اقرأ باسم ربك الذي خلق

4 Jan 2018

Sood Ki Hurmat


Sood ko arbi zuban me 'Ribah' kahte hai jiska lughwi maana(meaning) zyada hona, parwaan chadhna aur buland ki taraf jaana. Aur sharai istelah me ribah(sood) ki taareef ye hai ke kisi ko is shart ke sath raqam udhaar dena ke wapisi ke waqt wo kuch raqam zyada leega. Masalan kisi ko saal ya 6 mahine ke liye 100 rupya qarz de to usse ye shart karli ke wo 100 rupye ke 120 rupee lega, mohlat ke ewaz ye jo 20 rupee zyada liye gaye hai ye sood hai.

۞ SOOD KI HURMAT

ALLAH TA'ALA KA FARMAAN HAI, "Aye imaan walo Allah se daroo aur jo sood logo ke paas baqi rah gaya hai agar imaan wale hai to use chor do, agar tumne aisa nahi kiya to Allah aur uske Rasool ki taraf se jang ke liye khabardaar hojao.

al Baqara:275.

FARMAAN E BAARI HAI, "Aye imaan walon! Kayi guna badha kar sood na khaao, aur Allah se darte raho taaki tum falah paao aur us aag se daroo jo kafir ke liye tayyar ki gayi hai aur Allah aur Rasool ﷺ ki ita'at karo taaki tum par raham kia jaye.

ale Imraan:130-132.

Hajjatul widaa ke mauqe par, jisme taqreeban saare sahaba e kiraam the, isme bhi qhususiyat ke saath aapne tijarty aur mubajani har tarah ke sood ki hurmat ka aelaan farmaya, "Sun lo! Jahiliyat ki har cheez mere paao talee rondh di gayi, aur jahiliyat ka sood khatam kardiya gaya, aur hamare sood me se pehla sood jise mai qhatm kar raha
hoon wo Abbas bin Abdul Muttalib ka sood hai, ab ye saara sood qhatm hai.

Sunan Abi Dawud: 3334, Sahih.

Hazrat Abdullah bin Hinzala r.a kehte hai ke Rasool ﷺ ne farmata:sood ka ek dirham jise insaan jante bujhte khata hai,wo 36 martaba zina kaari se bhi bad'tar hai.

Narrated by Ahmad and al-Tabaraani; classed as saheeh by al-Albaani in Saheeh al-Jaami’ no. 3375.

Jabir r.a. kahte hai : Rasool ﷺ ne sood khane wale, aur use khilane wale, aur uske likhne wale, aur uski gawahi dene walo par laanat bheji hai, aur fir farmaya ke ye tamaam ke tamaam gunah me barabar ke shareek hai.

Sahih Muslim: 895.

Abdullah bin Abbas kahte hai ke Rasool ﷺ ne farmaya, "Jis gaaon me zina aur sood riwaaj paa gaya, to waha ke bashindon ne apne upar Allah ke azaab ko halaal karliya

al mustadrak al hakim.

۞ SOOD BADHTA NAHI GHAT'TA HAI

Sood ko badhta aur parwaan chadhta samjhna, sood ki khaam Khiyali hai, jab ke Allah ta'al aur uske Rasool Muhammad ﷺ ne iske kam hone aur tabah wa barbaad hone ki peshan goyi farmayi hai.

JAISA KE IRSHAAD E RABBANI HAI: Allah sood ko ghatataa hai aur sadaqaat ko badhata hai aur Allah kisi nashukre(sood khor) gunahgaar dost nahi rakhta hai beshak jo log imaan laye hai aur amal e saleh kiye aur namaaz qayem ki,aur zakaat ada ki inka ajr inke rab ke paas sabit hai, aur in par na khauf taari hogi aur na inhe koi gam layeq hoga.
al Baqara:276-277.

(محَقُ اﷲُ الرِّبَامحق) Yam haqullahur ribaa ki tafseer karte hue Abdullah bin Abbas farmate hai: (”محق“) (ghatana) ye hai ke Allah sood qhoor bande ka na haj qabool karta hai, na sadqa, na jihaad, aur na silah rehmi (ya'ani iski koi neeki qabool nahi hoty).

Tafseer qurtubi: 2/232.

Ibn  Masood se marwi hai ke Rasool ﷺ ne farmaya: Jo shaks sood me boht zyada mubtila hota hai, uska anjaam kami par hi hoga.

Sunan Ibn Majah: Vol. 3, Book 12, Hadith 2279, Sahih (Darussalam).

Dunya daar Insaan sood ko nafa baqsh aur zakaat ko maal me kami karne wala samjhta hai, jabke haqeeqat bilkul bar'aks hai, aise qam qhiyaal afraad ki hidayat ke liye sood ke muqable me Allah ne zakaat ka nizam pesh karte hue farmaya, Ke maal ko badhana ho to ise rab ki baargaah me zakaat aur sadqaat ki shakal me peesh karo aur agar tum log jo sood dete ho,taake logo ke amwaal me izafa ho jaye to wo Allah ke nazdeek nahi badhta aur tum log jo zakaat dete ho Allah ki raza hasil karne ke liye aise hy loog ise kayi gunaa badhane wale hai.

al Room:39.

۞ SOOD KHANE WALON KI HALAT ZAAR:

QIYAMAT KE DIN SOOD QQHOOR EK QAAS KAIFIYAT ME DOCHAAR HONGE,
JIS SE LOGO KO PATA CHAL JAYEGA KE YE DUNYA ME SOOD KHATE THE, IRSHAAD E BARI HAI :

"Jo Log Sood Khaate hai, Qayamat ke din Apni Apni Qabron se us shaks ki tarah uthenge jaise shaitaan ne Lipat kar Makhboot al Hawas Bana diya ho."

AL-QURAN, SURAH BAQARA, AYAT NO. 275.
•٠•●●•٠•