اقرأ باسم ربك الذي خلق

3 Jan 2018

Kya Jama Ke Baad Ghusl Me Baal Dhone Wajib Hai Taake Ghusl Sahih Ho?


Ghusl janabat me baal dhone wajib hai, Iski daleel Ayesha r.z. ki darj e zail hadees hai.
Ayesha r.z. bayan karty hai ke jab Rasool ﷺ ghusl karte to pehle apne dono hath dhote phir apne daye hath se baye(left) par pani daal kar apni sharmgah dhoote phir namaz jaisa wadhu karte, phir pani lekar apni ungliya(fingers) balon(hairs) ki jadaon tak pahunchate hatta ke jab dekhte ki wo tarr hogaye hai to apne sar par 3 chullu bhar kar dalte, aur phir pure jism par pani bahate, phir apne paaon(legs)dhote.

(Sahih Muslim hadees no:474)

Bulugh Al-Maram ki sharah me shaikh Ibn e Uthaymeen r.h. kahte hai, "Isme ye daleel bhi hai ke ghusl janabat me pani balon ke niche tak phunchana wajib hai, Chahe baal(hairs) bhut zyada hy kyun na hoo, Kyunke Rasool ﷺ apni ungliya balon me daqhil karke balon ki jadon ko tarr karne ke baad 3 chullu dala karte the".

Dekhe sharah Bulugh Al-Maram al shaikh ibn e usaimeen, safah no. 399.

Is hukm me mard wa aurat ka koi fark nahi, Sirf itna hai ke ulema e karam ne aurat ke liye ghusl janabat aur haiz me balaon ki medhiya kholne ke mutalliq kalam ki hai, Aur rajeh yahi hai ke balo ki medhiya kholna zarury nahi. 

Iski daleel Umme Salma r.z. ki darje zail hadees hai, Wo bayan karty hai ke maine Rasool ﷺ se arz ki Aye Allah ke Rasool mere sar ki medhiyan bahut shadeed aur zyada hai, Kya mai ghusl janabat ke liye inhe khola karoon?(Aur ek riwayat me haiz ke ghusl ke alfaz bhi hai) Toh Rasool ﷺ ne farmaya:"Nahi balke tumhare liye itna hi kafy hai ke apne sar par 3 chullu pani daal liya karo".

Ise muslim ne riwayat kiya hai, Book 3, Hadith 66.

Aur Iske dalail me wo riwayat bhi shamil hai jo Ubaid bin umair r.h. se sabit hai wo bayan karte hai: Ayesha r.z. ko ilm hua ke Abdullah bin Umar r.z. Aurton ko ghusl karte waqt apne sar ke baal ko kholne ka hukm dete hai toh wo kahne lagi,
"Ta'ajjub hai ke Ibn e Umar r.z. aurto ko ghusl karte waqt baal kholne ka hukm dete hai, Wo inhe sar mundhne ka hukm kyu nahi dete
Mai aur Rasool ﷺ ek hi bartan se ghusl kiya karte the, aur mai apne sar par 3 chullu pani dalne se zyada kuch nahi kiya karty thy".

Sahih Muslim hadees no: 331.

Bulugh al-Maram ki sharah (p. 406) me shaikh Ibn e Uthaymeen r.h. kahte hai, "Ye hadees aurat ke ghusl ke mutalliq hai ke kya wo apne sar ki medhiyan khol kar iske niche dhoyegy ya nahi? Chunanche Rasool ﷺ ne bayan farmaya ke wo inhe nahi kholegy,
Kyunke isme mashaqqat hai aur khas kar ghusl janabat me.  Aur phir is masle me iqtelaf paya jata hai Baaz ahle ilm kahte hai ke aurat ke liye Haiz ke ghusl me baal kholne wajib hai, Lekin wo ghusl janabat me baal nahi kholegy.Kyun ke ghusl e janabat aur haiz ke ghusl me fark ye hai ke ghusl janabat baar baar karna padta hai,is liye ise subah ke waqt baal kholne aur sham ko balon ki kanghi karne me mashaqqat hai, ya sham ke waqt kholne aur subah kanghi karna. Lekin haiz ke ghusl me aisa nahi hai kyunke wo aam taur par mahine me ek baar karna hota hai,is liye inhe kholne me iske liye sahulat hai.

Wallahu ta'ala alam".