اقرأ باسم ربك الذي خلق

7 Jan 2018

Make-up Kar Ke Namaz Ada Karna

Kya Wuzu Karne Ke Baad Banao Singhaar Aur Make Up Kar Ke Ada Ki Gayi Namaz Motabar Hai?
Alhamdulillah,

Agar Aurat wuzu kar ke chehre ka banao singhaar aur make up kar le, ya ise chu le to yeh ise koi zard aur nuqsan nahi dega, aur na hi is ke wuzu aur namaz par asar andaz hoga, jab tak wo najis (impure) na ho; kyuki badan aur libas ki taharat wa paakizgi namaz sahih hone ke liye shart hai.

Aur yeh maloom hona zaruri hai ke aurat ke liye ajnabi aur gair-mahram ke samne makeup aur banao singhaar karna jayaz nahi, kyu ke aurat ko apna chehra chhipane ka hukum hai, aur is liye bhi ke makeup karna khoobsurati wa zeenat aur fitna mein shaamil hota hai, aur agar aurat aisa kar ke namaz ada kar le to isse namaz ka poora ajar wa sawab hasil hoga lekin ise be-pardagi ka gunah hoga.

Mustaqil Fatwa Committee ke Fatwe mein darj hai: "Aurat ke liye chehre ka makeup aur banao singhaar karne, aur surma lagane, aur sir ke balon ki kanghi wagaira karne mein koi harj nahi, lekin is mein kuffaar aurton ke saath mushabihat na ho, aur yeh shart bhi hai ke aurat gair mahram mardo se apna chehra bhi chhipaye". End quote.

Fataawa al-Lajnah al-Daa’imah (17/129).

Aur Fatwe mein yeh bhi darj hai: "Surma istemal karna mashru' (permitted, ijazat)  hai, lekin aurat ke liye jayaz nahi ke wo apni zeenat aur banao singhaar mein se chahe wo surma ho ya kuch aur apne Khawind (hubby) aur Mahram ke ilawa kisi aur ke samne zahir kare; kyu ke Allaah ‎ﷻ ka farman hai:

...Aur wo apni zeenat zahir na karein, magar apne khawind ke samne..."

[al-Noor 24:31] 

End quote.

Fataawa al-Lajnah al-Daa’imah (17/128).
•٠•●●•٠•

Aur Allah sab se behtar janta hai.
KHWATEEN KE MUTALLIK AHAM ARTICLES :- https://iqrakitab.com/search/label/Ladies%27%20Wing