اقرأ باسم ربك الذي خلق

8 Jan 2018

Namaz e Taraweeh Me Quran (Mus-haf) Pakad Ke Tilawat Karna


Alhamdulillah..

Namaz Mein Quran Majeed Se Dekh Kar Tilawat Karne Mein Koi Harj Nahi Hai, Kyunki Aisha r.a. Ke Ghulam Ramadaan Al Mubarak Mein Quran Majeed Se Dekh Kar Unki Imamat Karwaya Karte The, Imam Bukhari ( 1 / 245 ) Ne Is Waqya Ko Mu’allaq Zikr Kiya Hai .

Ibn Wahb r.h. Kahte Hain: "Ibn Shihaab r.h. Ka Kahna Hai Ke: Hamaray Behtareen Saathi Ramadaan Mein Quran Majeed Se Dekh Kar Parha Karte Thay".

Al-Mudawwanah, 1/224.

Imam Nawawi r.h. Kahte Hain:
"Agar Koi Quran Majeed Se Dekh Kar Qirat Kare To Uski Namaz Baatil Nahi Hogi, Chahay Usay Quran Majeed Yaad Ho Ya Na Yaad Ho, Balkay Aise Shakhs Ke Liye Dekh Kar Tilawat Karna Wajib Hoga Jisay Surah Fatiha Yaad Nahi Hai, Is Ke Liye Agar Usay Basa Auqaat Safhaat Tabdeel Karni Pare To Is Se Bhi Namaz Baatil Nahi Hogi. Yeh Hamara [ Shafai ] Maalik, Abu Yousuf, Mohammad, Aur Imam Ahmed Ka Mauquf Hai". End quote from al-Majmoo’, 4/27.

Sahnoon [Imam Maalik Ke Shagird ] Kahte Hain: "Imam Malik Kahte The: Ramadaan Aur Nawafli Ibadaat Mein Logon Ki Quran Majeed Se Dekh Kar Imamat Karwanay Mein Koi Harj Nahi Hai ".

Aur [Imam Maalik Ke Shagird] Ibn Qasim Mazeed Wazahat Karte Hue Kahte Hai, "Imam Maalik Farz Namazo Mein Aisay Karne Ko Makrooh Samajte Thay".

Al-Mudawwanah, 1/224.

Taham Kisi Aitraaz Karne Walay Ka Yeh Kahna Ke Quran Majeed Ko Namaz Mein Uthana, Aur Safhaat Tabdeel Karna Fuzool Harkat Hai, To Yeh Aitraaz Hi Ghalat Hai, Kyunki Aap ﷺ Se Yeh Saabit Hai Ke Nabi ﷺ Ne Logon Ki Imamat Karwate Hue Apni Nawasi 'Umaamah' Ko Uthaya Hua Tha, Is Waqa Ko Imam Bukhaari (494) aur Imam Muslim (543) Ne Naqal Kiya Hai, Aur Yeh Baat Ayaa Hai Ke Quran Majeed Ko Namaz Mein Uthana Bachi Ko Namaz Mein Uthany Se Giran (serious) Nahi Hai .

Lekin Agar Kisi Ko Quran Yaad Ho To Behtar Yahi Hoga Ki Wo Bagair Quran Ko Hath Me Lekar Padhe Taaki Baaki Namaz Ki Sunnato Ko Ada Karne Me Mushkil Na Ho. Matlab Agar Quran Ko Uthane Ki Zarurat Ho Tabhi Uthaya Jaye Warna Na Uthaya Jaye.

Wallaho Aalam.