اقرأ باسم ربك الذي خلق

4 Jan 2018

Maut Ke Baad Fayda Dene Wale Aamaal


Maut ke baad sirf wahih chize fayda de sakti hai jo Allah ne apne Rasool ﷺ ko bataya aur hamare Rasool ﷺ ne hame bataya. Kuch log tarah tarah ke amal jo ki aksar Hinduo se li gayi hai wo chize karte hai jaise Tija, chalsi, wagaira wagaira. Jab ki unko khud pata hota hai ki gair Muslimo ki mushahbat(copy) karna mana hai.

۝1. RasoolALlah ﷺ ne farmaya ki jab koi insan marta hai to uske nek aamal band kar diye jate hai siwae teen tarah ke:
1) Sadka e jariya(Allah ke raah me lagaya hua hamara maal jo logo ko fayda pohcha raha ho)
2) Jo Ilm logo ko sikhaya ho wo usse fayda utha ra ho
3) Nek aulad jo uske liye dua kare .

(Reported by al-Tirmidhi, no 1376; he said this is a saheeh hasan hadeeth)

Sabse aham chiz jo murde ko fayda pohcha sakta hai wo ye hai ki uske Nek aulad uske liye dua kare khas taur par unki magfirat ke liye aur dusri duae bhi.

RasoolAllah ﷺ ne farmaya ”Ek shaks ke Jannat me darjat buland honge , fir wo puchega ki ye kaise hua, fir usse kaha jayega Tumhare aulad ki magfirat ki duae ke wajah se jo wo tumhare liye karta hai.

(Reported by Ibn Maajah, no 3660; see also Saheeh al-Jaami’, 1617.)

۝2.  Agar koi aulaad koi neki ka kaam karta hai to khud-bakhud us ke waledain ko uska sawab pohcha karta hai chahe us ke waledain hayat se ho ya faut ho gaye ho. RasoolAllah ﷺ ne farmaya,

"Beshak sabse Paakiza chiz jo insan khata hai wo uske hatho ki kamai hai aur us ki aulad bhi uski kamai(earning) hai.

Sunan Abu Dawud, Hadith-3528,  Sahih (Al-Albani).

۝3.  Aur Agar uska aulad us ke liye koi sadqa, khairaat ya jo bhi nek aamal karta hai to uska sawab uske waledain ko pohchta rahta hai, Lekin ek baat talib e gaur hai ki niche di hui hadith aur is ke jaisi jitni bhi ahadith hai wo sirf aulaad ka zikr karti hai is liye sirf waledain ko aulaad ke aamal kaam ayenge kisi paise diye hue molvi ya kisi rishtedar ke aamaal nahi.

Ek shaks ne RasolALlah ﷺ se kaha “ Meri walida ka inteqal ho gya hai, aur agar wo bol pati toh unhone kuch sadaqah kiya hota. Toh agar mai ne unki taraf se kuch sadaqe me de du to kya unhe sawab milega?” RasoolAllah ne farmaya “Ha”.

(Reported by al-Bukhaari, Fath, 1388).

۝4. Jo baaki dusre log (jaise dost, rishtedar ya koi aur) kar sakte hai wo hai Mayyat ke Haq me magfirat ki dua, Allah pak farmate hai,

Aur Unke Liye Bhi Jo Baad Me Aye Aur Dua Karte Hai Ki Ae Hamare Rab, Hamare Aur Hamare Bhaiyo Ko Jo Hamse Pahle Eemaan Laye Hai Unko Muaf Farma Aur Momino Ki Taraf Se Hamare Dil Me Keena Aur Hasad Na Paida Hone De. Aye Hamare Rab Tu Boht Shafkat Karne Wala Hai, Maherbaan Hai.

Quran, Surah 59, Ayat-10.

•٠•●●•٠•