اقرأ باسم ربك الذي خلق

19 Feb 2018

Akele Namaz Padhne Wale Shaks Ke Liye Azaan Aur Iqamat Kahna


أَخْبَرَنَا مُحَمَّدُ بْنُ سَلَمَةَ، قَالَ حَدَّثَنَا ابْنُ وَهْبٍ، عَنْ عَمْرِو بْنِ الْحَارِثِ، أَنَّ أَبَا عُشَّانَةَ الْمَعَافِرِيَّ، حَدَّثَهُ عَنْ عُقْبَةَ بْنِ عَامِرٍ، قَالَ سَمِعْتُ رَسُولَ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم يَقُولُ ‏ "‏ يَعْجَبُ رَبُّكَ مِنْ رَاعِي غَنَمٍ فِي رَأْسِ شَظِيَّةِ الْجَبَلِ يُؤَذِّنُ بِالصَّلاَةِ وَيُصَلِّي فَيَقُولُ اللَّهُ عَزَّ وَجَلَّ انْظُرُوا إِلَى عَبْدِي هَذَا يُؤَذِّنُ وَيُقِيمُ الصَّلاَةَ يَخَافُ مِنِّي قَدْ غَفَرْتُ لِعَبْدِي وَأَدْخَلْتُهُ الْجَنَّةَ ‏"‏ ‏.‏

Ye riwayat kiya gaya hai ki Uqbah bin 'Amir r.a. ne kaha ki maine Rasoolullah ﷺ se ye kahte hue suna ki

“Tumhara Rab us charwahe (shepherd) se khush hota hai jo (akela) pahad ki choti par Namaz ke liye Azaan kah kar Namaz ada karta hai, chunanche Allah azzawajal farmate hai, Mere is bande ko dekho ye Azaan aur Iqaamat kah kar namaz ada karta hai aur mujh se darta hai. Mai tumhe gawah banata hu ke Mai ne ise bakhsh diya aur ise jannat mein daakhil kar diya.”

Sunan Nasai, kitab al azan, hadees- 667. Ise darussalaam ne sahih karaar diya hai.

۩ Imam Shafi farmate hai,

“Agar ek shakhs Azan aur Iqamat kahne ko nazarandaz karta hai Jab wo Namaz Akele padh raha ho ya Jamaat me, Toh Mai ise Makrooh (na-pasandida) samajhta hu. Lekin agar us shaks ne Azan ya Iqaamat kahe bagair namaz ada kari hai toh usko apni namaz dohrane ki zarurat nahi hai.”

Kitaab al-Umm by al-Shaafa’i, Jimaa’ al-Adhaan, Baab al-Adhaan wa’l-Iqaamah li’l-Jam’ bayna al-Salaatayn.

۩ Shaykh Muhammad Saalih al-Munajjid farmate hai,

“Umoomi dalail ke bina par munfarid (individual) shakhs ke liye Azaan aur Iqamat kahna mustahab hai.”  (source)

Toh natija ye nikla ki Akele Namaz padhne wale shaks ke liye Azan dena aur Iqamat kahna Mustahab Amal hai.

•٠•●●•٠•

Unknown said...

AssalamoAlaikum ...kya ye cheez aurton pe lazim hai??? Ya ye sirf mardon k liye hai???

Unknown said...

AssalamuAlaikum war wab..
Jab Do Shakhs Namaz Padhrahe ho tab Imam Aur Muktadi kis tarah saf banay? 2no ek saff me khade rahe ya Muqtadi thora sa piche hon.. " Faisal bhai is mutalli Articel banay jazakAllah khairn