اقرأ باسم ربك الذي خلق

6 Jan 2018

Mani, Mazi Aur Ratubat Me Fark Aur Iske Ahkaam

Alhamdulillah..

Aurat ke jism se kharij hone wala madah basa auqat mani ya mazi hota hai aur basa auqat mamool ki ratoobat hoti hai. In teeno ke alag alag ahkam hain aur in ki munfarid alamat bhi hain.

۞ Mani Ki Alamat Ye Hain:

۩1. Aurat ki mani patli aur peeli hoti hai, aurat ki mani ka farq Nabi ﷺ se sabit hai. Aap ﷺ ka farman hai, "Mard ki mani gaadhi aur safed hoti hai jab ke aurat ki mani patli or peeli hoti hain.

Sahih Muslim, Hadith-311.

Ta'ham aisa mumkin hai ke kuch khawateen ki mani safeed ho.

۩2. Is ki boo gundhe hue aate ki tarha hoti hai.

۩3.  Mani lazzat (pleasure) ke sath kharij hoti hai aur is ke kharij hone ke baad jism dheela pad jata hai.

Mani ke liye in teeno alamat ka baik waqt jama hona lazmi nahi hai, balke ek alamat bhi kafi hai. Jaise ke Imam Nawawi ne al-Majmoo’ (2/141) mein kaha hai.

۞ Jab ke Mazi ye hai ke Mazi safed yani shafaf aur les-daar pani hota hai jo ke shahawat ya shahwani takhilat ke waqt kharij hota hai. Is ke kharij hone se lazzat mehsus nahi hoti hai aur naa hi is ke baad jism me dheela pan paida hota hai..

۞ Jab ke Ratoobat ye hai ke:

Ye rahem se nikalne wala shafaf qatre hote hain, basa auqat aurat ko in ke kharij hone ka ahsas tak nahi hota, nez har khwatoon ki surat e haal digar khawateen se aalag hoti hai.

Mani, Mazi or Ratoobat ke sharai hukm ke bare mein ye hai ke :-

۞ Mani Tahir hoti hai ise kapde se dhona wajib nahi hota taham is ke nikalne ke baad ghusl karna wajib ho jata hai, chahe ye mani neend ki halat mein kharij ho ya bedari ki halat mein, Is ka sabab chahe jama' ho ya ehtelam ya koi aur sabab.

۞ Mazi Najis hoti hai jism ke jis hisse par lag jaye to ise dhona wajib hota hai, albatta kapde ke jis hisse par mazi lag jaye to is ko pak karne ke liye paani ke chinte maarna kafi hai. Mazi kharij hone se wuzu toot jata hai nez is ke kharij hone se ghusl wajib nahi hota.

۞ Jab ke Ratoobat Tahir hoti hai ise dhona ya kapdon par lagi ho to kapdo ko dhona zaroori nahi hai, is se wuzu tut jata hai albatta agar kisi khwatoon ki ratoobat tasalsul ke sath kharij hoti hai to wo har namaz ke liye namaz ka waqt shuru hone par wuzu kar le is ke bad kharij hone wali ratoobat se is ke wuzu par koi asar nahi padega.

Wallahu A'alam.
•٠•●●•٠•
Versions of this article:-

۩ English      ۩ Urdu