala usko wo chiz jarur ataa karta hai.” Use Aap ﷺ ne apne haath se ishara karke bataya ke wo ghadi thodi der ke liye aati hai.

Sahih Al Bukhari,  Kitab-ul-Jumu’ah, Hadith-935.

Anas bin Malik r.a. riwayat karte hai ki RasoolAllah ﷺ ne farmaya, "Juma' ko us Waqt (jisme duae zarur qubul hoti hai) ki Talaash Asr se lekar gurub e aftab (sunset) tak karo".

Jami` at-Tirmidhi 489, Sahih - Sheikh Zubair Ali Zai.

Allah se dua hai ki wo hame sirate mustakeem ata kare. aameen.

•٠•●●•٠•