اقرأ باسم ربك الذي خلق

4 Jan 2018

Najumi, Peer Aur Baaz Log Chand Ek Haqiqat Kaise Bata Dete Hai?


Alhamdulilah.. 

Hamare Kuch Muslim bhai ilm ki kami ke wajah se Najumi ke pas jate hai aur kisi baat ki haqiqat janne ki koshish karte hai. Ye kam ilmi ka sabab hai warna ek Momin in chizo se boht dur rahta hai. RasoolAllah ﷺ ne khud is amal ko kufr kaha hai. Aur jab unse Islah karne ki koshish ki jati hai to kahte hai ki agar ye galat hai to unlog fir sach baat kaise bata dete hai. Jab ki momin ka ye haal hona chaiye ki jab unhe koi ayat ya sahih hadees padh kar sunayi jati hai to wo kahte hai ki hamne suna aur hamne mana jaise ki Allah pak Quran surah baqara me farmate hai:

Rasool Eeman laya uss cheez pe jo un per Allah Taalaa ki janib say utri aur momin bhi eman laye yeh sab Allah Taalaa aur us ke farishton par aur us ki kitabon par aur uss kay Rasoolon par eeman laye, us ke Rasoolon mein se kisi mein ham tafreeq nahi karte, unhon ne kah diya ke hum ne suna aur itaat ki hum teri bakshish talab kartay hain, Aye hamare Rab! Aur hume teri taraf hi lautna hai.

Surah Baqara, ayat- 285.

Kaash Quran aur hadees ko sirf tote ki tarah rata na jata balki padh kar samjha bhi jata to ye kabhi nahi sunne me aata ki agar Najumi ke pas jana galat hai to wo log haqiqat kaise bata dete hai. RasoolAllahﷺ hame ye jawab dete hai.

Hazrat Aisha r.a. riwayat karti hai, unho ne bayan kiya ki kuch aadmiyo ne RasoolAllah ﷺ se Kaahano (Najumi) ke mutalliq daryaft kiya toh Aap ﷺ ne farmaya "Ye koi Cheez nahi hai", Logon ne arz kiya wo log kabhi aisi baat karte hai jo bilkul Saheeh hoti hai. To Aap ﷺ ne farmaye,"Ye baat Allah taala ki taraf se hoti hai jis ko shaitan sun kar us me saikdo jhut milakar apne Sathiyo(najumi) ke kaan me kah deta hai.."

Sahih Bukhari, Hadith-731, Sahih Muslim, Hadith-1320.

۝ NAJUMI KE PAAS JANE WALE KA EEMAN

RasoolAllah ﷺ ne farmaya: 'Jisne haiza aurat ya aurat ke piche se Jamaa kiya ya Najumi ke pas gaya usne kufr kiya usse jo Muhammad ﷺ par nazil hui thi.'

Narrated by Abu Dawood (3904), al-Tirmidhi (3904) and Ibn Majaah (936); classed as saheeh by al-Albaani in Saheeh Ibn Maajah.

۝ NAJUMI KE PAAS JANE KA ANJAAM

Rasool ﷺ ne farmaya: Jo Shakhs Najumi ke paas jaye aur us se koi baat puche to us ki 40 raat tak namaz Qubool na hogi.

Narrated by Muslim, hadith-2230. 

Allah se dua hai ki wo hame har gunahe kabira se mahfooz rakhe aur is paigam ko dusro tak pochane me madad kare. aameen.

•٠•●●•٠•