اقرأ باسم ربك الذي خلق

6 Jan 2018

Mani Aur Mazi Me Fark


Alhamdulillah..

۞ Pahla Farq :

۩ Mani aur Mazi ki sifaat mein farq : 

Mard ka mada manwiya gaadha aur safed hota hai, lekin Aurat ki Mani patli aur zard rang ki hoti hai.

Iski daleel Sahih Muslim ki darj zel Hadith hai :

Umm Sulaym r.a. bayaan karti hain ke maine Rasool ﷺ se mard ka aurat ko khwab mein dekhne ke muta'alliq daryaaft kiya toh Rasool ﷺ ne farmaya, "Jab Aurat aisa khawab mein dekhe to wo Ghusl kare".

Umm Sulaym r.a. kahti hain, "Mujhe isse sharm aa gayi. aur maine arz kiya Kya aisa hota hai?" 

Toh Rasool ﷺ ne farmaya, "Toh fir bachha apne Maa ya Baap ke tarha kaise dikhta hai? Bila shubha mard ka mada gaadha aur safed, aur aurat ka maada patla aur zard hota hai, dono mein se jo bhi upar ho jaaye, ya sabqat le jaaye uski mushabihat ho jaati hai." 

Muttafiq Alaih, Sahih Muslim Hadith No. (469)

Sahih Muslim ki sharah mein Imaam Nawawi r.h. kahte hain :

Qaul e Rasool Allah ﷺ, "Mard ka maada manwiya gaarha safed hota hai, aur aurat ka paani patla zard hota hai" :

"Yeh Mani ki sifat ke bayaan me azeem daleel hai, tandurusti aur aam halaat me Mani ki halat aur sifat yahi hai.", Ulma e Kiraam ka kahna hai, "Tandurusti aur sehat ki halat me mard ki Mani gaadhi safed hoti hai aur uchal kar kharij hoti hai, aur iske kharij hote waqt lazzat aati hai, aur jab Mani kharij ho chuke to kharij hone ke baad futoor aur thahrao paida hota hai aur iski boo taqreeban Khajoor ke shagufa aur gundhe huye Aate ki mahek ki tarah hoti hai. (Baaz aukaat kisi sabab ke ba'is Mani ki rang tabdeel ho jaati hai maslan) Bimaar ho to iski paani patli zard hogi, ya phir Mani wali jagah mein istarkha (yaani dheelapan) paida ho jaaye to begair lazzat aur sehwat hi kharij hona shuru ho jaati hai, ya phir jama kasrat se kiya jaaye to Mani surkh ho kar gosht ke paani ki tarah ho jaati hai, aur baaz aukaat to taaza khoon hi kharij hota hai.

Fir Mani ke teen (3) khususiyat hai jo Mani Ba-Aetemaad shumaar hote hain:

Pahla: Shahwat se kharij hona, aur baad mein futoor paida ho jaana.

Dusra: Iski boo Khajoor ke shagufa ki tarah hoti hai jaisa ke bayaan kiya jaa chuka hai.

Teesra khasa: Uchal kar kharij hona.

I
n Teeno alamat me se kisi ek alamat ka paaya jaana Mani hone ke liye kaafi hai, Teeno ka ba'ek waqt paaya jaana shart nahi aur agar in teeno mein se koi bhi chiz na payi jaye aur zyada gumaan uske Mani na hone ka ho toh uske Mani na hone ka hukm lagaya jayega, Ye saari baate aadmi ki Mani ke bareme hai.

Raha Aurat ki Mani ka masla to wo patli zard hoti hai, aur baaz aukaat iski quwat-o-taaqat badh jaane ki bina par safed bhi ho jaati hai, iske do (2) khase hain, agar in mein se koi ek bhi ho to wo Mani shumaar hogi:

Pahla: Iski boo mard ki Mani jaisi ho.

Dusra: Kharij hote waqt lazzat aaye, aur baad mein futoor paida ho. 

Ye Imaam al-Nawawi ke comments hai unke Sharh Muslim, 3/213 me. 

Aur Mazi safed rang ka laisdaar paani hota hai, jo jama ki soch ya irada ke waqt kharij hota hai, iske kharij hone me na to sehwat hoti hai, aur na hi uchal kar kharij hota hai, aur na hi nikalne ke baad futoor paida hota hai, yaani jism dheela nahi padta. 

Aur mard-o-aurat dono se hi Mazi kharij hoti hai, lekin mardon ki nisbat auraton mein zyada hai. 

Dekhiye : Sharah Muslim Lil Nawawi (3/213). 

۞ Dusra Farq :

Agar ye kharij ho to is par kya hukm laagu hota hai :

Mani kharij hone se ghusl janabat farz hota hai, chahe yeh bedaari ki halat mein jama karne se kharij ho ya fir kisi aur tarike se, ya phir neend me ehtalaam ke sath kharij ho. 

Aur Mazi kharij hone se sirf Wudu hi karna hoga, iski daleel Hazrat Ali r.a. ki darj zel Hadith hai, wo bayaan karte hain : 

"Mujhe Mazi bahut zyada aati thi chunanche maine Miqdaar r.a. ko kaha ke wo iske muta'alliq Rasool Kareem ﷺ se daryaaft karen, unhone Rasool Kareem ﷺ se poocha, to Rasool Kareem ﷺ ne farmaya, "Isme wudu hai".

