اقرأ باسم ربك الذي خلق

6 Jan 2018

Sabse Zyada Muqammal Wuzu - Tabaeen Ke Ulema Ke Mutabik


حَدَّثَنِي أَبُو الطَّاهِرِ، أَحْمَدُ بْنُ عَمْرِو بْنِ عَبْدِ اللَّهِ بْنِ عَمْرِو بْنِ سَرْحٍ وَحَرْمَلَةُ بْنُ يَحْيَى التُّجِيبِيُّ قَالاَ أَخْبَرَنَا ابْنُ وَهْبٍ، عَنْ يُونُسَ، عَنِ ابْنِ شِهَابٍ، أَنَّ عَطَاءَ بْنَ يَزِيدَ اللَّيْثِيَّ، أَخْبَرَهُ أَنَّ حُمْرَانَ مَوْلَى عُثْمَانَ أَخْبَرَهُ أَنَّ عُثْمَانَ بْنَ عَفَّانَ - رضى الله عنه - دَعَا بِوَضُوءٍ فَتَوَضَّأَ فَغَسَلَ كَفَّيْهِ ثَلاَثَ مَرَّاتٍ ثُمَّ مَضْمَضَ وَاسْتَنْثَرَ ثُمَّ غَسَلَ وَجْهَهُ ثَلاَثَ مَرَّاتٍ ثُمَّ غَسَلَ يَدَهُ الْيُمْنَى إِلَى الْمِرْفَقِ ثَلاَثَ مَرَّاتٍ ثُمَّ غَسَلَ يَدَهُ الْيُسْرَى مِثْلَ ذَلِكَ ثُمَّ مَسَحَ رَأْسَهُ ثُمَّ غَسَلَ رِجْلَهُ الْيُمْنَى إِلَى الْكَعْبَيْنِ ثَلاَثَ مَرَّاتٍ ثُمَّ غَسَلَ الْيُسْرَى مِثْلَ ذَلِكَ ثُمَّ قَالَ رَأَيْتُ رَسُولَ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم تَوَضَّأَ نَحْوَ وُضُوئِي هَذَا ثُمَّ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم ‏ "‏ مَنْ تَوَضَّأَ نَحْوَ وُضُوئِي هَذَا ثُمَّ قَامَ فَرَكَعَ رَكْعَتَيْنِ لاَ يُحَدِّثُ فِيهِمَا نَفْسَهُ غُفِرَ لَهُ مَا تَقَدَّمَ مِنْ ذَنْبِهِ ‏"‏ ‏.‏ قَالَ ابْنُ شِهَابٍ وَكَانَ عُلَمَاؤُنَا يَقُولُونَ هَذَا الْوُضُوءُ أَسْبَغُ مَا يَتَوَضَّأُ بِهِ أَحَدٌ لِلصَّلاَةِ ‏.‏

Uthman r.a. Ke Aazad Karda Ghulaam Humraan bayan karte hai ke, "Uthman ra ne Wazu ka paani mangwaya aur apne haath 3 baar dhoye phir (3 baar) kulli ki aur (3 baar) naak me paani dala, aur phir apna chehra 3 baar dhoya, phir apna daaya hath kohni tak 3 baar aur phir baya haath kohni tak 3 baar dhoya, phir sar ka masah kiya aur phir apna dayaa pair takhne tak aur phir bayaa pair takhne tak 3-3 baar dhoya, aur farmane lage, "Maine Rasool ﷺ ko isi tarah wuzu karte hue dekha jis tarah main ne yeh wazu kiya hai, phir kaha Rasool ﷺ ne farmaya tha, jis ne mere is wazu ki tarah wazu kiya phir uth kar do rakat ada ki, Jin me wo apne aap se baat na kare to is ke pichle saare gunaah maaf kardiye jaate hai."

Sahih Muslim, Kitaab ul Tahara, Hadeeth no. 436.

Is hadith ke ek Raawi jinka naam Ibn Shihab hai jo ki ek Tabaeen hai, unke comments (Tafsir) hai is hadith par. Wo Farmate Hai, 

 قَالَ ابْنُ شِهَابٍ وَكَانَ عُلَمَاؤُنَا يَقُولُونَ هَذَا الْوُضُوءُ أَسْبَغُ مَا يَتَوَضَّأُ بِهِ أَحَدٌ لِلصَّلاَ-


"Hamare Ulema Kaha Karte The Ki Ye Sabse Zyada Muqammal Wuzu Hai Jo Ek Shaks Apni Namaz Ke Liye Kar Sakta Hai".

Par afsos ki wuzu me bhi nayi nayi chize shamil kardi gai hai jaise hatho ko dhone ke baad chullu me pani lekar hath ko kohni tak pani bahana. Aur isi hadith aur ke wajah se Daif hadith ki bhi pol khul jati hai jo gardan ka masah karne ko kahti hai Jab ki Tabaeen aur unke ulema Gardan ka masah kiya hi nahi karte the. Gardan ka masah karna kisi sahih hadith se sabit nahi hai. Gardan ke masah ke mutallik Sunan Abu Dawud me ek Hadith hai lekin Sheikh Albani ne use zaif karar diya hai. Aur sirf Sheikh Albani hi ne nahi balki Imam Abu Dawud bhi  is hadith ko likhne ke baad is hadith ke aeb ko bayan karte hai aur sabit karte hai ki ye hadith Munkar(rejected) hai. 

•٠•●●•٠•

Allah se dua hai ki wo hame sunnat ke mutabik wuzu karne ki taufeek ata kare. aameen.

Prepared by:- Faisal Khan.

Related Articles: 
۩ Wuzu Ka Bayaan
۩ Nawaqiz Wuzu (Wuzu Todne Wali Chize)
۩ Wuzu ke dauran Gardan ka Masah karna
۩ NAMAAZ ME WUZU KA TOOTNA