اقرأ باسم ربك الذي خلق

5 Jan 2018

Ye Zaruri Nahi Ki Mauze Leather Ke Ho


Arabic zuban me chamde ke moze ke liye lafz istemal hota hai Khuffayn. Aur dusra lafz Jawrabayn hai. Arabic dictionary al-Qaamoos ke mutabik jo cheez lifaafe ki tarah pao’n par pahen lien wo Joraab hai.

Khuffayn par masah karna sunnat hai aur ispar hamare muashre me koi ikhtilaf nahi hai lekin ikhtilaf Joraab par hai.
Abu Bakr ibn al-‘Arabi (Ulema, born on 468 Hijri) farmate hain: "Joraab wo cheez hai jo pao’n ko dhaa’npne ke liey Oon ki bani jaati hai, jo paao ko garam rakhne ke liye pahni jati hai."

Juraab par masah karne par sahaba ka ijma bhi hai. Ek hadith hai,

Al-Mughirah ibn Shu'bah r.a. riwayat karte hai ki RasoolAllah ﷺ ne Wuzu kiya aur Jurabo aur Juto par masah farmaya.

Sunan Abu Dawud, Kitab Al-Tahara, hadith-159; Sunan Tirmidhi, Kitab Al-Tahara, hadith-99.

Lekin ye hadith Zaif hai kyuki isme Sufyan ath-Thawri Mudallis hai aur wo An se riwayat kar rahe hai. Lekin iske sath Imam Abu Dawud aur Imam Tirmidhi ne salaf ka manhaj likh diya hai aur wo hamare liye aham hai.

Is hadith ke baad Imam Abu Dawood ka Qawl hai:

Imam Abu Dawood farmate hai ki 'Ali b. Abi Talib, Ibn Mas'ud, al-Bara' b. 'Aziz, Anas b. Malik, Abu Umamah, Sahl b. Sa'd, 'Amr b. Huriath, Umar bin Khattab aur Ibn Abbas se Juraabo par masah karna sabit hai. 

Imam Tirmidhi is hadith ke baad farmate hai, 

 "Jurabo par masah karna agarche Naalain (shoes) na ho ye ahle ilm se boht logo ka qawl hai Aur is ke kayl hai Sufyan Ath-Thawri, ibn Mubarak, Imam Shafi, Imam Ahmad aur Ishaaq. Abu Muqatil As-Samarqandi ek baar Abu Haneefa ke paas unke maraz al maut(Wafat wala marz) me gaye pas unho ne paani mangaya aur unho ne wuzu kiya is haal mein ki un par Juraab the pas unho ne (un juraabo) par masah kiya. Fir kaha: Aaj maine wo kaam kiya jo pahle kabhi nahi kiya tha, maine Juraabo par masah kiya halanki wo naalain (shoes) ke alawah hai."

Isse ye bhi pata chala ki Imam Abu Hanifa ne apne aakhri waqt me apne pichle raaye se ruju kar liya. Imam Tirmidhi ne ek shart rakhi hai ki jurab moti honi chaiye (jisse khaal na dikh sake mauje pahenne ke baad).

Ibne Qadama kehte hain ke Sahaaba Ikram ka jurabo’n par masah karne ke jawaz par ijma’a hai.

Mughnee by Ibne Qadaama, Volume-1, P332, – Mas’alaa 426.

Yahyaa al-Bakka farmate hai, maine Ibn Umar se ye suna, "Jawrabayn par masah khuffayn par masah karne jaise hai".

Al-Musannaf by Ibn Abi Shaybah, 1/173. 

Ye ek aesi sunnat hai jo aksar mar chuki hai hamare muashre me, hame is sunnat ko zinda karna hoga. Allah ham sab ko taufeek de. aameen

•٠•●●•٠•