اقرأ باسم ربك الذي خلق

6 Jan 2018

Qayamat Me Buzurgo Ki Andhadhun Pairwi Karne Walo Ka Haal


Is Tahreer ka waahid maqsad “ISLAAH” hai..

Aaj baaz bhaiyyo ko Allah ki WAHEE (Quran O Suunah) se Haq baat batai jaati hai to wo apne Firqe ke Ulema aur Durwesho ki Andha dhund pairavi karte hue bilkul Yahud O Nasarah ki tarah us Dawat ko Radd kar dete hain. Agar Log apne Firqon ke Ulma aur Durwesho ki pairavi karne ki bajaye kisi shakhs ki, wohi baat maane jo WAHI (Quran aur Sunnah) ke mutabiq ho kyu ke humari Duniya O Aakhirat me kamyaabi isi par munhassir hai..WAHI ko chhor kar, sirf halaqat hi halaqat hai.

Allah pak farmate hai, 

Aur jab in se kaha jata hai ke Allah Taalaa ne jo nazil farmaya hain us (yaani Quran) ki taraf aur Rasool ki taraf aao toh wo kahtae hain hum ko wahi kaafi hai jiss par Hum ney apney baap-dadao ko paya, kya agarcheh inn kay baap-dada na kuch samajh rakhtay ho aur na hidayat rakhte hon.

Surah 5 ayat 104.

Aur fir isi ka Anjaam Allah pak Quran me bayan karte hai,

Aur wo kahenge "Aye hamare Rab! Humne apne sardaron aur apne badon ki maani jinho ne hame rahe raast se bhatka diya. Parwardigar! Tu inhe dugna azaab de aur inpar bohat badi laanat nazil farma."

(Surah ahzaab.ayat:67-68)

.. wo kahenge ki Aey humaray Rab! Humen jinno aur insano se wo (buzurgo ko) dikha jinhon ne hume gumrah kiya (takay) hum unhe apne qadmo talay raunde ...

Surah 41, ayat 29.

Allah pak haq kah kar naseehat karte hai

Shaitan ne toh tum mein se boht sari makhlooq ko bahka diya tha. Toh Kya tumne aqal nahi istemal kiya?.

Surah 36, ayat-62.

Ab mai apni baat ek ayat se khatm karta hu..

Baaz log aisay bhi hain jo Allah ka shareek auron ko thehra kar us se aisi mohabbat rakhtay hain jaisi mohabbat Allah se honi chahaiye lekin jo eeman wale hai wo Allah ki mohabbat me boht sakht hote hain.

Surah 2, ayat 165.
•٠•●●•٠•

Related article:- Andhadhund Pairwi Ka Anjaam