اقرأ باسم ربك الذي خلق

6 Jan 2018

Namaz Me Raful Yadain Ki Zarurat


Ek aham sawal zahen me aa sakta hai ki hame Raful Yadain kyu karna chahiye? Momin ke liye to iska jawab chupa hua hai Surah Noor ki Ayat 51 me jaha Allah pak Momino ko Khitab karte hue farmate hai ki,

بسم الله الرحمن الرحيم

Mominon ki baat to yahi hoti hai ke jab unhein Allah aur Us ke Rasool ﷺ ki taraf bulaya jaata hai taake wo un ke darmian faisla kare to wo kahte hein ke Hum ne suna aur maan liya aur wahi log nijaat paanay waalay hein.

Aur aj kal Muslalman apna faisala Allah aur Rasool ko chhor kar apne buzurgo aur firqo ki kitabo  aur Molvio aur Imamo se karwate hai. Allah ham sab ko hidayat de. Khair Ek momin ko to upar ki ayat hi kaafi hoti hai rafa yadain ki sunnat par amal karne ko. Lekin afsos aj Ummat ke kuch log apni namaz RasoolAllah ke tarike par banane ki koshish karne ke bajaye ye koshish karte hai ki kaise wo apni namaz sahih sabit karde taaki wo jis Maslak ke pairokaar hai us Maslak par aanch na aye aur isme wo zaif  hadeeso ko apna bunyad bana dete hai jab ki saare Muhaddis cheekh cheekh kar kah rahe hai ki wo hadeese sehat ke aetbar se sahih nahi hai. Hame Ye sochna chaiye ki kya kabr me ye sawal hoga ki Tera Maslak kya tha ya tera Imam kaun hai? Bilkul Nahi!!! Kabr me ye sawal hoga ki tera Nabi kaun hai ﷺ. Toh jab Kabr ke andar Nabi ka naam kaam ayega to kabr ke bahar bhi nabi ke tarike se namaz padhni chaiye.

Raful Yadain karne ki zarurat aur uska fayada ek Tabaeen bayan farmate hai,

Sa’eed Bin Jubair R.h. (tabaeen) Se Namaz Me Rafa Yadain Ke Talluk Se Pucha Gaya, Unhone Farmaya, "ye Logo Ke Namaz Ki Khubsurti Hai."

Juzz Raful Yadain By Imam Bukhari, Hadith No. 32.

Aur yahi Tabaeen hai jo sahabao ke namaz ka Tarika batate hai,

Sa’eed Bin Jubair R.h. (tabaeen) Farmate Hai Ki Rasoolallah ﷺ Ke Sahabi r.a. Namaz Ke Shuru Karte Waqt, Ruku Se Pahle Aur Ruku Ke Baad Rafa’ Yadain Kiya Karte The.

Sunan Al Kubra Baihaqi, Vol 2, Page 75, Hadeeth No: 2355.

Ab Jo Namaz me Raful Yadain nahi karte wo namaz ki sunnat ko to chhorte hi hai balki namaz ki Khubsurti se bhi mahroom hote hai.  Isi liye Umar r.a. ke bete ibn Umar kabhi bhi kisi ko Susti ke wajah se raful yadain chhorne par unpar kankariya mara karte the:

Naafi Kahte Hai Ki Beshak Jab Bhi Ibn Umar Kisi Aese Shaks Ko Dekhte Jo (susti Ke Wajah Se) Ruku Se Pahle Aur Ruku Ke Baad Apne Hatho Ko Na Uthata Ho To Us Par Kankariya Fenka Karte The.

Juzz Raful Yadain by Imam Bukhari, hadith- 13. Sanad Sahih. Is hadith ko Imam Nawawi ne apne kitab “Al-Majmoo’ Sharh al-Madhab” (Vol 3, Pg 405) me sahih karar diya hai.

Allah se dua hai ki wo hame Raful Yadain ki sunnat ko kasrat se ada karne ki taufeek ata kare. aameen.

•٠•●●•٠•

Prepared by :- Faisal Khan.