اقرأ باسم ربك الذي خلق

4 Jan 2018

Roza Me Niyat Ke Alfaaz Ka Ada Karna


Sawal: 

Barr E Sagheer.hind O Pak Me Roze Ki Niyyat Is Tarah Ki Jaati Hai....

" Aye Allah Mai Tere Liye Yaqini Roze Ki Niyat Karta Hu Mere Agle Aur Pichle Gunah Maaf Farmade."

Aur Ye Bhi Kaha Jata Hai..

و بصوم غد نويت شهر (Mai Ramzan Ke Kal K Roze Ki Niyat Karta Hu)

Mujhe Is K Maani Murad Ka Ilm Nhi, Lekin Kya Ye Ye Niyat Karna Sahih Hai Aur Agar Aisa Karna Sahin Hai To Aap Se Guzarish Hai K Is K Maani Ki Wazahat Kare Ya Phir Quran O Sunnah Se Sahi Niyat Bataye..

Alhamdulilah..

Koi bhi Ibadat chahe wo Roza ho ya Namaz, Niyat ke baghair Sahih nahi kyu ki Nabi ﷺ ka farman hai, "Aamal ka dar o madar niyat pe hai. Har shakhs ke liye wohi hai jo wo niyat karta hai.

Sahih Bukhari-1, Sahi Muslim-1907.

Farz roze ke liye shart hai ki is ki niyat raat ko tulu e fajar se qabl karli jaye kyu ke Nabi ﷺ ka Farman hai, "Jo Shakhs tulu e Fajar se pahle Roze ka Irada na kare us ka Roza nahi."

Sunan an-Nasa'i, hadith- 2334. Is hadith ko Imam Ibn Khuzaymah aur Imam Ibn Hibbaan ne sahih aur marfoo karar diya hai.

Sunan Nisaai ke Dusre hadith ke alfaz ye hai, "Jo Roze ki niyat Raat ko nahi karta us ka Roza nahi."

Sunan Nisai hadith- 2334. Shaikh Albani r.h. ne Sahih al Jaame hadith-583 me ise Sahih qarar diya hai.

Hadeeth ke maani ye hai ke jo raat ko Roza rakhne ka irada aur niyat na kare us ka Roza nahi hai. Toh Isliye raat ko fajr se pahle niyat karni chahiye roze ki. Bil ittefaq se agar aankh na bhi khul payi shahri ke liye to hamare roze me fark nahi padega to behtar yahi hoga ki raat ko niyat kar li jaye. Aur Niyat ka talluq dil se hai jo ek Qalbi amal hai. Is ka Zuban se koi talluq nahi. Is liye Musalman ko dil se irada karna chahiye ke wo kal Roza rakhega. Us ke liye Mashroo nahi ke wo zuban se ye kahe ke "main Roze ki niyyat karta hu..ya main Haqeeqatan tere liye roza rakh raha hu.." ya is tarah k dusre alfaaz jo logo ne ejaad kar rakhe hai..wo sab..Bidaàt me Shumar hote hai..
Sahih tareeqa ye hai ke Insaan Dil se irada kare ke wo Subah Roza rakhega.

Shaikh Ibn e Taimiyah se sawal kiya gaya to un ka jawab tha:

"Jis ke dil me ye baat aagayi ke wo subah roza rakhega us ki niyyat hogayi."

Al ikhtiyarat safa no. 191.

Mustaqil fatwa committee se sawal kiya gaya ke Insaan ko Ramzan me Roze ki niyat kis tarah karni chahiye?

To Jawab tha, "Roza rakhne ke Azam se niyat hojayegi aur Ramzan me har raat ko Roza ki niyat karna zaruri hai. [matlab agar shuru me hi niyat karle ki pura Ramadan roza rahna hai to ye kafi hoga]

Fataawa al-Lajnah al-Daa’imah, 10/246 .

Wa Allaho alam



Ye to thi Sharai Dalail. Ab dekhte hai Aqali dalail:

Islamic Shariyah ki roshni me Roza me niyyat ke alfaz na to RasoolAllah ﷺ ne ada kiya tha na hi sahabao ne aur na hi salaf maise kisi ne. Is alfaz ko baad me ijaad kiya gaya tha. 

Wo Alfaz kuch aese hai:

"Wa bisawmi ghadinn nawaiytu min shahri ramadan"

Tarjuma: "Mai ramzan ke kal ke roze ki niyat karta hu".

Ab jis shaks ne bhi ye dua banaya hai us ko itna bhi nahi pata tha ki Islam me Din ko Allah kaise badalta hai. Islamic shariyat me raat pahle aati hai aur din baad me isi liye jab Ramadan shuru hota hai tab Ham Taraweeh pahle padhte hai aur roza baad me rakhte hai. Arabic me guzre hue kal ko al 'Ams' kahte hai, Aj ke din ko 'al Yaum' aur aane wale kal ko 'Gadan' kahte hai jo ki is niyat ke alfaz me hai. Is niyat ke tarjume ke mutabik wo us din ki nahi jis din wo niyat ke alfaz bolta hai balki wo us ke agle din roze rakhne ki ki niyat karta hai . Deeni lihaz se to ye galat hai hi sath me magrabi ya dunyawi lihaz se bhi galat hai kyuki magrabi lihaz se 12 baje hi din badal jata hai aur ham shehri 12 baje ke baad karte hai. To ye deeni aur dunyawi dono lihaz se galat hai.

Allah se dua hai ki wo hame hamare Rasool ke tarike par har ibadat karne ki taufeek de aur gair tariko se mahfooz rakhe. aameen.

•٠•●●•٠•