اقرأ باسم ربك الذي خلق

7 Jan 2018

Sahaba Aur Tabaeen Ki Majlis Me Baithna


Abdullah ibn al-Mubarak (Tabe-Tabaeen) se ek baar kaha gaya,

إذا صليت معنا لم تجلس معنا قال أذهب أجلس مع الصحابة و التابعين قلنا له ومن أين الصحابة والتابعون قال أذهب أنظر في علمي فأدرك آثارهم وأعمالهم ما أصنع معكم أنتم تغتابون الناس-
Hamare sath namaz padhne ke baad, Ap hamare sath nahi baithte? Abdullah ibn Mubarak ne farmaya, "Mai jata hu aur Sahaba aur Tabaeen ki majlis me baithta hu". Unhone Abdullah ibn Mubarak se kaha, "Sahaba aur Tabaeen kaha hai (jab ki unki wafat ho chuki hai)?" Abdullah ibn Mubarak ne jawab diya, "Mai jata hu aur Ilm ki taraf mutawajje hota hu jo maine jama kiya hai, aur isse mujhe unki Riwayaat aur Amal ka ilm hota hai. Aur mai Tumhare sath kya karunga? Tum baith kar logo ki gibat karte ho."
Sifah al-Safwah 4/137 .

Note: Abdullah bin Mubarak, Imam Bukhari aur Imam Tirmidhi ke dada Ustadh aur Imam Abu Hanifa r.h. ke shagird hai.

•٠•●●•٠•

Allah se dua hai ki wo hame Sahaba aur Tabaeen ki majlis me baithne ki taufeek ata kare. aameen.