اقرأ باسم ربك الذي خلق

4 Jan 2018

Rajab Aur Iski Ibadaat


۞ MAAHE RAJAB KI FAZILAT

Maah e Rajab ki itni umumi fazilat to sabit hai ke char Hurmat wale mahino me shamil hone ki waja se zyada Qabil e Ehtram aur mutabarrak hai. Lekin bataur e khas maah e Rajab ki Fazilat me koi bhi Riwayat sabit nahi jaisa ke Imam Shawkani r.h. ne naqal farmaya hai ke,

۩ "لم يرد فی رجب علی الخصوص سنة صحيحة ولاسنة ولاضعيفة ضعفا خفيفا بل جميع ما روی فيه علی الخصوص امام موضوع مکذوب أو ضعيف شديد الضعف-"

“Khas taur par mah e Rajab ke mutalliq koi Sahih, Hasan ya kum darje ki Zaeef Sunnat warid nahi balke is silsile me warid tamam Riwayat ya to manghadant hai aur jhuti hai ya Shadeed Zaeef hai.”

Al-Sayl al-jarrar 2:143.

۩ Imam Ibn Qayyim Al-Jawziyya r.h. ne farmaya hai: "Rajab ke rooze aur uski kuch qiyaam ke mutalliq jitni bhi ahadiths bayan ki jaati hai wo tamaam jhuty aur buhtaan hai."

Al-Manar Al-Munif, page 96.

۩ Hafiz Ibn e Hajar r.h. ne farmaya hai ke: "Aisy koi bhi sahih hadees aur qabil e hujjat hadees warid nahi jo mahe rajab me mutlaqan roze rakhne ya rajab ke kisi mua'yyin din ka roza rakhne ya iske kisi raat ke qiyaam ki fazeelat par dalalat karti ho."

Tabyeen Al 'Ajab, page-11.

۩ Sayyed Sabiq r.h. farmate hai ke: “Rajab me roze rakhna dusre mahino me roze rakhne se afzal nahi.”

Fiqh as-Sunnah, 1:383.

Ahle ilm ke darj bil aqwaal se maloom hua ke mahe Rajab ki koi bhi khaas fazeelat sabit nahi aur jin riwayaat me iski koi bhi fazeelat marwi hai wo tamaam kazb wa iftera hai, Rajab ki fazeelat ke adm saboot ke zimn me ba'az ahle ilm ne ye riwayaat naqal ki hai ke, "Rasool ﷺ ne hurmat wale mahino me roze rakhne ki targeeb dilai hai", aur chunke rajab bhi hurmat wale mahino me shamil hai, is liye iske roze is amoomi hadees ki wajah se mustahab hue, to ye wazeh rahna chahiyye ke ye riwayaat bhi wazeh nahi, balke zaeef hai, jaisa ke Allama Nasiruddin Albani r.h ne wazahat farmayi hai Daif Abu Dawood, hadith 2328 me. 

۞ MAAHE RAJAB KI BIDAT

Rajab ke mahine me tarah tarah ki biddat wa khurafaat anjaam di jaati hai. In me ye shamil hai:

۩ Biddat:

Rajab ke mahine me kasrat se Umrah karna.

ღ Haqiqat:

Hazrat Aisha r.a. farmati hai: Rasool ﷺ ne mahe Rajab me kabhi Umrah nahi kiya.

Sahih al Bukhari, baab-3, Hadith- 1776.

۩ Biddat:

Maahe Rajab me khas kar ke roze rakhna.

ღ Haqiqat:

Shaykh ibn Taymiya farmate hai, "Jaha tak khaas kar ke Rajab ke roze rakhne ki baat hai, iske mutallik saari hadise zaif aur maudu hai. Ulema me kisi ne bhi (in hadiths par) yakeen nahi kiya. Wo zaif hadeeso maise hai jinhe fazilat ke mutallik riwayat kiya gaya tha; balki un maise aksar maudu aur zhuti hai. Al-Musnad aur baaki jagaho pe ek hadith hai jo kahti hai Hurmat wale mahine me roze rakhne chaiye, lekin ye har hurmat ke mahine ke liye hai sirf Rajab ke liye nahi."

Ibn Taymiyah, Majmu` Al-Fatawa, 25/290.

۩ Aur bhi kuch chize hai jinka Deen se koi talluk nahi hai:

ღ Pahle Rajab ko Hazari namaz padhna.
ღ Pandrahwi (15) Rajab ko Umme Dawood ki namaz padhna.
ღ Salaat al-raghaa’ib padhna
ღ Maahe Rajab ki 22 tarikh ko Imam Zafar Siddique ke niyaz ke taur par Kheer pakana.
ღ 22 Rajab ko kunde bharna
ღ Maahe Rajab ki 27 ki raat ko jagna
ღ Is khaas din Murde ke Rooho ko sadaqat wa khairaat karna
ღ Bilkhusus Is maah ko kabro ki ziyarat karna khaas kar Nabi ﷺ ki kabr ki ziyarat karna.
ღ Makhsus Duae padhna.

In biddato se Allah ki panaah talab kare. In kaamo ko na RasoolAllah ﷺ na hi sahaba na hi khulfa e Rashedeen na hi tabaeen aur na hi Tabe-Tabaeen ne kiya. In biddat se hame jihad karna hai apne hath se apne zuban se apne Dil se aur yahi Rasool Allah ﷺ ka farman hai.

Rasool ﷺ ne farmaya ki Jab bhi Kabhi ek Rasool bheja jata tha to uske kuch hawari aur sahaba hote the, wo sahabi , apne nabi ki sunnato(tariko) ko mazbuti se pakad lete the aur usi pe jame rahte the. Fir hamesha aisa hua hai ki unke baad kuch aise log paida hue hai JO KAHTE WO THE JO KARTE NA THE, AUR KARTE WO THE JISKA HUKM BHI NAI HUA THA. To sunlo jo unse JIHAD KAREGA APNE HATHO SE, APNE ZUBAN SE, APNE DIL SE WO MOMIN HOGA, aur iske baad EEMAN TO RAAI KE DANE KE BARABAR BHI NAHI HAI.

Sahih Muslim, Kitab Al Eeman (1), hadees- 179.

۩ Abdullah Ibn Umar r.a. farmate hain: TAMAAM Biddatein GUMRAAHI hain, agarche “Ba-Zaahir woh, logon ko ACHCHI lagein”.

Sunan Kubra Baihaqi, (Hadith138).

۩ Mohammad ﷺ ne farmaya: ”Maine tumhare paas kuch nahin chhora jo tumhe Allah ke aur kareeb le aye siwaaye jo maine tumhe hukm kiya hai.”

[Reported by at-Tabaraani, authentic, refer to Asl Sifatis-Salaati n-Nabee, vol. 3, p. 942][Musnad Ahmad, Silsilah Sahiha 1803, Sahih by Albani].

•٠•●●•٠•

Allah se dua hai ki wo hame sunnat par jame rahne ki taufeek ata kare aur har biddat se mahfooz rakhe. aameen.