Muttafiq Alaih, yeh alfaaz Bukhari ke hain.

Ibn Qudaamah Rahma Allah Ta'ala al-Mughni (1/168) mein kahte hain :

Ibn al-Mundhir ka kahna hai : Ahl-e-ilm ka ijmah hai ke mard-o-aurat ki dubur se pakhana aur azu tanasul aur qabl se peshab kharij hone, aur dono ki Mazi ya hawa kharij hone se wudu toot jaata hai.

۞ Teesra Farq:

Inki Taharat aur Najasat ke aetbaar se farq:

Ulma-e-Kiraam ke rajeh qaul ke mutabik Mani Tahir hai, iski daleel Aisha r.a. ki darj zel Hadith hai:

"Aisha r.a. bayaan karti hain ke Rasool Kareem ﷺ Mani dho kar usi libaas mein Namaz ada karne chale jaate, aur mujhe usme dhone ke aasaar nazar aa rahe hote the." 

Sahih al-Bukhari, Hadith - 229.

Aur Sahih Muslim ki riwayat mein hai : 

"Mai Rasool Kareem ﷺ ke libaas se Mani khurch diya karti aur Rasool Kareem ﷺ isme Namaz ada karte the."

Aur ek riwayat ke alfaaz yeh hain:

"Mai apne nakhoon ke sath unke libaas ke khusk Mani ko khurch diya karti thi."

Sahih Muslim, Hadith - 567.

Balki Nabi Kareem ﷺ se yeh bhi saabit hai ke Aap taaza Mani ko bhi nahi dhote the balki use kisi lakri wagairah ke sath poch dete, jaisa ke Imaam Ahmad Rahmu Allah Ta'ala ne Musnad Ahmad (6/243) mein Aisha r.a. se riwayat kiya hai, wo bayaan karti hain ke Rasool ﷺapne kapron se adhkhar (a kind of tree) ke tinko ke sath Mani ko poch diya karte the, aur fir usi libas mein Namaz ada karte, aur apne kapron se khusk Mani ko khurch kar Namaz ada karte the."

Ise Sahih Ibn-e-Khuzaimah mein bhi riwayat kiya gaya hai, aur Allama Albani Rahmu Allah Ta'ala ne al-Irwa’ (1/197) mein ise Hasan qaraar diya hai.

Aur Mazi najis (impure) hai, iski daleel mundarjah bala Hadith hai, jiske baaz turq mein bayaan hai ke:

Nabiﷺ ne Mazi ke bina par azu tanasul (penis) aur khasiteen (testicles) ko dho kar wudu karne ka hukm diya hai.

Ise Abu ‘Awaanah ne al-Mustakhraj me riwayat kiya hai, aur Ibn-e-Hajr al-Talkhees me kahte hain, "Is sanad mein koi ta'an (fault) nahi, chunanche Madi Najis hai, iski bina par azu tanasul aur khasiteen dhona wajib hai, aur iski bina par wuzu toot jaata hai.

M
ani aur Mazi lage hue Libaas ka hukm:

Mani ke taahir hone ke qaul ke mutabik agar Mani kapre ko lag jaaye to wo najis nahi hoga, aur agar is tarah insaan Namaz ada karle to isme koi harj nahi. 

Ibn Qudaamah ne al-Mughni (1/763) me kaha hai, "Aur agar hum ise taahir kahen to iska khurchna mustahab hai, aur agar kisi ne begair khurche Namaz ada karli to bhi kaafi hai." 

Lekin Mazi mein paani chirakna kaafi hai, kyunki isme masqat hai, iski daleel Sunan Abu Dawood ki darj zel Hadith hai :

Sahl ibn Hunayf r.a. bayaan karte hain:

Mujhe bahut zyada Mazi aati aur mai kasrat se ghusl kiya karta tha, chunanche maine iske muta'allik Rasool Kareem ﷺ se daryaaft kiya to Rasool Kareem ﷺ ne farmaya:

"Aapko isse wudu karna kaafi hai"

Maine arz kiya : Aye Allah Ta'ala ke Rasool ﷺ mere libaas mein jahan lagi hui hai use kya karun ?

To Rasool Kareem ﷺ ne farmaya : 

"Aapke liye itna hi kaafi hai ke chullu bhar paani le kar jahan lagi ho us par chirak Do". 

Sunan Abi Dawud, Hadith- 210., Hasan (Al-Albani). 

Aur Imaam Tirmizi r.h. ise riwayat karne ke baad kahte hain : Yeh Hadith Hasan Sahih hai, aur Mazi mein is tarah ki Hadith Muhammad Bin Ishaaq ke elawa hame kisi aur se iska ilm nahi. 

Tahfat-ul-Ahwaji mein hai : 

Isse yeh istidlaal kiya jaata hai ke agar kapre ko Mazi lag jaaye to is par paani chirakna kaafi hai, aur dhona wajib nahi. 

Tuhfat al-Ahwadhi (1/373) . 

Wallaho Aalam
•٠•●●•٠•

Read this article in :

۩ Urdu    ۩ English